शत्रु की जगह
किसी और शब्द का उसके लिए उच्चारण
आज के हिसाब से ज़रूरी है
इतिहास में हुए जो बड़े-बड़े शत्रु
उनका नाम लेने में थोड़ी सावधानी की ज़रूरत है
चाहें तो नाम से पहले देवपुरुष जोड़ दें
और वर्तमान के शत्रुओं के नाम के बाद
‘जी’ ज़रूर लगाएँ
भविष्य में जो होंगे शत्रु
उन्हें कैसे संबोधित करना है
इस पर अभी से विचार शुरू कर दें
वर्तमान के शत्रुओं से
डरने की अभी ज़्यादा ज़रूरत नहीं है
किसी सड़क या सेतु को नाम देने में
वे बहुत व्यस्त हैं
उनकी यह चाहत भी ज़्यादा नहीं अखरनी चाहिए
कि कुछ चीज़ें भविष्य में उनसे जानी जाएँगी
क्योंकि हमने उल्टा समझने की आदत डाल ली है
भविष्य में आएँगे जो शत्रु
हम जब बहुत बूढ़े हो जाएँगे
उस समय हम उन्हें बड़ी बाधा दिखाई पड़ने लगेंगे
अतीत को मनचाही शक्ल देने के मामले में
अपने देश में
शवों को जलाने का नाहक़ रिवाज नहीं है।
shatru ki jagah
kisi aur shabd ka uske liye uchcharan
aj ke hisab se zaruri hai
itihas mein hue jo baDe baDe shatru
unka nam lene mein thoDi sawadhani ki zarurat hai
chahen to nam se pahle dewapurush joD den
aur wartaman ke shatruon ke nam ke baad
‘jee’ zarur lagayen
bhawishya mein jo honge shatru
unhen kaise sambodhit karna hai
is par abhi se wichar shuru kar den
wartaman ke shatruon se
Darne ki abhi zyada zarurat nahin hai
kisi saDak ya setu ko nam dene mein
we bahut wyast hain
unki ye chahat bhi zyada nahin akharni chahiye
ki kuch chizen bhawishya mein unse jani jayengi
kyonki hamne ulta samajhne ki aadat Dal li hai
bhawishya mein ayenge jo shatru
hum jab bahut buDhe ho jayenge
us samay hum unhen baDi badha dikhai paDne lagenge
atit ko manchahi shakl dene ke mamle mein
apne desh mein
shawon ko jalane ka nahaq riwaj nahin hai
shatru ki jagah
kisi aur shabd ka uske liye uchcharan
aj ke hisab se zaruri hai
itihas mein hue jo baDe baDe shatru
unka nam lene mein thoDi sawadhani ki zarurat hai
chahen to nam se pahle dewapurush joD den
aur wartaman ke shatruon ke nam ke baad
‘jee’ zarur lagayen
bhawishya mein jo honge shatru
unhen kaise sambodhit karna hai
is par abhi se wichar shuru kar den
wartaman ke shatruon se
Darne ki abhi zyada zarurat nahin hai
kisi saDak ya setu ko nam dene mein
we bahut wyast hain
unki ye chahat bhi zyada nahin akharni chahiye
ki kuch chizen bhawishya mein unse jani jayengi
kyonki hamne ulta samajhne ki aadat Dal li hai
bhawishya mein ayenge jo shatru
hum jab bahut buDhe ho jayenge
us samay hum unhen baDi badha dikhai paDne lagenge
atit ko manchahi shakl dene ke mamle mein
apne desh mein
shawon ko jalane ka nahaq riwaj nahin hai
स्रोत :
रचनाकार : सुधीर रंजन सिंह
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.