मेहनत की लूट सबसे ख़तरनाक नहीं होती
पुलिस की मार सबसे ख़तरनाक नहीं होती
गद्दारी-लोभ की मुट्ठी सबसे ख़तरनाक नहीं होती
बैठे-बिठाए पकड़े जाना—बुरा तो है
सहमी-सी चुप में जकड़े जाना—बुरा तो है
सबसे ख़तरनाक नहीं होता
कपट के शोर में
सही होते हुए भी दब जाना—बुरा तो है
किसी जुगनू की लौ में पढ़ना—बुरा तो है
मुट्ठियाँ भींचकर बस वक़्त निकाल लेना—बुरा तो है
सबसे ख़तरनाक नहीं होता
सबसे ख़तरनाक होता है
मुर्दा शांति से भर जाना
न होना तड़प का सब सहन कर जाना
घर से निकलना काम पर
और काम से लौटकर घर जाना
सबसे ख़तरनाक होता है
हमारे सपनों का मर जाना
सबसे ख़तरनाक वह घड़ी होती है
आपकी कलाई पर चलती हुई भी जो
आपकी निगाह में रुकी होती है
सबसे ख़तरनाक वह आँख होती है
जो सब कुछ देखती हुई भी जमी बर्फ़ होती है
जिसकी नज़र दुनिया को मुहब्बत से चूमना भूल जाती है
जो चीज़ों से उठती अंधेपन की भाप पर ढुलक जाती है
जो रोज़मर्रा के क्रम को पीती हुई
एक लक्ष्यहीन दुहराव के उलटफेर में खो जाती है
सबसे ख़तरनाक वह चाँद होता है
जो हर हत्याकांड के बाद
वीरान हुए आँगनों में चढ़ता है
पर आपकी आँखों को मिर्चों की तरह नहीं गड़ता है
सबसे ख़तरनाक वह गीत होता है
आपके कानों तक पहुँचने के लिए
जो मरसिये पढ़ता है
आतंकित लोगों के दरवाज़ों पर
जो ग़ुंडे की तरह अकड़ता है
सबसे ख़तरनाक वह रात होती है
जो ज़िंदा रूह के आसमानों पर ढलती है
जिसमें सिर्फ़ उल्लू बोलते और हुआँ-हुआँ करते गीदड़
हमेशा के अँधेरे-बंद दरवाज़ों-चौगाठों पर चिपक जाते हैं
सबसे ख़तरनाक वह दिशा होती है
जिसमें आत्मा का सूरज डूब जाए
और उसकी मुर्दा धूप का कोई टुकड़ा
आपके जिस्म के पूरब में चुभ जाए
मेहनत की लूट सबसे ख़तरनाक नहीं होती
पुलिस की मार सबसे ख़तरनाक नहीं होती
गद्दारी-लोभ की मुट्ठी सबसे ख़तरनाक नहीं होती।
mehnat ki loot sabse khatarnak nahin hoti
police ki mar sabse khatarnak nahin hoti
gaddari lobh ki mutthi sabasse khatarnak nahin hoti
baithe bithaye pakDe jana—bura to hai
sahmi si chup mein jakDe jana—bura to hai
par sabse khatarnak nahin hota
kapat ke shor mein
sahi hote hue bhi dab jana—bura to hai
kisi jugnu ki lau mein paDhna—bura to hai
mutthiyan bhinchkar bus waqt nikal lena—bura to hai
sabse khatarnak nahin hota
sabse khatarnak hota hai
murda shanti se bhar jana
na hona taDap ka sab sahn kar jana
ghar se nikalna kaam par
aur kaam se lautkar ghar jana
sabse khatarnak hota hai
hamare sapnon ka mar jana
sabse khatarnak wo ghaDi hoti hai
apaki kalai par chalti hui bhi jo
apaki nigah mein ruki hoti hai
sabse khatarnak wo ankh hoti hai
jo sabkuchh dekhti hui bhi jami barf hoti hai
jiski nazar duniya ko muhabbat se chumna bhool jati hai
jo chizon se uthti andhepan ki bhap par Dhulak jati hai
jo rozmarra ke kram ko piti hui
ek lakshyhin duhraw ke ulatpher mein kho jati hai
sabse khatarnak wo chand hota hai
jo har hatyakanD ke baad
wiran hue anganon mein chaDhta hai
par apaki ankhon ko mirchon ki tarah nahin gaDta hai
sabse khatarnak wo geet hota hai
apke kanon tak pahunchne ke liye
jo marasiye paDhta hai
atankit logon ke darwazon par
jo gunDe ki tarah akaDta hai
sabse khatarnak wo raat hoti hai
jo zinda rooh ke asmanon par Dhalti hai
jismen sirf ullu bolte aur huan huan karte gidaD
hamesha ke andhere band darwazon chaugathon par chipak jate hain
sabse khatarnak wo disha hoti hai
jismen aatma ka suraj Doob jaye
aur uski murda dhoop ka koi tukDa
apke jism ke purab mein chubh jaye
mehnat ki loot sabse khatarnak nahin hoti
police ki mar sabse khatarnak nahin hoti
gaddari lobh ki mutthi sabse khatarnak nahin hoti

स्रोत :
पुस्तक : लहू है कि तब भी गाता है (पृष्ठ 17)
संपादक : चमनलाल, कात्यायनी
रचनाकार : पाश
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.