मौसम का यह बदलाव
मुझे चकित करता है
बसंत के नव आगमन की मुद्रा
पतझड़ का आक्रोश
मौसम का यह भरा-पूरा क़दम
आमूलचूल परिवर्तन की आकांक्षा रखे यह मौसम।
किसी ख़ास दिशा में
किसी स्पष्ट उद्देश्य के साथ
किसी सार्थक यात्रा में बढ़ता मौसम
मुझे सचमुच उत्सवित करता है
ऊर्जस्वित करता है
मौसम का यह बदलाव
इसका यह तेवर, यह ताव।
यह तो मौसम है
जो नए ढंग से अब उतर रहा है
मेरे-तुम्हारे बीच
हर जगह फैल रहा है
यही मौसम इतिहास को करेगा नंगा
वर्तमान की
अनैतिक नक़ाबी मुद्रा को अस्तव्यस्त
और हर जगह फैला देगा
क्रांति के उत्स।
मुझे आश्वस्त करते हैं ये मौसम
इस मौसम के बिगड़े तेवर और ताव
सारी शक्ति को अपने भीतर
आत्मसात किए
अब नहीं रुकेगा कहीं भी
संभव नहीं है इसका ठहराव
यही मौसम करेगा परिवर्तन
झूठे जनतंत्र को करेगा नंगा
करेगा रूढिभंजन
करेगा यही मौसम
अपनी सारी ऊर्जा के साथ
जन-उत्सव।
mausam ka ye badlav
mujhe chakit karta hai.
basant ke nav agaman ki mudra
patjhaD ka akrosh
mausam ka ye bhara pura qadam
amulchul parivartan ki akanksha rakhe ka mausam.
kisi khaas disha men
kisi aspasht uddeshy ke saath
kisi sarthak yatra mein baDhta mausam
mujhe sachmuch utsvit karta hai
urjasvit karta hai
mausam ka ye badlav
iske ye tevar, ye taav.
ye to mausam hai
jo nae Dhang se ab utar raha hai
mere tumhare beech
har jagah phail raha hai
yahi mausam itihas ko karega nanga
vartaman ki
anaitik nakabi mudra ko astavyast
aur har jagah phaila dega
kranti ke uts.
mujhe ashvast karte hain, ye mausam
is mausam ke bigDe tevar aur taav
sari shakti ko apne bhitar
atmasat kiye
ab nahin rukega kahin bhi
sambhav nahin hai iska thahrav
yahi mausam karega parivartan
jhuthe jantantr ko karega nanga
karega ruDhibhanjan
karega yahi mausam
apni sari urja ke saath
jan utsav.
mausam ka ye badlav
mujhe chakit karta hai.
basant ke nav agaman ki mudra
patjhaD ka akrosh
mausam ka ye bhara pura qadam
amulchul parivartan ki akanksha rakhe ka mausam.
kisi khaas disha men
kisi aspasht uddeshy ke saath
kisi sarthak yatra mein baDhta mausam
mujhe sachmuch utsvit karta hai
urjasvit karta hai
mausam ka ye badlav
iske ye tevar, ye taav.
ye to mausam hai
jo nae Dhang se ab utar raha hai
mere tumhare beech
har jagah phail raha hai
yahi mausam itihas ko karega nanga
vartaman ki
anaitik nakabi mudra ko astavyast
aur har jagah phaila dega
kranti ke uts.
mujhe ashvast karte hain, ye mausam
is mausam ke bigDe tevar aur taav
sari shakti ko apne bhitar
atmasat kiye
ab nahin rukega kahin bhi
sambhav nahin hai iska thahrav
yahi mausam karega parivartan
jhuthe jantantr ko karega nanga
karega ruDhibhanjan
karega yahi mausam
apni sari urja ke saath
jan utsav.
स्रोत :
पुस्तक : मैथिली कविताएँ (पृष्ठ 54)
संपादक : ज्ञानरंजन, कमलाप्रसाद
रचनाकार : केदार कानन
प्रकाशन : पहल प्रकाशन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.