मैं तुम्हारे दिए हुए सारे काम ख़ुशी से करना चाहता था
लेकिन पता नहीं क्या सोचकर तुमने मुझे ज़्यादा काम दिए नहीं
ज़्यादातर रातों में
तुमने मुझे शराब की बोतलें लेने ही भेजा था
बहुत साल पहले
एक दिन जब तुमने अपनी क़मीज़
मेरे हाथों में थमा दी थी
तो बहुत ख़ुशी से मैंने उसे
तुम्हारे कमरे में खूँटी पर टाँग दिया था
उस दिन मैंने धीमे-से उसे सूँघ लिया था
तब से एक गंध मेरे ज़ेहन में रहने लगी
फिर माँ के कहने पर
वह क़मीज़ मैंने किसी को दे दी
भादों के उन दिनों में
मैं देर तक उस आदमी को खोजता रहा
जिसे तुम्हारी क़मीज़ पहनने में आ जाए
इसके बाद मैं जब भी
किसी को गले मिलते हुए देखता हूँ
तो मुझे तुम्हारी क़मीज़ याद आ जाती है
फिर जब मैं इस तरफ़ अकेला रह गया
तब मैं सोचता था कि
मुझे तुम्हारे लिए एक कविता लिखनी चाहिए
लेकिन इस नंगी भावुकता के प्रदर्शन से मैं डर गया
मेरे पास कोई विकल्प नहीं था—
तुम्हें गले लगाने का
तो मैं सिगरेट को उँगलियों से छूकर सूँघ लिया करता था
फिर एक दिन मैंने बोतल से थोड़ी-सी शराब अपनी कॉलर के पास उड़ेल ली
माँ जब मुझे चिट्ठियाँ लिखती थी
तो मैं उन्हें पढ़ने से पहले सूँघता था
मुझे पता था उन चिट्ठियों को
तुम ही मेरे हॉस्टल के पते पर पोस्ट करते थे
तुम्हारे जाने के बाद
जब मैं थोड़ा और बड़ा हो गया
मैं तुम्हारी तरह जीने के सारे तरीक़े सीख चुका था
अपनी मूँछों पर हाथ फेरने के तरीक़ों
और पैर हिलाने की बेचैनियों में तुम थोड़ा-सा रह गए
अब भी जब किसी रात को मैं करवट बदलता हूँ
तो दीवार पर एक खूँटी गड़ी देखता हूँ
और उस पर लटकती हुई एक तस्वीर
बहुत सालों बाद अब जाकर मैं समझ पाया
कि वक़्त के साथ तुमने अपनी गंध बदल ली थी
अब तुम मेरे पसीने में नहीं
गुड़ और घी से लिपटी हुई गंध के साथ महकते हो!
main tumhare diye hue sare kaam khushi se karna chahta tha
lekin pata nahin kya sochkar tumne mujhe zyada kaam diye nahin
zyadatar raton mein
tumne mujhe sharab ki botlen lene hi bheja tha
bahut sal pahle
ek din jab tumne apni qamiz
mere hathon mein thama di thi
to bahut khushi se mainne use
tumhare kamre mein khunti par tang diya tha
us din mainne dhime se use soongh liya tha
tab se ek gandh mere zehn mein rahne lagi
phir man ke kahne par
wo qamiz mainne kisi ko de di
bhadon ke un dinon mein
main der tak us adami ko khojta raha
jise tumhari qamiz pahanne mein aa jaye
iske baad main jab bhi
kisi ko gale milte hue dekhta hoon
to mujhe tumhari qamiz yaad aa jati hai
phir jab main is taraf akela rah gaya
tab main sochta tha ki
mujhe tumhare liye ek kawita likhni chahiye
lekin is nangi bhawukta ke pradarshan se main Dar gaya
mere pas koi wikalp nahin tha—
tumhein gale lagane ka
to main cigarette ko ungliyon se chhukar soongh liya karta tha
phir ek din mainne botal se thoDi si sharab apni collar ke pas uDel li
man jab mujhe chitthiyan likhti thi
to main unhen paDhne se pahle sunghta tha
mujhe pata tha un chitthiyon ko
tum hi mere hostel ke pate par post karte the
tumhare jane ke baad
jab main thoDa aur baDa ho gaya
main tumhari tarah jine ke sare tariqe seekh chuka tha
apni munchhon par hath pherne ke tariqon
aur pair hilane ki bechainiyon mein tum thoDa sa rah gaye
ab bhi jab kisi raat ko main karwat badalta hoon
to diwar par ek khunti gaDi dekhta hoon
aur us par latakti hui ek taswir
bahut salon baad ab jakar main samajh paya
ki waqt ke sath tumne apni gandh badal li thi
ab tum mere pasine mein nahin
guD aur ghi se lipti hui gandh ke sath mahakte ho!

- रचनाकार : नवीन रांगियाल
- प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.