कभी-कभी ही पता लगता है
कि सुंदर चीज़ें
शहर के बाहर हैं
मसलन, ऊबे हुए
या शोर में डूबे हुए लोग
जब कहीं घूमने जा रहे होते हैं
तो शहर की चौहद्दी पार करते ही
अपना चेहरा पोंछते हैं
और एक भली-सी हवा में
लहराने देते हैं अपने बाल
चिड़ियों के साथ झूमते-डोलते
किसी झुरमुट को देखकर पता लगता है—
वाक़ई सुंदर चीज़ें शहर के बाहर हैं।
यह तब भी पता लगता है
जब पहली बार आप धँसते हैं
नाक पर रूमाल रखे
शहर की चौहद्दी के भीतर
यह शहर आपका स्वागत करता है
ऐसा एक बोर्ड ज़रूर मिलेगा शहर की चौहद्दी पर
लेकिन मन में इत्मीनान का कोई भाव जगाने के बजाय
वह धौंस जमाएगा आपके ऊपर
नाक पर रूमाल रखने के बावजूद
शहर का आतंक घुस जाएगा आपके भीतर
आप नहीं जान पाते कि वह नाक के रास्ते घुसा या कान के
आप कुछ ज़्यादा ही शरीफ़ होने के चक्कर में
कितने दयनीय बन जाते हैं!
फिर आप बरसों शहर में रह जाएँगे
बस जाएँगे किराए का कोई कमरा लेकर
यहाँ-वहाँ जाएँगे
सिनेमा का, बस का, ट्राम का टिकट कटाएँगे
अमिताभ को देखेंगे, करिश्मा को देखेंगे
और विज्ञापन के मॉडल की तरह
आपको भी पता चलेगा कोमल त्वचा का राज़
तब ताज़गी और ख़ूबसूरती के लिए
आपको भी भरोसा होने लगेगा किसी साबुन पर
सुबह-सुबह दाढ़ी बनाएँगे
अख़बार पढ़ेंगे
और कुढ़ते रहेंगे—
धत् तेरे की, यह भी कोई ज़िंदगी है!
ऐसे ही किसी वक़्त
बाहर कहीं जाने का मौक़ा मिलेगा
तब शहर की चौहद्दी पार करते ही
अपना चेहरा पोंछते हुए
आप चाहेंगे कि भर लें फेफड़ों में
सारी ताज़ी हवा
शायद आप भूल भी जाएँ
कि रूमाल जेब में है या नहीं
और आपको पता लगेगा—
सुंदर चीज़ें शहर के बाहर हैं!
kabhi kabhi hi pata lagta hai
ki sundar chizen
shahr ke bahar hain
masalan, ube hue
ya shor mein Dube hue log
jab kahin ghumne ja rahe hote hain
to shahr ki chauhaddi par karte hi
apna chehra ponchhte hain
aur ek bhali si hawa mein
lahrane dete hain apne baal
chiDiyon ke sath jhumte Dolte
kisi jhurmut ko dekhkar pata lagta hai—
waqi sundar chizen shahr ke bahar hain
ye tab bhi pata lagta hai
jab pahli bar aap dhanste hain
nak par rumal rakhe
shahr ki chauhaddi ke bhitar
ye shahr aapka swagat karta hai
aisa ek board zarur milega shahr ki chauhaddi par
lekin man mein itminan ka koi bhaw jagane ke bajay
wo dhauns jamayega aapke upar
nak par rumal rakhne ke bawjud
shahr ka atank ghus jayega aapke bhitar
ap nahin jaan pate ki wo nak ke raste ghusa ya kan ke
ap kuch zyada hi sharif hone ke chakkar mein
kitne dayniy ban jate hain!
phir aap barson shahr mein rah jayenge
bus jayenge kiraye ka koi kamra lekar
yahan wahan jayenge
cinema ka, bus ka, tram ka ticket katayenge
amitabh ko dekhenge, karishma ko dekhenge
aur wigyapan ke model ki tarah
apko bhi pata chalega komal twacha ka raaz
tab tazgi aur khubsurati ke liye
apko bhi bharosa hone lagega kisi sabun par
subah subah daDhi banayenge
akhbar paDhenge
aur kuDhte rahenge—
dhat tere ki, ye bhi koi zindagi hai!
aise hi kisi waqt
bahar kahin jane ka mauqa milega
tab shahr ki chauhaddi par karte hi
apna chehra ponchhte hue
ap chahenge ki bhar len phephDon mein
sari tazi hawa
shayad aap bhool bhi jayen
ki rumal jeb mein hai ya nahin
aur aapko pata lagega—
sundar chizen shahr ke bahar hain!
kabhi kabhi hi pata lagta hai
ki sundar chizen
shahr ke bahar hain
masalan, ube hue
ya shor mein Dube hue log
jab kahin ghumne ja rahe hote hain
to shahr ki chauhaddi par karte hi
apna chehra ponchhte hain
aur ek bhali si hawa mein
lahrane dete hain apne baal
chiDiyon ke sath jhumte Dolte
kisi jhurmut ko dekhkar pata lagta hai—
waqi sundar chizen shahr ke bahar hain
ye tab bhi pata lagta hai
jab pahli bar aap dhanste hain
nak par rumal rakhe
shahr ki chauhaddi ke bhitar
ye shahr aapka swagat karta hai
aisa ek board zarur milega shahr ki chauhaddi par
lekin man mein itminan ka koi bhaw jagane ke bajay
wo dhauns jamayega aapke upar
nak par rumal rakhne ke bawjud
shahr ka atank ghus jayega aapke bhitar
ap nahin jaan pate ki wo nak ke raste ghusa ya kan ke
ap kuch zyada hi sharif hone ke chakkar mein
kitne dayniy ban jate hain!
phir aap barson shahr mein rah jayenge
bus jayenge kiraye ka koi kamra lekar
yahan wahan jayenge
cinema ka, bus ka, tram ka ticket katayenge
amitabh ko dekhenge, karishma ko dekhenge
aur wigyapan ke model ki tarah
apko bhi pata chalega komal twacha ka raaz
tab tazgi aur khubsurati ke liye
apko bhi bharosa hone lagega kisi sabun par
subah subah daDhi banayenge
akhbar paDhenge
aur kuDhte rahenge—
dhat tere ki, ye bhi koi zindagi hai!
aise hi kisi waqt
bahar kahin jane ka mauqa milega
tab shahr ki chauhaddi par karte hi
apna chehra ponchhte hue
ap chahenge ki bhar len phephDon mein
sari tazi hawa
shayad aap bhool bhi jayen
ki rumal jeb mein hai ya nahin
aur aapko pata lagega—
sundar chizen shahr ke bahar hain!
स्रोत :
पुस्तक : सुंदर चीज़ें शहर के बाहर हैं (पृष्ठ 71)
रचनाकार : अरविंद चतुर्वेद
प्रकाशन : प्रकाशन संस्थान
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.