जब कभी उस रास्ते से निकलता हूँ
जो निर्जन, सुनसान होता था कभी
स्मृति में उतना ही अब भी
कोई भी हो साथ कैसे भी
उससे कहता हूँ
ठीक इस बड़े से ‘मल्टीप्लेक्स’ के पीछे
हम रहते थे कभी
चतुर्भुज सिलावट के मकान में
हर बार वही रास्ता आ जाता है
सोचता हूँ कितनी बार कह चुका हूँ यह
कितनी बार सुन चुके हैं
‘नृसिंह मंदिर के पास खड़ा रहता था
दूर आते पिता को देखते
उस मोड़ पर अकेले’
वही रास्ता फिर आता है अब भी बार-बार
जहाँ वह इमारत है, ख़ूबसूरत टैक्सियाँ
निश्चय करता हूँ
गुज़र जाने दूँगा उस रास्ते को
किसी को कोई मौक़ा नहीं दूँगा
उन बीते बसंत के दिन गिनने का
फिर आ गया हूँ मैं वहीं
वही रास्ता इतने कोलाहल के बीच
वही निर्जल मंदिर की बुझी आरती की गंध
वही सम्मोहन, वही उत्साह से कहने का
‘भैया, यहाँ रहते थे हम’
कार के स्टीयरिंग पर बैठा
भैया मुझे मुड़कर देखता है
फिर कुछ मर्माहत-सा कहता
‘हाँ... आ बाबा वे दिन कितने अच्छे थे!’
jab kabhi us raste se nikalta hoon
jo nirjan, sunsan hota tha kabhi
smriti mein utna hi ab bhi
koi bhi ho sath kaise bhi
usse kahta hoon
theek is baDe se ‘maltipleks’ ke pichhe
hum rahte the kabhi
chaturbhuj silawat ke makan mein
har bar wahi rasta aa jata hai
sochta hoon kitni bar kah chuka hoon ye
kitni bar sun chuke hain
‘nrisinh mandir ke pas khaDa rahta tha
door aate pita ko dekhte
us moD par akele’
wahi rasta phir aata hai ab bhi bar bar
jahan wo imarat hai, khubsurat texiyan
nishchay karta hoon
guzar jane dunga us raste ko
kisi ko koi mauqa nahin dunga
un bite basant ke din ginne ka
phir aa gaya hoon main wahin
wahi rasta itne kolahal ke beech
wahi nirjal mandir ki bujhi aarti ki gandh
wahi sammohan, wahi utsah se kahne ka
‘bhaiya, yahan rahte the ham’
kar ke stiyring par baitha
bhaiya mujhe muDkar dekhta hai
phir kuch marmahat sa kahta
‘han aa baba we din kitne achchhe the!’
jab kabhi us raste se nikalta hoon
jo nirjan, sunsan hota tha kabhi
smriti mein utna hi ab bhi
koi bhi ho sath kaise bhi
usse kahta hoon
theek is baDe se ‘maltipleks’ ke pichhe
hum rahte the kabhi
chaturbhuj silawat ke makan mein
har bar wahi rasta aa jata hai
sochta hoon kitni bar kah chuka hoon ye
kitni bar sun chuke hain
‘nrisinh mandir ke pas khaDa rahta tha
door aate pita ko dekhte
us moD par akele’
wahi rasta phir aata hai ab bhi bar bar
jahan wo imarat hai, khubsurat texiyan
nishchay karta hoon
guzar jane dunga us raste ko
kisi ko koi mauqa nahin dunga
un bite basant ke din ginne ka
phir aa gaya hoon main wahin
wahi rasta itne kolahal ke beech
wahi nirjal mandir ki bujhi aarti ki gandh
wahi sammohan, wahi utsah se kahne ka
‘bhaiya, yahan rahte the ham’
kar ke stiyring par baitha
bhaiya mujhe muDkar dekhta hai
phir kuch marmahat sa kahta
‘han aa baba we din kitne achchhe the!’
स्रोत :
रचनाकार : नंद चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए अनुराग चतुर्वेदी द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.