प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा नौवीं के पाठ्यक्रम में शामिल है।
(मनुष्यों की पोशाकें उन्हें विभिन्न श्रेणियों में बाँट देती हैं। प्राय: पोशाक ही समाज में मनुष्य का अधिकार और उसका दर्जा निश्चित करती है। वह हमारे लिए अनेक बंद दरवाज़े खोल देती है, परंतु कभी ऐसी भी परिस्थिति आ जाती है कि हम ज़रा नीचे झुककर समाज की निचली श्रेणियों की अनुभूति को समझना चाहते हैं। उस समय यह पोशाक ही बंधन और अड़चन बन जाती है। जैसे वायु की लहरें कटी हुई पतंग को सहसा भूमि पर नहीं गिर जाने देतीं, उसी तरह ख़ास परिस्थितियों में हमारी पोशाक हमें झुक सकने से रोके रहती है)
बाज़ार में, फ़ुटपाथ पर कुछ ख़रबूज़े डलिया में और कुछ ज़मीन पर बिक्री के लिए रखे जान पड़ते थे। ख़रबूज़ों के समीप एक अधेड़ उम्र की औरत बैठी रो रही थी। ख़रबूज़े बिक्री के लिए थे, परंतु उन्हें ख़रीदने के लिए कोई कैसे आगे बढ़ता? ख़रबूज़ों को बेचने वाली तो कपड़े से मुँह छिपाए सिर को घुटनों पर रखे फफक-फफककर रो रही थी।
पड़ोस की दुकानों के तख़्तों पर बैठे या बाज़ार में खड़े लोग घृणा से उसी स्त्री के सबंध में बात कर रहे थे। उस स्त्री का रोना देखकर मन में एक व्यथा-सी उठी, पर उसके रोने का कारण जानने का उपाय क्या था? फ़ुटपाथ पर उसके समीप बैठ सकने में मेरी पोशाक ही व्यवधान बन खड़ी हो गई।
एक आदमी ने घृणा से एक तरफ़ धूकते हुए कहा, क्या ज़माना है! जवान लड़के को मरे पूरा दिन नहीं बीता यह बेहया दुकान लगा के बैठी है।
दूसरे साहब अपनी दाढ़ी खुजाते हुए कह रहे थे, अरे जैसी नीयत होती है अल्ला भी वैसी ही बरकत देता है।
सामने के फ़ुटपाथ पर खड़े एक आदमी ने दियासलाई की तीली से कान खुजाते हुए कहा, अरे, इन लोगों का क्या है? ये कमीने लोग रोटी के टुकड़े पर जान देते हैं। इनके लिए बेटा-बेटी, ख़सम-लुगाई, धर्म-ईमान सब रोटी का टुकड़ा है।
परचून की दुकान पर बैठे लाला जी ने कहा, अरे भाई, उनके लिए मरे-जिए का कोई मतलब न हो, पर दूसरे के धर्म-ईमान का तो ख़याल करना चाहिए! जवान बेटे के मरने पर तेरह दिन का सूतक होता है और वह यहाँ सड़क पर बाज़ार में आकर ख़रबूज़े बेचने बैठ गई है। हज़ार आदमी आते-जाते हैं। कोई क्या जानता है कि इसके घर में सूतक है। कोई इसके ख़रबूज़े खा ले तो उसका ईमान-धर्म कैसे रहेगा? क्या अँधेर है!
पास-पड़ोस की दुकानों से पूछने पर पता लगा—उसका तेईस बरस का जवान लड़का था। घर में उसकी बहू और पोता-पोती हैं। लड़का शहर के पास डेढ़ बीघा भर ज़मीन में कछियारी करके परिवार का निर्वाह करता था। ख़रबूज़ों की डलिया बाज़ार में पहुँचाकर कभी लड़का स्वयं सौदे के पास बैठ जाता, कभी माँ बैठ जाती।
लड़का परसों सुबह मुँह-अँधेरे बेलों में से पके ख़रबूज़े चुन रहा था। गीली मेड़ की तरावट में विश्राम करते हुए एक साँप पर लड़के का पैर पड़ गया। साँप ने लड़के को डँस लिया।
लड़के की बुढ़िया माँ बावली होकर ओझा को बुला लाई। झाड़ना-फूकना हुआ। नागदेव की पूजा हुई। पूजा के लिए दान-दक्षिणा चाहिए। घर में जो कुछ आटा और अनाज था, दान-दक्षिणा में उठ गया। माँ, बहू और बच्चे 'भगवाना' से लिपट-लिपटकर रोए, पर भगवाना जो एक दफ़े चुप हुआ तो फिर न बोला। सर्प के विष से उसका सब बदन काला पड़ गया था।
ज़िंदा आदमी नंगा भी रह सकता है. परंतु मुर्दे को नंगा कैसे विदा किया जाए? उसके लिए तो बजाज की दुकान से नया कपड़ा लाना ही होगा, चाहे उसके लिए माँ के हाथों के छन्नी-ककना ही क्यों न बिक जाएँ।
भगवाना परलोक चला गया। घर में जो कुछ चूनी-भूसी थी सो उसे विदा करने में चली गई। बाप नहीं रहा तो क्या, लड़के सुबह उठते ही भूख से बिलबिलाने लगे। दादी ने उन्हें खाने के लिए ख़रबूज़े दे दिए लेकिन बहू को क्या देती? बहू का बदन बुख़ार से तवे की तरह तप रहा था। अब बेटे के बिना बुढ़िया को दुअन्नी-चवन्नी भी कौन उधार देता।
बुढ़िया रोते-रोते और आँखें पोंछते-पोंछते भगवाना के बटोरे हुए ख़रबूज़े डलिया में समेटकर बाज़ार की ओर चली—और चारा भी क्या था?
बुढ़िया ख़रबूज़े बेचने का साहस करके आई थी, परंतु सिर पर चादर लपेटे, सिर को घुटनों पर टिकाए हुए फफक-फफककर रो रही थी।
कल जिसका बेटा चल बसा, आज वह बाज़ार में सौदा बेचने चली है, हाय रे पत्थर-दिल!
उस पुत्र-वियोगिनी के दुःख का अंदाज़ा लगाने के लिए पिछले साल अपने पड़ोस में पुत्र की मृत्यु से दुःखी माता की बात सोचने लगा। वह संभ्रांत महिला पुत्र की मृत्यु के बाद अढ़ाई मास तक पलंग से उठ न सकी थी। उन्हें पंद्रह-पंद्रह मिनट बाद पुत्र-वियोग से मूर्छा आ जाती थी और मूर्छा न आने की अवस्था में आँखों से आँसू न रुक सकते थे। दो-दो डॉक्टर हरदम सिरहाने बैठे रहते थे। हरदम सिर पर बर्फ़ रखी जाती थी। शहर भर के लोगों के मन उस पुत्र शोक से द्रवित हो उठे थे।
जब मन को सूझ का रास्ता नहीं मिलता तो बेचैनी से क़दम तेज़ हो जाते हैं। उसी हालत में नाक ऊपर उठाए, राह चलतों से ठोकरें खाता मैं चला जा रहा था। सोच रहा था—
शोक करने, ग़म मनाने के लिए भी सहूलियत चाहिए और...दुःखी होने का भी एक अधिकार होता है।
(manushyon ki poshaken unhen vibhinn shreniyon mein baant deti hain. prayah poshak hi samaj mein manushya ka adhikar aur uska darja nishchit karti hai. wo hamare liye anek band darvaze khol deti hai, parantu kabhi aisi bhi paristhiti aa jati hai ki hum zara niche jhukkar samaj ki nichli shreniyon ki anubhuti ko samajhna chahte hain. us samay ye poshak hi bandhan aur aDchan ban jati hai. jaise vayu ki lahren kati hui patang ko sahsa bhumi par nahin gir jane detin, usi tarah khaas paristhitiyon mein hamari poshak hamein jhuk sakne se roke rahti hai)
bazar mein, phutpath par kuch kharbuze Daliya mein aur kuch zamin par bikri ke liye rakhe jaan paDte the. kharbuzon ke samip ek adheD umr ki aurat baithi ro rahi thi. kharbuze bikri ke liye the, parantu unhen kharidne ke liye koi kaise aage baDhta? kharbuzon ko bechne vali to kapDe se munh chhipaye sir ko ghutnon par rakhe phaphak phaphakkar ro rahi thi.
paDos ki dukanon ke takhton par baithe ya bazar mein khaDe log ghrina se usi stri ke sabandh mein baat kar rahe the. us stri ka rona dekhkar man mein ek vyatha si uthi, par uske rone ka karan janne ka upaay kya tha? phutpath par uske samip baith sakne mein meri poshak hi vyavdhan ban khaDi ho gai.
ek adami ne ghrina se ek taraf dhukte hue kaha, kya zamana hai! javan laDke ko mare pura din nahin bita ye behaya dukan laga ke baithi hai.
dusre sahab apni daDhi khujate hue kah rahe the, are jaisi niyat hoti hai alla bhi vaisi hi barkat deta hai.
samne ke phutpath par khaDe ek adami ne diyasalai ki tili se kaan khujate hue kaha, are, in logon ka kya hai? ye kamine log roti ke tukDe par jaan dete hain. inke liye beta beti, khasam lugai, dharm iiman sab roti ka tukDa hai.
parchun ki dukan par baithe lala ji ne kaha, are bhai, unke liye mare jiye ka koi matlab na ho, par dusre ke dharm iiman ka to khayal karna chahiye! javan bete ke marne par terah din ka sutak hota hai aur wo yahan saDak par bazar mein aakar kharbuze bechne baith gai hai. hazar adami aate jate hain. koi kya janta hai ki iske ghar mein sutak hai. koi iske kharbuze kha le to uska iiman dharm kaise rahega? kya andher hai!
paas paDos ki dukanon se puchhne par pata laga—uska teis baras ka javan laDka tha. ghar mein uski bahu aur pota poti hain. laDka shahr ke paas DeDh bigha bhar zamin mein kachhiyari karke parivar ka nirvah karta tha. kharbuzon ki Daliya bazar mein pahunchakar kabhi laDka svayan saude ke paas baith jata, kabhi maan baith jati.
laDka parson subah munh andhere belon mein se pake kharbuze chun raha tha. gili meD ki taravat mein vishram karte hue ek saanp par laDke ka pair paD gaya. saanp ne laDke ko Dans liya.
laDke ki buDhiya maan bavli hokar ojha ko bula lai. jhaDna phukna hua. nagdev ki puja hui. puja ke liye daan dakshina chahiye. ghar mein jo kuch aata aur anaj tha, daan dakshina mein uth gaya. maan, bahu aur bachche bhagvana se lipat lipatkar roe, par bhagvana jo ek dafe chup hua to phir na bola. sarp ke vish se uska sab badan kala paD gaya tha.
zinda adami nanga bhi rah sakta hai. parantu murde ko nanga kaise vida kiya jaye? uske liye to bajaj ki dukan se naya kapDa lana hi hoga, chahe uske liye maan ke hathon ke chhanni kakna hi kyon na bik jayen.
bhagvana parlok chala gaya. ghar mein jo kuch chuni bhusi thi so use vida karne mein chali gai. baap nahin raha to kya, laDke subah uthte hi bhookh se bilbilane lage. dadi ne unhen khane ke liye kharbuze de diye lekin bahu ko kya deti? bahu ka badan bukhar se tave ki tarah tap raha tha. ab bete ke bina buDhiya ko duanni chavanni bhi kaun udhaar deta.
buDhiya rote rote aur ankhen ponchhte ponchhte bhagvana ke batore hue kharbuze Daliya mein sametkar bazar ki or chali—aur chara bhi kya tha?
buDhiya kharbuze bechne ka sahas karke aai thi, parantu sir par chadar lapete, sir ko ghutnon par tikaye hue phaphak phaphakkar ro rahi thi.
kal jiska beta chal basa, aaj wo bazar mein sauda bechne chali hai, haay re patthar dil!
us putr viyogini ke duःkha ka andaza lagane ke liye pichhle saal apne paDos mein putr ki mrityu se duःkhi mata ki baat sochne laga. wo sambhrant mahila putr ki mrityu ke baad aDhai maas tak palang se uth na saki thi. unhen pandrah pandrah minat baad putr viyog se murchha aa jati thi aur murchha na aane ki avastha mein ankhon se ansu na ruk sakte the. do do Dauktar hardam sirhane baithe rahte the. hardam sir par baraf rakhi jati thi. shahr bhar ke logon ke man us putr shok se drvit ho uthe the.
jab man ko soojh ka rasta nahin milta to bechaini se qadam tez ho jate hain. usi haalat mein naak uupar uthaye, raah chalton se thokren khata main chala ja raha tha. soch raha tha—
shok karne, gam manane ke liye bhi sahuliyat chahiye aur. . . duःkhi hone ka bhi ek adhikar hota hai.

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।