बरसों बाद
मैं आज फिर तुमसे मिलने आया हूँ
समुद्र
पुरानी पहचानें ताज़ा करने के लिए
और तुम्हारे शीतल स्पर्श और पुरानी यादों के प्रवाह
में बहने और बहते जाने के लिए
समुद्र मैं तुम्हारी विराटता से
भेंटने आया हूँ
तुम्हारी विराट आभा और मर्यादा से अभिभूत
तुममें और तुम्हारे भीतर-बाहर छिपीं कहानियों
के साथ-साथ बहता
टहल रहा हूँ कब से
तुम्हारे तट की सुकून-भरी ठंडी रेती में...
मुझ जिज्ञासु के लिए
खोलो
खोलो अपने हृदय द्वार
ओ विराट,
और भेंटो मुझसे अपनी हज़ारों-हज़ार बाँहें खोलकर
और बतियाओ मुझसे कुछ इस तरह
जैसे दो पुराने, बड़े पुराने दोस्त मिलते हैं
मिलते हैं और पुरानी यादों में मुब्तिला हो जाते हैं
दीवानों-सरीखे
लेकिन बुरा न मानना दोस्त
यह समंदर से समंदर की मुलाक़ात है
मेरे प्यारे समंदर,
मैं आया हूँ तुमसे भेंटने
कुछ माँगने नहीं
आओ और मिलो मुझसे
जैसे दो पुराने बिछुड़े हुए दोस्त मिलते हैं।
barson baad
main aaj phir tumse milne aaya hoon
samudr
purani pahchanen taza karne ke liye
aur tumhare shital sparsh aur purani yadon ke pravah
mein bahne aur bahte jane ke liye
samudr main tumhari viratta se
bhentne aaya hoon
tumhari virat aabha aur maryada se abhibhut
tummen aur tumhare bhitar bahar chhipin kahaniyon
ke saath saath bahta
tahal raha hoon kab se
tumhare tat ki sukun bhari thanDi reti mein. . .
mujh jigyasu ke liye
kholo
kholo apne hriday dvaar
o virat,
aur bhento mujhse apni hazaron hazar banhen kholkar
aur batiyao mujhse kuch is tarah
jaise do purane, baDe purane dost milte hain
milte hain aur purani yadon mein mubtila ho jate hain
divanon sarikhe
lekin bura na manna dost
ye samandar se samandar ki mulaqat hai
mere pyare samandar,
main aaya hoon tumse bhentne
kuch mangne nahin
aao aur milo mujhse
jaise do purane bichhuDe hue dost milte hain.
barson baad
main aaj phir tumse milne aaya hoon
samudr
purani pahchanen taza karne ke liye
aur tumhare shital sparsh aur purani yadon ke pravah
mein bahne aur bahte jane ke liye
samudr main tumhari viratta se
bhentne aaya hoon
tumhari virat aabha aur maryada se abhibhut
tummen aur tumhare bhitar bahar chhipin kahaniyon
ke saath saath bahta
tahal raha hoon kab se
tumhare tat ki sukun bhari thanDi reti mein. . .
mujh jigyasu ke liye
kholo
kholo apne hriday dvaar
o virat,
aur bhento mujhse apni hazaron hazar banhen kholkar
aur batiyao mujhse kuch is tarah
jaise do purane, baDe purane dost milte hain
milte hain aur purani yadon mein mubtila ho jate hain
divanon sarikhe
lekin bura na manna dost
ye samandar se samandar ki mulaqat hai
mere pyare samandar,
main aaya hoon tumse bhentne
kuch mangne nahin
aao aur milo mujhse
jaise do purane bichhuDe hue dost milte hain.
स्रोत :
रचनाकार : प्रकाश मनु
प्रकाशन : वनमाली कथा,अप्रैल-2024
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.