मुझे दिख गया वह
कल चौराहे पर
भरी दुपहरी में
झिझका, ठिठका
दिग्भ्रमित-सा खड़ा
सड़क पार करने की
कोशिश करता हुआ
मैंने पीछे से
कंधे पर हाथ रखकर
पूछा आत्मीयता से
भाई, नए आए हो
जाना कहाँ है
कोई पता हो तो बताओ
मैं करूँ सहायता ढूँढ़ने में
चौंक कर बोला वह
क्यों करना चाहते हो
तुम मेरी मदद
मैं तो खड़ा हूँ यहाँ
न जाने कब से
अब तक तो लोग
बस गुज़रते गए हैं
मुझे देखते हुए मुस्कुरा कर
मालूम नहीं मुझको स्वयं
मैं यहाँ आया कब और कहाँ से
समय ने लाकर
छोड़ दिया मुझे इस चौराहे पर
लेकिन तुम कौन हो
यूँ मुझसे पूछते मेरा हाल?
शांत भाव से
उत्तर दिया मैंने
मैं हूँ तुम्हारा बचपन
जिसे ढूँढ़ने खड़े हो तुम यहाँ।
इससे पहले
कि वह पकड़ पाता
मेरा हाथ
मैं तेज़ी से लपक कर
जीवन के महानगर की
अपार भीड़ में
खो गया!
mujhe dikh gaya wo
kal chaurahe par
bhari dupahri mein
jhijhka, thithka
digbhramit sa khaDa
saDak par karne ki
koshish karta hua
mainne pichhe se
kandhe par hath rakhkar
puchha atmiyata se
bhai, nae aaye ho
jana kahan hai
koi pata ho to batao
main karun sahayata DhunDhane mein
chaunk kar bola wo
kyon karna chahte ho
tum meri madad
main to khaDa hoon yahan
na jane kab se
ab tak to log
bus guzarte gaye hain
mujhe dekhte hue muskura kar
malum nahin mujhko swayan
main yahan aaya kab aur kahan se
samay ne lakar
chhoD diya mujhe is chaurahe par
lekin tum kaun ho
yoon mujhse puchhte mera haal?
shant bhaw se
uttar diya mainne
main hoon tumhara bachpan
jise DhunDhane khaDe ho tum yahan
isse pahle
ki wo pakaD pata
mera hath
main tezi se lapak kar
jiwan ke mahangar ki
apar bheeD mein
kho gaya!
mujhe dikh gaya wo
kal chaurahe par
bhari dupahri mein
jhijhka, thithka
digbhramit sa khaDa
saDak par karne ki
koshish karta hua
mainne pichhe se
kandhe par hath rakhkar
puchha atmiyata se
bhai, nae aaye ho
jana kahan hai
koi pata ho to batao
main karun sahayata DhunDhane mein
chaunk kar bola wo
kyon karna chahte ho
tum meri madad
main to khaDa hoon yahan
na jane kab se
ab tak to log
bus guzarte gaye hain
mujhe dekhte hue muskura kar
malum nahin mujhko swayan
main yahan aaya kab aur kahan se
samay ne lakar
chhoD diya mujhe is chaurahe par
lekin tum kaun ho
yoon mujhse puchhte mera haal?
shant bhaw se
uttar diya mainne
main hoon tumhara bachpan
jise DhunDhane khaDe ho tum yahan
isse pahle
ki wo pakaD pata
mera hath
main tezi se lapak kar
jiwan ke mahangar ki
apar bheeD mein
kho gaya!
स्रोत :
पुस्तक : हाशिए पर आदमी (पृष्ठ 23)
रचनाकार : अजीत रायज़ादा
प्रकाशन : परिमल प्रकाशन
संस्करण : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.