मैं उन सीढ़ियों से भी प्रेम करता हूँ
जिन पर चलकर उससे मिलने जाया करता था
और उस खिड़की से भी
जिसके बाहर देखती थीं उसकी उदास आँखें
मुझे अब भी उस अँधेरे से प्रेम है
जिसके उजालों में चलकर पहुँचा था उसके पास
मैंने उन सारी चीज़ों से प्रेम किया
जो उसके हाथों से छुई गई थीं—
कभी न कभी
जैसे दीवार
काजल लगा आईना
कपड़े सुखाने की रस्सियाँ
कमरे की चाबियाँ
और कमरे की सारी खूँटियाँ—
जहाँ हमने अपनी प्रार्थनाएँ लटकाई थीं कभी
मैंने अलमारी में लटके उन सारे हैंगर्स से भी प्रेम किया
जिनमें सफ़ेद झाग वाले सर्फ़ की तरह महकते थे उसके हाथ
मैंने उन सारी चीज़ों से प्रेम किया
जिन्हें उसके तलवों ने छुआ था
जैसे पृथ्वी
जैसे यह सारा संसार
इस तरह मैंने
दुनिया की हर एक चीज़ से प्रेम किया—
उसके प्रेम में।
main un siDhiyon se bhi prem karta hoon
jin par chalkar usse milne jaya karta tha
aur us khiDki se bhi
jiske bahar dekhti theen uski udas ankhen
mujhe ab bhi us andhere se prem hai
jiske ujalon mein chalkar pahuncha tha uske pas
mainne un sari chizon se prem kiya
jo uske hathon se chhui gai theen—
kabhi na kabhi
jaise diwar
kajal laga aina
kapDe sukhane ki rassiyan
kamre ki chabiyan
aur kamre ki sari khuntiyan—
jahan hamne apni prarthnayen latkai theen kabhi
mainne almari mein latke un sare haingars se bhi prem kiya
jinmen safed jhag wale sarf ki tarah mahakte the uske hath
mainne un sari chizon se prem kiya
jinhen uske talwon ne chhua tha
jaise prithwi
jaise ye sara sansar
is tarah mainne
duniya ki har ek cheez se prem kiya—
uske prem mein
main un siDhiyon se bhi prem karta hoon
jin par chalkar usse milne jaya karta tha
aur us khiDki se bhi
jiske bahar dekhti theen uski udas ankhen
mujhe ab bhi us andhere se prem hai
jiske ujalon mein chalkar pahuncha tha uske pas
mainne un sari chizon se prem kiya
jo uske hathon se chhui gai theen—
kabhi na kabhi
jaise diwar
kajal laga aina
kapDe sukhane ki rassiyan
kamre ki chabiyan
aur kamre ki sari khuntiyan—
jahan hamne apni prarthnayen latkai theen kabhi
mainne almari mein latke un sare haingars se bhi prem kiya
jinmen safed jhag wale sarf ki tarah mahakte the uske hath
mainne un sari chizon se prem kiya
jinhen uske talwon ne chhua tha
jaise prithwi
jaise ye sara sansar
is tarah mainne
duniya ki har ek cheez se prem kiya—
uske prem mein
स्रोत :
रचनाकार : नवीन रांगियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.