सुखिया  के  मन  में  अब  एक  ही  उदासी  है।  
उसके  घर  प्रभु  ने  एक  बिटिया  तराशी  है॥  
घर  में  भयावह  अँधेरा-सा  छाया  है  
सुखिया  का  चेहरा  अमावस  का  साया  है  
सबने  मिल  माता  की  कोख  को  सताया  है  
सुखिया  की  पत्नी  में  दोष  अब  बयासी  हैं।  
उसके  घर  प्रभु  ने  एक  बिटिया  ताराशी  है॥  
बिटिया  जो  चूल्हे  की  आग  में  झुलसती  है  
ख़ुद  भूखी  रहकर  भी  थाली  परसती  है  
सपनों  में  बापू  के  प्यार  को  तरसती  है  
सुखिया  की  माता  जो  अब  तक  रुआँसी  है।  
उसके  घर  प्रभु  ने  एक  बिटिया  तराशी  है॥  
लकड़ी  के  बोझ  तले  दर्द  को  दबाती  है  
सुई  और  तागों  से  मन  को  बहलाती  है  
ममता  की  चाहत  में  सिसकी  ही  पाती  है  
चौखट  पे  मातम  है  लगती  बला-सी  है।  
उसके  घर  प्रभु  ने  एक  बिटिया  तराशी  है॥  
                sukhiya  ke  man  mein  ab  ek  hi  udasi  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ek  bitiya  tarashi  hai॥  
ghar  mein  bhayavah  andhera  sa  chhaya  hai,  
sukhiya  ka  chehra  amavas  ka  saya  hai,  
sabne  mil  mata  ki  kokh  ko  sataya  hai,  
sukhiya  ki  patni  mein  dosh  ab  bayasi  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ik  bitiya  tarashi  hai.  
bitiya  jo  chulhe  ki  aag  mein  jhulasti  hai,  
khu  bhukhi  rahkar  bhi  thali  parasti  hai,  
sapnon  mein  bapu  ke  pyaar  ko  tarasti  hai,  
sukhiya  ki  mata  jo  ab  tak  ruasi  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ek  bitiya  tarashi  hai॥  
lakDi  ke  bojh  tale  dard  ko  dabati  hai,  
sui  aur  tagon  se  man  ko  bahlati  hai,  
mamta  ki  chahat  mein  siski  hi  pati  hai,  
chaukhat  pe  matam  hai  lagti  bala  si  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ik  bitiya  tarashi  hai॥  
sukhiya  ke  man  mein  ab  ek  hi  udasi  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ek  bitiya  tarashi  hai॥  
ghar  mein  bhayavah  andhera  sa  chhaya  hai,  
sukhiya  ka  chehra  amavas  ka  saya  hai,  
sabne  mil  mata  ki  kokh  ko  sataya  hai,  
sukhiya  ki  patni  mein  dosh  ab  bayasi  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ik  bitiya  tarashi  hai.  
bitiya  jo  chulhe  ki  aag  mein  jhulasti  hai,  
khu  bhukhi  rahkar  bhi  thali  parasti  hai,  
sapnon  mein  bapu  ke  pyaar  ko  tarasti  hai,  
sukhiya  ki  mata  jo  ab  tak  ruasi  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ek  bitiya  tarashi  hai॥  
lakDi  ke  bojh  tale  dard  ko  dabati  hai,  
sui  aur  tagon  se  man  ko  bahlati  hai,  
mamta  ki  chahat  mein  siski  hi  pati  hai,  
chaukhat  pe  matam  hai  lagti  bala  si  hai.  
uske  ghar  prabhu  ne  ik  bitiya  tarashi  hai॥  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : विनम्र सेन सिंह 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.