उसने उस ज़माने में पैदा लिया
जब क़लम में स्याही भरी जाती थी
ख़त्म होने पर फिर भरी जाती
फिर ख़त्म होने पर फिर भरी जाती
फेंका नहीं जाता था
सँभाल कर जतन से रखा जाता था
जब किसी काम की नहीं रह जाती
फिर भी सहेजा जाता
मोह रहता
साथी पुरानी चीज़ से
समय बदला,
बॉल पेन का ज़माना आया
वह रीफ़िल होता था
पर मोह वहाँ भी था
समय और बदला
अब मोह कमज़ोरों की भावना थी
कितनी चीज़ों को सँभाला जाता,
कूड़ेदान लग गए जगह-जगह—
हर चीज़ के लिए…
क़लम हो,
किताब हो,
जूते हों
या मनुष्य।
usne us zamane mein paida liya
jab qalam mein syahi bhari jati thi
khatm hone par phir bhari jati
phir khatm hone par phir bhari jati
phenka nahin jata tha
sanbhal kar jatan se rakha jata tha
jab kisi kaam ki nahin rah jati
phir bhi saheja jata
moh rahta
sathi purani cheez se
samay badla,
ball pen ka zamana aaya
wo rifil hota tha
par moh wahan bhi tha
samay aur badla
ab moh kamzoron ki bhawna thi
kitni chizon ko sambhala jata,
kuDedan lag gaye jagah jagah—
har cheez ke liye…
qalam ho,
kitab ho,
jute hon
ya manushya
usne us zamane mein paida liya
jab qalam mein syahi bhari jati thi
khatm hone par phir bhari jati
phir khatm hone par phir bhari jati
phenka nahin jata tha
sanbhal kar jatan se rakha jata tha
jab kisi kaam ki nahin rah jati
phir bhi saheja jata
moh rahta
sathi purani cheez se
samay badla,
ball pen ka zamana aaya
wo rifil hota tha
par moh wahan bhi tha
samay aur badla
ab moh kamzoron ki bhawna thi
kitni chizon ko sambhala jata,
kuDedan lag gaye jagah jagah—
har cheez ke liye…
qalam ho,
kitab ho,
jute hon
ya manushya
स्रोत :
रचनाकार : राजेश कमल
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.