खिलौने से शुरू होती है
खोने की कहानी
समय ऐसा भी आया
जब खेल का मैदान ही खो गया
फिर
रोने की वजहें आईं
मुस्कुराने की वजहें खोईं
शब्दों ने अर्थ
कवियों ने भाषा खोई
हम उस जंग में ठेले गए
जो हमारी थी ही नहीं
हमने अपनी लड़ाई खोई
पड़ोसी खोया
गाँव खोया
मुहल्ला खोया
सबने कुछ न कुछ खोया
मैंने अपने बच्चे का तुतलाना खोया
माँ की आँखें
पिता का हाथ खोया
मुँह अब मुँह की तरह नहीं दिखता
नाक की जगह रखा है बटुआ
मैंने अपनी नाक खोई
और जो बचाया
उसमें अपमानों के इतने वरक़ हैं
कि लगभग मनुष्य होने की अर्हता भी
खो चुका हूँ
khilaune se shuru hoti hai
khone ki kahani
samay aisa bhi aaya
jab khel ka maidan hi kho gaya
phir
rone ki wajhen ain
muskurane ki wajhen khoin
shabdon ne arth
kawiyon ne bhasha khoi
hum us jang mein thele gaye
jo hamari thi hi nahin
hamne apni laDai khoi
paDosi khoya
ganw khoya
muhalla khoya
sabne kuch na kuch khoya
mainne apne bachche ka tutlana khoya
man ki ankhen
pita ka hath khoya
munh ab munh ki tarah nahin dikhta
nak ki jagah rakha hai batua
mainne apni nak khoi
aur jo bachaya
usmen apmanon ke itne waraq hain
ki lagbhag manushya hone ki arhata bhi
kho chuka hoon
khilaune se shuru hoti hai
khone ki kahani
samay aisa bhi aaya
jab khel ka maidan hi kho gaya
phir
rone ki wajhen ain
muskurane ki wajhen khoin
shabdon ne arth
kawiyon ne bhasha khoi
hum us jang mein thele gaye
jo hamari thi hi nahin
hamne apni laDai khoi
paDosi khoya
ganw khoya
muhalla khoya
sabne kuch na kuch khoya
mainne apne bachche ka tutlana khoya
man ki ankhen
pita ka hath khoya
munh ab munh ki tarah nahin dikhta
nak ki jagah rakha hai batua
mainne apni nak khoi
aur jo bachaya
usmen apmanon ke itne waraq hain
ki lagbhag manushya hone ki arhata bhi
kho chuka hoon
स्रोत :
रचनाकार : राजेश कमल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.