ऐसी स्ट्रॉबेरीज़ पहले कभी नहीं थीं
जैसी वे थीं जो हमारे पास थीं
उस उमस भरी दोपहर में
जब खुली हुई फ़्रेंच खिड़की की
सीढ़ी पर बैठे हुए
एक-दूसरे की ओर मुख किए
तुम्हारे घुटने मेरे घुटनों से लिपटे हुए
नीली प्लेटें हमारी गोद में
और तेज़ धूप में चमकती हुई वे स्ट्रॉबेरीज़
हमने उन्हें चीनी में डुबोया
एक-दूसरे को देखते हुए
उस भोज के लिए जल्दबाज़ी न करते हुए
जो आयोजित होने वाला था—
ख़ाली प्लेटें
पत्थर पर साथ-साथ रखी हुईं
दो फ़ोर्क आपस में क्रॉस में सजे हुए
और मैं तुम्हारी ओर झुका
उस हवा में मिठास थी
मेरी बाँहों में तुम
एक बच्चे की तरह निश्चिंत
तुम्हारे उतावले होंठों से
स्ट्रॉबेरीज़ का स्वाद
मेरी स्मृति में उतर गया
फिर से पीछे झुको ज़रा
कर लेने दो तुम्हें प्रेम
सूरज को चमकने दो
हमारी विस्मृति पर—
एक ऐसा क्षण—सिर्फ़ एक घंटा—
जिसमें गर्मी अपने चरम पर हो,
और ग्रीष्म की बिजली
किलपैट्रिक की पहाड़ियों पर चमके
धो लेने दो प्लेटें तूफ़ान को।
aisi strauberiz pahle kabhi nahin theen
jaisi ve theen jo hamare paas theen
us umas bhari dopahar men
jab khuli hui french khiDki ki
siDhi par baithe hue
ek dusre ki or mukh kiye
tumhare ghutne mere ghutnon se lipte hue
nili pleten hamari god men
aur tez dhoop mein chamakti hui ve strauberiz
hamne unhen chini mein Duboya
ek dusre ko dekhte hue
us bhoj ke liye jaldbazi na karte hue
jo ayojit hone vala tha—
khali pleten
patthar par saath saath rakhi huin
do fork aapas mein kraus mein saje hue
aur main tumhari or jhuka
us hava mein mithas thi
meri banhon mein tum
ek bachche ki tarah nishchint
tumhare utavle honthon se
strauberiz ka svaad
meri smriti mein utar gaya
phir se pichhe jhuko zara
kar lene do tumhein prem
suraj ko chamakne do
hamari vismriti par—
ek aisa kshan—sirf ek ghanta—
jismen garmi apne charam par ho,
aur greeshm ki bijli
kilpaitrik ki pahaDiyon par chamke
dho lene do pleten tufan ko.
aisi strauberiz pahle kabhi nahin theen
jaisi ve theen jo hamare paas theen
us umas bhari dopahar men
jab khuli hui french khiDki ki
siDhi par baithe hue
ek dusre ki or mukh kiye
tumhare ghutne mere ghutnon se lipte hue
nili pleten hamari god men
aur tez dhoop mein chamakti hui ve strauberiz
hamne unhen chini mein Duboya
ek dusre ko dekhte hue
us bhoj ke liye jaldbazi na karte hue
jo ayojit hone vala tha—
khali pleten
patthar par saath saath rakhi huin
do fork aapas mein kraus mein saje hue
aur main tumhari or jhuka
us hava mein mithas thi
meri banhon mein tum
ek bachche ki tarah nishchint
tumhare utavle honthon se
strauberiz ka svaad
meri smriti mein utar gaya
phir se pichhe jhuko zara
kar lene do tumhein prem
suraj ko chamakne do
hamari vismriti par—
ek aisa kshan—sirf ek ghanta—
jismen garmi apne charam par ho,
aur greeshm ki bijli
kilpaitrik ki pahaDiyon par chamke
dho lene do pleten tufan ko.
स्रोत :
रचनाकार : एडविन मॉर्गन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए शायक आलोक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.