उस विशाल सामंती खंडहर के एक कोने में हमारी ताई रहती थी—एक टूटे-फूटे कमरे में जिसकी लगातार मरहम-पट्टी होती थी और फिर भी जो मानो धरती की आकर्षण शक्ति से खिसका ही पड़ता हो। हमारे पुरखों ने दिल्ली त्याग कर यह मकान बनाया था, किसी ज़माने में इसके बाहर के बैठके और अंतपुर के कमरे मधुर हास्य से गूँजते होंगे, किंतु अब इस खंडहर का वायु-मडल इतना दूषित और बिपाक्त हो गया था कि यहाँ साँस लेना भी कठिन था। इस आलीशान मकान के खंड-खंड हो चुके थे; जगह-जगह पीपल के पौधे फूट रहे ये, कुएँ पर ‘ताम्रपर्ण शतमुख पीपल के निझर’ झरते थे। एक और पितामह की लगाई गुलवास की बेल फूल-फूल कर मानो खंडहर का उपहास करती थी। टूटी-फूटी बग़ीची में, जहाँ नित्य प्रात एकांतसेवी ‘दिशा’ खोजते थे, अनेक विपघर निकलते थे जिनकी गिनती हमारे पुरखो मैं थी। वह किसी अज्ञात काल्पनिक माया की रक्षा में लगे थे। इस भग्न सामंती विरासत के अनुरूप वे ही उसके उत्तराधिकारी और रक्षक थे। वह बृहद् कुल की एक शाख़ा फली-फूली थी। खंडहर के एक ही कोने की मरम्मत हुई थी और वह तिमजिला कोना शेख़ी से अकड़ा शेष खंडहर पर नए धनिक की भाँति हँस रहा था। कुल के शिक्षित युवा दूर-दूर कमाई के लिए निकल गए थे, केवल बड़े-बूढ़े खंडहर के पृष्ठपोपण के लिए बच गए थे। इन बुज़ुर्गों में कभी-कभी भयंकर वाग्युद्ध छिड़ता था, जिसका प्रभाव पूरे कुल के जीवन पर पड़ता था; उस दिन चूल्हे भी न जलते थे, आपस की बोलचाल बंद हो जाती थी। पुरुषों के संग्राम की छाया स्त्रियों पर और बच्चों के खेल पर भी पड़ती थी।
इस वातावरण में अनायास ही ताई कहीं दूर से आकर बस गईं। उनके तीन छोटे छोटे बच्चे थे। ताऊ बीमार थे; जीवन संग्राम से थके और जर्जर, अपने प्राण त्यागने किसी आदिम स्वभाव के अनुसार इस अध-गुहा में लौट आए थे। जीवन में सफलता के लिए उन्होंने अनेक प्रयत्न किए थे; बहुत सिर मारा था, किंतु अब अस्त्र डालकर मृत्यु की प्रतीक्षा कर रहे थे। तीन बार उनका विवाह हुमा था; पहली दो पत्नियाँ उनका साथ न दे सकी किंतु यह ताई लौह-शलाका के समान कठिन थी। उनके सुगठित शरीर और शाँत मुद्रा पर जीवन के प्रहारों का कोई स्पष्ट प्रभाव न था।
ताई और उनके तीन बच्चों के जीवन-यापन के लिए सामंती कुल ने व्यवस्था करने का भरसक प्रयत्न किया। एक दुकान का किराया उनके नाम कर दिया गया। और मासिक सहायता का प्रबंध भी हुआ, किंतु वह अधिक दिन न चल सका। ‘हमारी’ चाची ख़ूब लड़ी, “जब अपने घर एक विधवा असहाय बैठी है, तो दूर मदद देने क्यों जाए?” ताई दूर के रिश्ते की ताई थी, चाची ख़ास अपनी थी। कुल में सभी ने ताई की दशा पर आँसू बहाए, ताऊ की मृत्यु पर एक कोहराम मचा; आँसुओ के पारावार बहे; किंतु कुछ ही दिन बाद कलह, द्वेष और फूट ने फिर खंडहर पर अपना साम्राज्य स्थापित कर लिया। कानाफूसी शुरू हुई। ताऊ ने अवश्य ही परदेश में अपार धन कमाया होगा। ताई के कपड़े फटे थे और बच्चों के पास तो थे भी नही; किंतु एक दिन चाची ने स्वयं अपनी आँखो से ताई को मिठाई खाते देखा था, ताई की जीभ चटोरी थी, तभी तो उन्होंने अपने घर का यह कुहाल कर लिया! ताई का चरित्र ठीक न था: वह सहायता की पात्र न थी।
अंत में परिवार की सहायता ने यह रूप ग्रहण किया कि ताई कुटाई-पिसाई करे और जीविका अर्जन करे। किसी के यहाँ काम होता तो ताई बुलाई जाती। उन्होंने अपने बड़े लड़के से चाट भी बिकवाई, किंतु यह प्राणी बड़े निरीह थे और दुनिया के धंधों से सर्वथा अपरिचित थे। यह सिलसिला भी न चला और ताई थक कर बैठ गई। अपनी पराजय का क्षोभ वह बच्चों पर उतारने लगी।
आज भी जब मुझे ताई का घर याद आता है तो कठिन अवसाद का पत्थर-सा मन पर रख जाता है। वर्षा के दिन, टप-टप करता घर, लौनी खाई दीवारें, बाहर हूहू करती हवा का अघड़, इस घोर अंधकार बियाबान मे इस नारी की जीवन-बाती मद-मद जल रही थी। चारों ओर ज़क खाती सिगरेट बनाने की बेकार कले पड़ी थी। उन्हीं के बीच, सामंतवाद और पूँजीवाद की मिलन-भूमि पर, इस क्षुद्र कुटुंब का होम हो रहा था।
ताई के बड़े लड़के को एक संतानहीन सेठ गोद लेना चाहता था, किंतु बूढ़े कुलपति ने इसमें अपनी कुल-मर्यादा की हानि समझी। लड़का इधर-उधर चौका-वर्तन करने लगा। नौकर की हैसियत से उसने अपने कुल का मान रखा और यह अक्षय यश कमा कर स्वर्ग का फल भोगने चला गया। लड़की का दिमाग़ कुछ ख़राब था। वह ‘बिगड़ता ही गया। छोटे लड़के को एक दिन कोई रोग लेकर चलता बना। इस प्रकार ताई का छोटा सा कुटुम्ब बारहबाट हो गया।
ताई अकसर कूट-पीस करने कुल के धनिक संधियों के यहाँ जाती थी। इनमें एक अधेड़ चाचा क्वारे थे। किसी कारणवश उनका विवाह न होता था और अब आशा भी न रही थी। इन्होंने ताई का पल्ला पकड़ा। एक दिन ताई ने अवांछित नए शिशु को जन्म भी दे डाला। कुल में बड़ा तूफ़ान उठा। हफ़्तों लड़ाई हुई। अंत में अप्रत्याशित दूरदर्शिता दिखाते हुए कुलपति ने दोनों का घर एक कर दिया। धनिक चाचा को नाम चलाने का सहारा मिला। सामंती कुल-वधू ने धन का वरण करके जीवन की लज्जा ढकी।
इस बात को बहुत दिन हो गए, किंतु फिर भी राख में दबे कोयलों की भाँति यह आग अंदर ही अंदर सुलगती रहती है और चाहे जब भड़क उठती है। द्वेप के अघड़ में इस आग की चिनगारियाँ दूर-दूर फैल जाती है और शायद ही कोई बिना झुलसे उनसे अछूता बचता हो।
tai
us wishal samanti khanDhar ke ek kone mein hamari tai rahti thi—ek tute phute kamre mein jiski lagatar marham patti hoti thi aur phir bhi jo mano dharti ki akarshan shakti se khiska hi paDta ho hamare purkho ne dilli tyag kar ye makan banaya tha, kisi zamane mein iske bahar ke baithke aur antpur ke kamre madhur hasya se gunjte honge, kintu ab is khanDhar ka wayu maDal itna dushait aur bipakt ho gaya tha ki yahan sans lena bhi kathin tha is alishan makan ke khanD khanD ho chuke the; jagah jagah pipal ke paudhe phoot rahe ye, kuen par ‘tamrparn shatmukh pipal ke nijhar’ jharte the ek aur pitamah ki lagai gulwas ki bel phool phool kar mano khanDhar ka uphas karti thi tuti phuti baghichi mein, jahan nity praat ekantsewi disha khojte the, anek wipghar nikalte the jinki ginti hamare purkho main thi wo kisi agyat kalpanik maya ki rakhsha mein lage the is bhagn samanti wirasat ke anurup we hi uske uttaradhikari aur rakshak the wo brihad kul ki ek shakha phali phuli thi khanDhar ke ek hi kone ki marammat hui thi aur wo timajila kona shekhi se akDa shesh khanDhar par nae dhanik ki bhanti hans raha tha kul ke shikshait yuwa door door kamai ke liye nikal gaye the, kewal baDe buDhe khanDhar ke prishthpopan ke liye bach gaye the in buzugon mein kabhi kabhi bhayankar wagyuddh chhiDta tha, jiska prabhaw pure kul ke jiwan par paDta tha; us din chulhe bhi na jalte the, aapas ki bolachal band ho jati thi purushon ke sangram ki chhaya striyon par aur bachchon ke khel par bhi paDti thi
is watawarn mein anayas hi tai kahin door se aakar bus gain unke teen chhote chhote bachche the tau bimar the; jiwan sangram se thake aur jarjar, apne paran tyagne kisi aadim swbhaw ke anusar is adh guha mein laut aaye the jiwan mein saphalta ke liye unhonne anek prayatn kiye the; bahut sir mara tha, kintu ab astra Dalkar mirtyu ki pratiksha kar rahe the teen bar unka wiwah huma tha; pahli do patniyan unka sath na de saki kintu ye tai lauh shalaka ke saman kathin thi unke sugthit sharir aur shant mudra par jiwan ke prharon ka koi aspasht prabhaw na tha
tai aur unke teen bachchon ke jiwan yapan ke liye samanti kul ne wyawastha karne ka bharsak prayatn kiya ek dukan ka kiraya unke nam kar diya gaya aur masik sahayata ka prbandh bhi hua, kintu wo adhik din na chal saka hamari chachi khoob laDi, jab apne ghar ek widhwa asahaye baithi hai, to door madad dene kyon jaye? tai door ke rishte ki tai thi, chachi khas apni thi kul mein sabhi ne tai ki dasha par ansu bahaye, tau ki mirtyu par ek kohram macha; ansuo ke parawar bahe; kintu kuch hi din baad kalah, dwesh aur phoot ne phir khanDhar par apna samrajy sthapit kar liya kanaphusi shuru hui tau ne awashy hi pardesh mein apar dhan kamaya hoga tai ke kapDe phate the aur bachchon ke pas to the bhi nahi; kintu ek din chachi ne swayan apni ankho se tai ko mithai khate dekha tha, tai ki jeebh chatori thi, tabhi to unhonne apne ghar ka ye kuhal kar liya! tai ka charitr theek na thah wo sahayata ki patr na thi
ant mein pariwar ki sahayata ne ye roop grahn kiya ki tai kutai pisai kare aur jiwika arjan kare kisi ke yahan kaam hota to tai bulai jati unhonne apne baDe laDke se chat bhi bikwai, kintu ye parani baDe nirih the aur duniya ke dhandhon se sarwatha aprichit the ye silsila bhi na chala aur tai thak kar baith gai apni parajay ka kshaobh wo bachchon par utarne lagi
aj bhi jab mujhe tai ka ghar yaad aata hai to kathin awsad ka patthar sa man par rakh jata hai warsha ke din, tap tap karta ghar, launi khai diwaren, bahar huhu karti hawa ka aghaD, is ghor andhkar biyaban mae is nari ki jiwan bati mad mad jal rahi thi charo or zak khati cigarette banane ki bekar kale paDi thi unhin ke beech, samantwad aur punjiwad ki milan bhumi par, is kshaudr kutumb ka hom ho raha tha
tai ke baDe laDke ko ek santanhin seth god lena chahta tha, kintu buDhe kulapti ne ismen apni kul maryada ki hani samjhi laDka idhar udhar chauka wartan karne laga naukar ki haisiyat se usne apne kul ka man rakha aur ye akshay yash kama kar swarg ka phal bhogne chala gaya laDki ka dimagh kuch kharab tha wo bigaDta hi gaya chhote laDke ko ek din koi rog lekar chalta bana is prakar tai ka chhota sa kutumb barahbat ho gaya
tai aksar koot pees karne kul ke dhanik sandhiyon ke yahan jati thi inmen ek adheD chacha kware the kisi karanawash unka wiwah na hota tha aur ab aasha bhi na rahi thi inhonne tai ka palla pakDa ek din tai ne awanchhit nae shishu ko janm bhi de Dala kul mein baDa tufan utha hafton laDai hui ant mein apratyashit duradarshita dikhate hue kulapti ne donon ka ghar ek kar diya dhanik chacha ko nam chalane ka sahara mila samanti kul wadhu ne dhan ka warn karke jiwan ki lajja Dhaki
is baat ko bahut din ho gaye, kintu phir bhi rakh mein dabe koylon ki bhanti ye aag andar hi andar sulagti rahti hai aur chahe jab bhaDak uthti hai dwep ke aghaD mein is aag ki chingariyan door door phail jati hai aur shayad hi koi bina jhulse unse achhuta bachta ho

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।