काले रंग से बैर न हो यदि
जैसे चित्रकार नहीं करता
तो इसे जी भर देखें
ख़ुद देखेंगे आप
अनगिन संवेदनाओं का
ज़ख़ीरा है यह
आइए उस वक़्त देखें इसे
जब आग और हाथ के बीच
सेतु बना हो यह
यानी उस वक़्त
जब गृहणी के हाथ में हो
इसके एक सिरे की पकड़
तब देखते बनेगी
इसके बल नाचती रोटी
इसे उस वक़्त भी देखें ज़रूर
जब धुलने के लिए
तरह-तरह चमकदार आकृतिदार
बर्तनों के बीच
बेड़ौल-सा रखा हो यह
दो पैर आगे पीछे
चलने को आतुर जैसे
वक़्त-वक़्त की बात है श्रीमान
अब ज़रा पीछे चलें
हम घर-परिवार वाले
आगे आ गए वक़्त के
अब देखें इसे
यह ईदगाह में
हामिद का मोल लिया हुआ भी है
जो मित्रों के खिलौनों के बीच
विजय-घोष करता
दादी माँ की संवेदना में शामिल होता है।
kale rang se bair na ho yadi
jaise chitrkar nahin karta
to ise ji bhar dekhen
khu dekhenge aap
angin sanwednaon ka
zakhira hai ye
aiye us waqt dekhen ise
jab aag aur hath ke beech
setu bana ho ye
yani us waqt
jab grihanai ke hath mein ho
iske ek sire ki pakaD
tab dekhte banegi
iske bal nachti roti
ise us waqt bhi dekhen zarur
jab Dhulne ke liye
tarah tarah chamakdar akritidar
bartnon ke beech
beDaul sa rakha ho ye
do pair aage pichhe
chalne ko aatur jaise
waqt waqt ki baat hai shriman
ab zara pichhe chalen
hum ghar pariwar wale
age aa gaye waqt ke
ab dekhen ise
ye idagah mein
hamid ka mol liya hua bhi hai
jo mitron ke khilaunon ke beech
wijay ghosh karta
dadi man ki sanwedna mein shamil hota hai
kale rang se bair na ho yadi
jaise chitrkar nahin karta
to ise ji bhar dekhen
khu dekhenge aap
angin sanwednaon ka
zakhira hai ye
aiye us waqt dekhen ise
jab aag aur hath ke beech
setu bana ho ye
yani us waqt
jab grihanai ke hath mein ho
iske ek sire ki pakaD
tab dekhte banegi
iske bal nachti roti
ise us waqt bhi dekhen zarur
jab Dhulne ke liye
tarah tarah chamakdar akritidar
bartnon ke beech
beDaul sa rakha ho ye
do pair aage pichhe
chalne ko aatur jaise
waqt waqt ki baat hai shriman
ab zara pichhe chalen
hum ghar pariwar wale
age aa gaye waqt ke
ab dekhen ise
ye idagah mein
hamid ka mol liya hua bhi hai
jo mitron ke khilaunon ke beech
wijay ghosh karta
dadi man ki sanwedna mein shamil hota hai
स्रोत :
पुस्तक : दूसरी हिंदी (पृष्ठ 160)
संपादक : निर्मला गर्ग
रचनाकार : नासिर अहमद सिकंदर
प्रकाशन : अनन्य प्रकाशन
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.