गली-गली  गाँव  में  अबूझ-सी  पहेली  है।  
खेतों-खलिहानों  में  भूख  ही  अकेली  है॥  
खाने  को  अन्न  नहीं  कपड़े  हैं  तार-तार  
अपनी  तक़दीर  ही  रुलाती  है  बार-बार  
मिलती  है  हफ़्तों  में  रोटी  दो  चार  बार॥  
व्याकुल  से  बूढ़े  उदास-सी  नवेली  है।  
खेतों-खलिहानों  में  भूख  ही  अकेली  है॥  
बच्चों  के  पेट  जरै,  बहू  बिन  दहेज  बरै  
चूल्हे  की  आग  मरै,  बरतन  में  ज़ंग  धरै  
करते  पुकार  यही  उनका  कोई  दर्द  हरै  
यह  कराह  हरदम  है,  टीस  ही  सहेली  है।  
खेतों-खलिहानों  में  भूख  ही  अकेली  है॥  
क़िस्मत  के  हारे  हैं,  दर्द  के  दुलारे  हैं  
ममता  की  पनियाई  आँखों  के  तारे  हैं  
पैरों  में  पत्थर  और  हाथों  में  गारे  हैं  
सपनों  में  बचपन  की  बाँस  की  सुपेली  है।  
खेतों-खलिहानों  में  भूख  ही  अकेली  है॥  
                gali  gali  gaanv  mein  abujh  si  paheli  hai.  
kheton  khalihanon  mein  bhookh  hi  akeli  hai.  
khanen  ko  ann  nahin  kapDe  hain  taar  taar,  
apni  taqdir  hi  rulati  hai  baar  baar,  
milti  hai  hafton  mein  roti  do  chaar  baar॥  
vyakul  se  buDhe  udaas  si  naveli  hai.  
kheton  khalihanon  mein  bhookh  hi  akeli  hai॥  
bachchon  ke  pet  jarai,  bahu  bin  dahez  barai,  
chulhe  ki  aag  marai,  bartan  mein  jang  dharai,  
karte  pukar  yahi  unka  koi  dard  harai,  
ye  karah  hardam  hai,  tees  hi  saheli  hai.  
kheton  khalihanon  mein  bhookh  hi  akeli  hai॥  
qimat  ke  hare  hain  dard  ke  dulare  hain,  
mamta  ki  paniyai  ankhon  ke  tare  hain,  
pairon  mein  patthar  aur  hathon  mein  gare  hain,  
sapnon  mein  bachpan  ki  baans  ki  supeli  hai.  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : विनम्र सेन सिंह 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.