(गाब्रियेल पेरी की याद में)
यह सच नहीं है कि एक मरा हुआ आदमी
आदेशों और शोर से ऊभचूब
किसी अपरिभाषित साम्राज्य की भाँति होता है
जो हमें खाते देख
डाह से भर उठता है।
यह सच नहीं है कि एक मरा हुआ आदमी
दूध या कि ख़ून से बना है और रात में हमसे क़द्दावर हो जाता है
गाँव के ऊपर जब बारिश होती है तो
दरख़्तों में और हवा में जो हरहराता है वह यह नहीं है।
न यह वह है
जो तुम्हारे मुँह फेर लेने पर कटोरों को नीचे गिरा देता है
या जो आग पर कालिख गिराता है।
वह क़त्तई एक मरा हुआ आदमी नहीं है
जो मासूम लोगों के सामने हमें डाँटता-फटकारता है।
झूठ क्यों बोलें
एक मरे हुए आदमी से ज़्यादा मुर्दार कुछ भी नहीं
—लेकिन सच यह है कि मरे हुए लोग
धरती पर एक ऐसी ख़ामोशी पैदा करते हैं
जो नींद से अधिक मुखर होती है।
(gabriyel peri ki yaad men)
ye sach nahin hai ki ek mara hua adami
adeshon aur shor se uubhchub
kisi aparibhashit samrajya ki bhanti hota hai
jo hamein khate dekh
Daah se bhar uthta hai.
ye sach nahin hai ki ek mara hua adami
doodh ya ki khoon se bana hai aur raat mein hamse qaddavar ho jata hai
gaanv ke uupar jab barish hoti hai to
darakhton mein aur hava mein jo harahrata hai wo ye nahin hai.
na ye wo hai
jo tumhare munh pher lene par katoron ko niche gira deta hai
ya jo aag par kalikh girata hai.
wo qattii ek mara hua adami nahin hai
jo masum logon ke samne hamein Dantta phatkarta hai.
jhooth kyon bolen
ek mare hue adami se zyada murdar kuch bhi nahin
—lekin sach ye hai ki mare hue log
dharti par ek aisi khamoshi paida karte hain
jo neend se adhik mukhar hoti hai.
(gabriyel peri ki yaad men)
ye sach nahin hai ki ek mara hua adami
adeshon aur shor se uubhchub
kisi aparibhashit samrajya ki bhanti hota hai
jo hamein khate dekh
Daah se bhar uthta hai.
ye sach nahin hai ki ek mara hua adami
doodh ya ki khoon se bana hai aur raat mein hamse qaddavar ho jata hai
gaanv ke uupar jab barish hoti hai to
darakhton mein aur hava mein jo harahrata hai wo ye nahin hai.
na ye wo hai
jo tumhare munh pher lene par katoron ko niche gira deta hai
ya jo aag par kalikh girata hai.
wo qattii ek mara hua adami nahin hai
jo masum logon ke samne hamein Dantta phatkarta hai.
jhooth kyon bolen
ek mare hue adami se zyada murdar kuch bhi nahin
—lekin sach ye hai ki mare hue log
dharti par ek aisi khamoshi paida karte hain
jo neend se adhik mukhar hoti hai.
स्रोत :
पुस्तक : रोशनी की खिड़कियाँ (पृष्ठ 219)
रचनाकार : यूजें गिलविक
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.