मैंने अपनी यादगार ली बना, नहीं पर हाथों से,
होगी इसकी पूजा दुनिया भर के झुकते माथों से,
देखो यह नभ में गर्वोन्नत अपना शीश उठाती है,
इसके नीचे खड़ी सिकंदर की मीनार लजाती है।
मूक बना दे मौत मुझे पर वीणा तो होगी वाचाल,
मुझे वहाँ पर पहुँचाएगी जहाँ नहीं जा सकता काल,
एक सुकवि का भी वसुधा पर जब तक शेष रहेगा धाम,
बजा करेगी मेरी वीणा, जगा करेगा मेरा नाम।
रूस देश की विस्तृत पृथिवों मेरी कीर्ति गुँजाएगी,
हर सजीव भाषा मानव की मेरी कविता गाएगी,
स्लाव और फिन, कलमुक, तुगुस की मैं अभिमानी संतान,
जिनके गौरव की गाथा से परिचित है रूसी मैदान।
युग-युग तक सब राष्ट्र जातियाँ देंगी मुझको आदर मान,
क्योंकि विशद भावों की प्रेरक है मेरी वीणा की तान,
ज़ालिम घड़ियों में गाया है मैंने आज़ादी का राग,
और सताए लोगों के प्रति न्याय दया की रक्खी माँग।
अंबर के अनुशासन पर चल, वाणी, सुन उसकी आवाज़,
बंदगोई से सीख न डरना, नामवरी का माँग न ताज,
निंदा और सुयश से अपने कान मूद ले, मुँह मत खोल,
मुख के अंदर ही मुखरित हो मिट जाते मूढ़ों के बोल!
mainne apni yadgar li bana, nahin par hathon se,
hogi iski puja duniya bhar ke jhukte mathon se,
dekho ye nabh mein garvonat apna sheesh uthati hai,
iske niche khaDi sikandar ki minar lajati hai.
mook bana de maut mujhe par vina to hogi vachal,
mujhe vahan par pahunchayegi jahan nahin ja sakta kaal,
ek sukvi ka bhi vasudha par jab tak shesh rahega ghaam,
baja karegi meri vina, jaga karega mera naam.
room desh ki vistrit prithivon meri kirti gunjayegi,
har sajiv bhasha manav ki meri kavita gayegi,
slaav aur phin, kalmuk, tugus ki mein abhimani santan,
jinke gaurav ki gatha se parichit hai rusi maidan.
yug yug tak sab rashtra jatiyan dengi mujhko aadar maan,
kyonki vishad bhavon ki prerak hai meri vina ki taan,
zalim ghaDiyon mein gaya hai mainne azadi ka raag,
aur sataye logon ke prati nyaay daya ki rakkhi maang.
ambar ke anushasan par chal, vani, sun uski avaz,
bandgoi se seekh na Darna, namavri ka maang na taaj,
ninda aur suyash se apne kaan mood le, munh mat khol,
mukh ke andar hi mukhrit ho mit jate maDho ke bol!
slav–rus mein basi hui jatiyan

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 77)
रचनाकार : अलेक्सांद्र पूश्किन
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.