मेरी भोली इच्छा थी कि अच्छा बनूँ
मगर यह अंतिम इच्छा की तरह नहीं था
और भी इच्छाएँ चलती रहीं साथ-साथ
समोसे की इच्छा सतत बनी रही
मगर चटनी या आलू के बिना उन्हें पूरा करना असंभव था
दारू पीने की इच्छा जितनी रही
उसका एक अंश भी नहीं पिया मैंने अब तक
राजा बनने से अधिक
उसकी आँखों में आँखें डालकर
बात करने की इच्छा प्रबल रही
अमेरिका या यूरोप न सही
किसी ऐसे देश में जाने की इच्छा
अवश्य रही
जहाँ लोग हॉर्न की आवाज़ तक से चौंक जाते हैं
मगर उनका बुरा नसीब
उन्हें युद्ध के टैंक की आवाज़ों से भर देता है
उन बच्चों से मिलने की इच्छा
जिनका बचपन माँ-बाप की लड़ाइयों में नष्ट हुआ
या सिर्फ़ अस्पतालों में बीत गया
रोने से अधिक
उन्हें चुप कराने की इच्छा
अनंत फ़िल्में देखी इच्छाओं से परे
तब भी मार-धाड़ की इच्छा नहीं
प्यार करने की इच्छा पर ही मन ठहरा
अनंत बार प्यार किया उन लड़कियों से
जिनसे नहीं मिला
मिलने की संभावना भी नहीं
जिनसे मिला जीवन में
कभी अभाव में
या समाज के दबाव में
उनसे क्या अपेक्षा रखता
किसी बैंक खाते की तरह
बना रहा रिश्ते में
भविष्य में काम आने का भ्रम लिए
रात की इच्छाएँ एक गहरी सुरंग में ले जाती हैं
जहाँ मैं नींद को चकमा देता हुआ प्रवेश करता हूँ
उम्र और बेचैनी के हिसाब से
और फिर न निकलने की इच्छा
सुबह से पहले दम तोड़ देती है
इच्छाओं में दिल्ली आना कभी नहीं रहा
गाँव में जीवन गुज़ारना एक इच्छा थी
मगर अब गाँव-गाँव नहीं रहे
और जीवन भी जीवन कहाँ रहा!
meri bholi ichha thi ki achchha banun
magar ye antim ichha ki tarah nahin tha
aur bhi ichhayen chalti rahin sath sath
samose ki ichha satat bani rahi
magar chatni ya aalu ke bina unhen pura karna asambhaw tha
daru pine ki ichha jitni rahi
uska ek ansh bhi nahin piya mainne ab tak
raja banne se adhik
uski ankhon mein ankhen Dalkar
baat karne ki ichha prabal rahi
amerika ya europe na sahi
kisi aise desh mein jane ki ichha
awashy rahi
jahan log horn ki awaz tak se chaunk jate hain
magar unka bura nasib
unhen yudh ke taink ki awazon se bhar deta hai
un bachchon se milne ki ichha
jinka bachpan man bap ki laDaiyon mein nasht hua
ya sirf asptalon mein beet gaya
rone se adhik
unhen chup karane ki ichha
anant filmen dekhi ichchhaon se pare
tab bhi mar dhaD ki ichha nahin
pyar karne ki ichha par hi man thahra
anant bar pyar kiya un laDakiyon se
jinse nahin mila
milne ki sambhawna bhi nahin
jinse mila jiwan mein
kabhi abhaw mein
ya samaj ke dabaw mein
unse kya apeksha rakhta
kisi baink khate ki tarah
bana raha rishte mein
bhawishya mein kaam aane ka bhram liye
raat ki ichhayen ek gahri surang mein le jati hain
jahan main neend ko chakma deta hua prawesh karta hoon
umr aur bechaini ke hisab se
aur phir na nikalne ki ichha
subah se pahle dam toD deti hai
ichchhaon mein dilli aana kabhi nahin raha
ganw mein jiwan guzarna ek ichha thi
magar ab ganw ganw nahin rahe
aur jiwan bhi jiwan kahan raha!
meri bholi ichha thi ki achchha banun
magar ye antim ichha ki tarah nahin tha
aur bhi ichhayen chalti rahin sath sath
samose ki ichha satat bani rahi
magar chatni ya aalu ke bina unhen pura karna asambhaw tha
daru pine ki ichha jitni rahi
uska ek ansh bhi nahin piya mainne ab tak
raja banne se adhik
uski ankhon mein ankhen Dalkar
baat karne ki ichha prabal rahi
amerika ya europe na sahi
kisi aise desh mein jane ki ichha
awashy rahi
jahan log horn ki awaz tak se chaunk jate hain
magar unka bura nasib
unhen yudh ke taink ki awazon se bhar deta hai
un bachchon se milne ki ichha
jinka bachpan man bap ki laDaiyon mein nasht hua
ya sirf asptalon mein beet gaya
rone se adhik
unhen chup karane ki ichha
anant filmen dekhi ichchhaon se pare
tab bhi mar dhaD ki ichha nahin
pyar karne ki ichha par hi man thahra
anant bar pyar kiya un laDakiyon se
jinse nahin mila
milne ki sambhawna bhi nahin
jinse mila jiwan mein
kabhi abhaw mein
ya samaj ke dabaw mein
unse kya apeksha rakhta
kisi baink khate ki tarah
bana raha rishte mein
bhawishya mein kaam aane ka bhram liye
raat ki ichhayen ek gahri surang mein le jati hain
jahan main neend ko chakma deta hua prawesh karta hoon
umr aur bechaini ke hisab se
aur phir na nikalne ki ichha
subah se pahle dam toD deti hai
ichchhaon mein dilli aana kabhi nahin raha
ganw mein jiwan guzarna ek ichha thi
magar ab ganw ganw nahin rahe
aur jiwan bhi jiwan kahan raha!
स्रोत :
रचनाकार : निखिल आनंद गिरि
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.