शरीफ़ दिनों ने जिन
शरारती बच्चों के दिन बर्बाद कर दिए
वे कभी माफ़ नहीं कर सकते उन्हें।
हल्की बारिश में पुरनम
जिन जादुई शामों को
ख़बरों ने बेमज़ा किया है
वह शाम ठहरी ही तो रह जाती है।
आवाज़ की कशमकश में उलझे हुए
उन मज़बूत सवालों का
जिन पर चिल्ला दिए तुम
उधार बाक़ी है
जिसकी मियाद कुछ ही साल है
जो चुकाना ही पड़ेगा तुम्हें।
सपने देखने वाली आँखों ने
सपनों से ज़्यादा ख़ूबसूरत
कोई चीज़ नहीं देखी होती है
सो, बेशक! तुम हमारी आँखों से
कोई भी जलता जंगल दिखाकर
रातरानी के बग़ीचे नहीं उजाड़ सकते।
यहाँ से एक अफ़साना सफ़र करता हुआ
बहुत दूर तक जाता है
कई बार तो मैंने इसलिए हार नहीं मानी
क्यूँकि उसके बाद करने के लिए कुछ भी नहीं था
और ख़ालीपन बोरियत है
तुम यक़ीन नहीं करोगे
लेकिन मैं कहता हूँ
कि मेरे उदास होने की कोई वजह नहीं है
और मैंने जो भी कहा सब झूठ कहा
और सच, ये अपनी गर्दन बचाते और
तलवार लहराते हुए हाथ
झुक जाएँगे, टूट जाएँगे, गिर जाएँगे एक दिन।
sharif dinon ne jin
shararti bachchon ke din barbad kar diye
we kabhi maf nahin kar sakte unhen
halki barish mein purnam
jin jadui shamon ko
khabron ne bemza kiya hai
wo sham thahri hi to rah jati hai
awaz ki kashmakash mein uljhe hue
un mazbut sawalon ka
jin par chilla diye tum
udhaar baqi hai
jiski miyad kuch hi sal hai
jo chukana hi paDega tumhein
sapne dekhne wali ankhon ne
sapnon se zyada khubsurat
koi cheez nahin dekhi hoti hai
so, beshak! tum hamari ankhon se
koi bhi jalta jangal dikhakar
ratrani ke baghiche nahin ujaD sakte
yahan se ek afsana safar karta hua
bahut door tak jata hai
kai bar to mainne isliye haar nahin mani
kyunki uske baad karne ke liye kuch bhi nahin tha
aur khalipan boriyat hai
tum yaqin nahin karoge
lekin main kahta hoon
ki mere udas hone ki koi wajah nahin hai
aur mainne jo bhi kaha sab jhooth kaha
aur sach, ye apni gardan bachate aur
talwar lahrate hue hath
jhuk jayenge, toot jayenge, gir jayenge ek din
sharif dinon ne jin
shararti bachchon ke din barbad kar diye
we kabhi maf nahin kar sakte unhen
halki barish mein purnam
jin jadui shamon ko
khabron ne bemza kiya hai
wo sham thahri hi to rah jati hai
awaz ki kashmakash mein uljhe hue
un mazbut sawalon ka
jin par chilla diye tum
udhaar baqi hai
jiski miyad kuch hi sal hai
jo chukana hi paDega tumhein
sapne dekhne wali ankhon ne
sapnon se zyada khubsurat
koi cheez nahin dekhi hoti hai
so, beshak! tum hamari ankhon se
koi bhi jalta jangal dikhakar
ratrani ke baghiche nahin ujaD sakte
yahan se ek afsana safar karta hua
bahut door tak jata hai
kai bar to mainne isliye haar nahin mani
kyunki uske baad karne ke liye kuch bhi nahin tha
aur khalipan boriyat hai
tum yaqin nahin karoge
lekin main kahta hoon
ki mere udas hone ki koi wajah nahin hai
aur mainne jo bhi kaha sab jhooth kaha
aur sach, ye apni gardan bachate aur
talwar lahrate hue hath
jhuk jayenge, toot jayenge, gir jayenge ek din
स्रोत :
रचनाकार : सारुल बागला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.