एक अरसे बाद दिखा
झुंड भेड़ों का
सड़कों पर
अपने गड़रियों के साथ
वे चल रही थीं
बाँस की पतली छड़ी के इशारों पर
डरी-सहमी-सकुचाई-सी
उनकी न तो कोई क़तार बन पा रही थी
न उनको कोई अलग राह ही सूझ रही थी
वे गिर-भहरा रही थीं एक-दूसरे पर
वे मंज़िल का पता नहीं जानती थीं
सिर्फ़ चलना जानती थीं
अब तो बहुत ही कम बचे थे
उनके लिए घास के मैदान...पलिहर खेत...
जहाँ उनको हिराया जाता रहा है
अपने-अपने पलिहर खेतों में
उनको हिरवाने के लिए आतुर-उत्सुक
खेतिहर किसान ही कितने बचे थे
जो बचे थे उनकी आँखों से
जैसे नीर नहीं
टपकता रहता मानो रक़्त
बहरहाल, भेड़ें तो भेड़ें थीं
तमाम उम्र अपनी-अपनी पीठों पर
ऊन की बेहतरीन फ़सल उगाने के बाद भी
थीं वे किसी बुरे वक़्त के हवाले
वे भेड़चाल के क़िस्सों...और मुहावरों के नाम पर
पहले से बहुत बदनाम थीं।
ek arse baad dikha
jhunD bheDon ka
saDkon par
apne gaDariyon ke saath
ve chal rahi theen
baans ki patli chhaDi ke isharon par
Dari sahmi sakuchai si
unki na to koi qatar ban pa rahi thi
na unko koi alag raah hi soojh rahi thi
ve gir bhahra rahi theen ek dusre par
ve manzil ka pata nahin janti theen
sirf chalna janti theen
ab to bahut hi kam bache the
unke liye ghaas ke maidan. . . palihar khet. . .
jahan unko hiraya jata raha hai
apne apne palihar kheton mein
unko hirvane ke liye aatur utsuk
khetihar kisan hi kitne bache the
jo bache the unki ankhon se
jaise neer nahin
tapakta rahta mano rakt
baharhal, bheDen to bheDen theen
tamam umr apni apni pithon par
uun ki behtarin fasal ugane ke baad bhi
theen ve kisi bure vaqt ke havale
ve bheDchal ke qisson. . . aur muhavron ke naam par
pahle se bahut badnam theen.
ek arse baad dikha
jhunD bheDon ka
saDkon par
apne gaDariyon ke saath
ve chal rahi theen
baans ki patli chhaDi ke isharon par
Dari sahmi sakuchai si
unki na to koi qatar ban pa rahi thi
na unko koi alag raah hi soojh rahi thi
ve gir bhahra rahi theen ek dusre par
ve manzil ka pata nahin janti theen
sirf chalna janti theen
ab to bahut hi kam bache the
unke liye ghaas ke maidan. . . palihar khet. . .
jahan unko hiraya jata raha hai
apne apne palihar kheton mein
unko hirvane ke liye aatur utsuk
khetihar kisan hi kitne bache the
jo bache the unki ankhon se
jaise neer nahin
tapakta rahta mano rakt
baharhal, bheDen to bheDen theen
tamam umr apni apni pithon par
uun ki behtarin fasal ugane ke baad bhi
theen ve kisi bure vaqt ke havale
ve bheDchal ke qisson. . . aur muhavron ke naam par
pahle se bahut badnam theen.
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.