वह रोटी में नमक की तरह प्रवेश करता है
ताखे पर रखी हुई रात की रोटी
उसके आने की ख़ुशी में ज़रा-सा उछलती है
और एक भूखे आदमी की नींद में गिर पड़ती है
एक बच्चा जगता है
और घने कोहरे में पिता की चाय के लिए दूध ख़रीदने
नुक्कड़ की दुकान तक अकेला चला जाता है
एक पतीली गर्म होने लगती है
एक चेहरा लाल होना शुरू होता है
एक ख़ूँख़ार चमक
तंबाकू के खेतों से उठती है
और आदमी के ख़ून में टहलने लगती है
मेरा ख़याल है
वह आसमान से नहीं
किसी जानवर की माँद से निकलता है
और एक लंबी छलाँग के बाद
किसी गंजे तथा मुस्टंड आदमी के भविष्य में
ग़ायब हो जाता है
अकेला
और शानदार
वह आदमी के सिर उठाने की
यातना है
आदमी का बुख़ार
आदमी की कुल्हाड़ी
जिसे वह कंधे पर रखता है
और जंगल की ओर चल देता है
मेरी बस्ती के लोगों की दुनिया में
वह अकेली चीज़ है
जिस पर भरोसा किया जा सकता है
सिर्फ़ उस पर रोटी नहीं सेंकी जा सकती!
wo roti mein namak ki tarah prawesh karta hai
takhe par rakhi hui raat ki roti
uske aane ki khushi mein zara sa uchhalti hai
aur ek bhukhe adami ki neend mein gir paDti hai
ek bachcha jagta hai
aur ghane kohre mein pita ki chay ke liye doodh kharidne
nukkaD ki dukan tak akela chala jata hai
ek patili garm hone lagti hai
ek chehra lal hona shuru hota hai
ek khunkhar chamak
tambaku ke kheton se uthti hai
aur adami ke khoon mein tahalne lagti hai
mera khayal hai
wo asman se nahin
kisi janwar ki mand se nikalta hai
aur ek lambi chhalang ke baad
kisi ganje tatha mustanD adami ke bhawishya mein
ghayab ho jata hai
akela
aur shanadar
wo adami ke sir uthane ki
yatana hai
adami ka bukhar
adami ki kulhaDi
jise wo kandhe par rakhta hai
aur jangal ki or chal deta hai
meri basti ke logon ki duniya mein
wo akeli cheez hai
jis par bharosa kiya ja sakta hai
sirf us par roti nahin senki ja sakti!
wo roti mein namak ki tarah prawesh karta hai
takhe par rakhi hui raat ki roti
uske aane ki khushi mein zara sa uchhalti hai
aur ek bhukhe adami ki neend mein gir paDti hai
ek bachcha jagta hai
aur ghane kohre mein pita ki chay ke liye doodh kharidne
nukkaD ki dukan tak akela chala jata hai
ek patili garm hone lagti hai
ek chehra lal hona shuru hota hai
ek khunkhar chamak
tambaku ke kheton se uthti hai
aur adami ke khoon mein tahalne lagti hai
mera khayal hai
wo asman se nahin
kisi janwar ki mand se nikalta hai
aur ek lambi chhalang ke baad
kisi ganje tatha mustanD adami ke bhawishya mein
ghayab ho jata hai
akela
aur shanadar
wo adami ke sir uthane ki
yatana hai
adami ka bukhar
adami ki kulhaDi
jise wo kandhe par rakhta hai
aur jangal ki or chal deta hai
meri basti ke logon ki duniya mein
wo akeli cheez hai
jis par bharosa kiya ja sakta hai
sirf us par roti nahin senki ja sakti!
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 46)
संपादक : परमानंद श्रीवास्तव
रचनाकार : केदारनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.