मरना निश्चित है
पर मैं मरूँगा स्वयं के हाथों
मैं समय का मखौल बनाने जा रहा हूँ
आँखों के मेरियन गर्त से
जुगुप्सा छलकाते हुए
परमाणु बम बने ह्रदय को सुलगाते हुए
काँपते हाथों से
संवेदना एवं नैतिकता का गला दबाते हुए
ये सब सफ़ेद ने कहा
सफ़ेद संवेदना नैतिकता प्रेमी हैं
ग़रज़ के प्रेमी
मन में चमकती बिजलियों के पीछे गरजते हैं
धनात्मक-ऋणात्मक के बीच महल बनाकर
कपोत के बिस्तर पर
रति की चादर ओढ़
करते रहे हैं संभोग
समय के जन्म से
संभोग करना युगनद्ध होना है!
महासुख के लिए!
एक-दूसरे के पुट्ठों को दबाते हुए
तीनों ने आपस में यही कहा था
महासुख शाश्वत होने के लिए
महासुख ईश्वर होने के लिए
सफ़ेद ईश्वर हाय! रूद्र? ना काल!
दौड़ता यही विचार
लेकर क्रिया की तलवार
संवेदना नैतिकता की सघन नशों में
ईश्वर से छत के नीचे छिपते हुए
ईश्वर के घर से चोरी करते हुए
बच्चों के अलग-अलग मत’ थे
मत’ एकमत हुआ संवेदना नैतिकता का
हत्या हुई मत-कर की
मत’ रेत रहा सफ़ेद का गला
सफ़ेद बेजान गिरा
खंडित हुआ अभंग गला
संवेदना नैतिकता नयन में
हेम-वर्ण-पुष्प खिला
बजे मौन मृदंग
बिना गँवाए वक़्त अदृश्य हुआ मत’
सई साँझ युगल का कोमल चुंबन
नव उमंग नव जीवन
एक-दूजे को गोद में रख
धवल शिखर पर हुए युगनद्ध
महासुख के लिए?
छह लाख प्रकाश वर्ष दूर
नभोमय भूमि पर
घुँघरू बाँध
रहा नाच
गा रहा नेह साँझ तले
अपनी कली अपनी राग
गायन थमा नृत्य रूका
नयन श्वेत किए
सफ़ेद ने कहा
सफ़ेद शाश्वत है
marna nishchit hai
par main marunga svayan ke hathon
main samay ka makhaul banane ja raha hoon
ankhon ke meriyan gart se
jugupsa chhalkate hue
parmanu bam bane hrday ko sulgate hue
kanpte hathon se
sanvedna evan naitikta ka gala dabate hue
ye sab safed ne kaha
safed sanvedna naitikta premi hain
gharaz ke premi
man mein chamakti bijaliyon ke pichhe garajte hain
dhanatmak rinatmak ke beech mahl banakar
kapot ke bistar par
rati ki chadar oDh
karte rahe hain sambhog
samay ke janm se
sambhog karna yugnaddh hona hai!
mahasukh ke liye!
ek dusre ke putthon ko dabate hue
tinon ne aapas mein yahi kaha tha
mahasukh shashvat hone ke liye
mahasukh iishvar hone ke liye
safed iishvar haay! roodr? na kaal!
dauDta yahi vichar
lekar kriya ki talvar
sanvedna naitikta ki saghan nashon mein
iishvar se chhat ke niche chhipte hue
iishvar ke ghar se chori karte hue
bachchon ke alag alag mat’ the
mat’ ekmat hua sanvedna naitikta ka
hatya hui mat kar ki
mat’ ret raha safed ka gala
safed bejan gira
khanDit hua abhang gala
sanvedna naitikta nayan mein
hem varn pushp khila
baje maun mridang
bina ganvaye vaqt adrishya hua mat’
sai saanjh yugal ka komal chumban
nav umang nav jivan
ek duje ko god mein rakh
dhaval shikhar par hue yugnaddh
mahasukh ke liye?
chhah laakh parkash varsh door
nabhomay bhumi par
ghunghru baandh
raha naach
ga raha neh saanjh tale
apni kali apni raag
gayan thama nritya ruka
nayan shvet kiye
safed ne kaha
safed shashvat hai
marna nishchit hai
par main marunga svayan ke hathon
main samay ka makhaul banane ja raha hoon
ankhon ke meriyan gart se
jugupsa chhalkate hue
parmanu bam bane hrday ko sulgate hue
kanpte hathon se
sanvedna evan naitikta ka gala dabate hue
ye sab safed ne kaha
safed sanvedna naitikta premi hain
gharaz ke premi
man mein chamakti bijaliyon ke pichhe garajte hain
dhanatmak rinatmak ke beech mahl banakar
kapot ke bistar par
rati ki chadar oDh
karte rahe hain sambhog
samay ke janm se
sambhog karna yugnaddh hona hai!
mahasukh ke liye!
ek dusre ke putthon ko dabate hue
tinon ne aapas mein yahi kaha tha
mahasukh shashvat hone ke liye
mahasukh iishvar hone ke liye
safed iishvar haay! roodr? na kaal!
dauDta yahi vichar
lekar kriya ki talvar
sanvedna naitikta ki saghan nashon mein
iishvar se chhat ke niche chhipte hue
iishvar ke ghar se chori karte hue
bachchon ke alag alag mat’ the
mat’ ekmat hua sanvedna naitikta ka
hatya hui mat kar ki
mat’ ret raha safed ka gala
safed bejan gira
khanDit hua abhang gala
sanvedna naitikta nayan mein
hem varn pushp khila
baje maun mridang
bina ganvaye vaqt adrishya hua mat’
sai saanjh yugal ka komal chumban
nav umang nav jivan
ek duje ko god mein rakh
dhaval shikhar par hue yugnaddh
mahasukh ke liye?
chhah laakh parkash varsh door
nabhomay bhumi par
ghunghru baandh
raha naach
ga raha neh saanjh tale
apni kali apni raag
gayan thama nritya ruka
nayan shvet kiye
safed ne kaha
safed shashvat hai
स्रोत :
रचनाकार : हिमांशु जमदग्नि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.