म्लान आकाश पर टाल दिया था आमंत्रण
आषाढ़ के गदराए गाछों पर टाल दिया था
तुम्हारे टाले से टल गया दुर्भिक्ष
बच गई चीलें
बच गए उजले झुटपुटे और
उनमें घुटने भर पानी
कि कलकत्ता डूबा सके अपनी डोंगियाँ
किंतु निर्दोष रह जाए मन से
अचानक के पश्चाताप में रह गया मेरा दर्पण
जैसे दृष्टि में रह गया दृश्य
अपराध टल गया
जिस साल पत्र पर जीवन ऋण लिखा है वह घूमता है रेलों में
कल्पना में अल्प वय की कल्पना करता है
हठ नहीं करता
कि डूबना है बंगाल की गंगा में
तुमने टाल दी विपदा
बच गई विभूति भूषण की किताब
बच गई जंघाएँ जिन पर सब सरस पोथियाँ जीवन की बही जैसे पड़ी थी
भीषण बाढ़ में भी फिर अनुराग पाने की
मनुष्य की कामना बच गई।
mlan akash par tal diya tha amantran
ashaDh ke gadraye gachhon par tal diya tha
tumhare tale se tal gaya durbhiksh
bach gai chilen
bach gaye ujle jhutpute aur
unmen ghutne bhar pani
ki kalkatta Duba sake apni Dongiyan
kintu nirdosh rah jaye man se
achanak ke pashchatap mein rah gaya mera darpan
jaise drishti mein rah gaya drishya
apradh tal gaya
jis sal patr par jiwan rn likha hai wo ghumta hai relon mein
kalpana mein alp way ki kalpana karta hai
hath nahin karta
ki Dubna hai bangal ki ganga mein
tumne tal di wipda
bach gai wibhuti bhushan ki kitab
bach gai janghayen jin par sab saras pothiyan jiwan ki bahi jaise paDi thi
bhishan baDh mein bhi phir anurag pane ki
manushya ki kamna bach gai
mlan akash par tal diya tha amantran
ashaDh ke gadraye gachhon par tal diya tha
tumhare tale se tal gaya durbhiksh
bach gai chilen
bach gaye ujle jhutpute aur
unmen ghutne bhar pani
ki kalkatta Duba sake apni Dongiyan
kintu nirdosh rah jaye man se
achanak ke pashchatap mein rah gaya mera darpan
jaise drishti mein rah gaya drishya
apradh tal gaya
jis sal patr par jiwan rn likha hai wo ghumta hai relon mein
kalpana mein alp way ki kalpana karta hai
hath nahin karta
ki Dubna hai bangal ki ganga mein
tumne tal di wipda
bach gai wibhuti bhushan ki kitab
bach gai janghayen jin par sab saras pothiyan jiwan ki bahi jaise paDi thi
bhishan baDh mein bhi phir anurag pane ki
manushya ki kamna bach gai
स्रोत :
रचनाकार : ज्योति शोभा
प्रकाशन : समालोचन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.