पत्थर का यह छोटा-सा टुकड़ा
जो तराज़ू के एक पलड़े पर
मौजूद रहता है हमेशा
बटखरे के बग़ल में
अपने-आप में कोई बटखरा नहीं
जब तराज़ू के पलड़े असंतुलित हो
बेमानी करने लगते हैं
बटखरे भी जब उद्धत हो मनमानी करने लगते हैं
तब यह पासंग ही होता है
जो आगे बढ़कर रोकता है
इनकी बेमानी-मनमानी
अपने-आप में इनका कोई तय आकार नहीं कोई आकृति नहीं
अपने-आप में इनकी कोई निश्चित तौल नहीं
ख़राब पड़ी टॉर्च-बैटरी या ईंट-पत्थर के टुकड़े भी बन सकते हैं पासंग
अपने निहायत छोटे आकार-प्रकार में भी
ये तौल को एक तुक-ताल में ढालते हैं
पस्त पड़ चुके सच में फिर जान डालते हैं
और बेराह हो चले जमाने को ढर्रे पर लाते हैं
बेरंग पड़ चुकी ज़िंदगी में
बार-बार भरते हैं उल्लास के रंग
यही बेरूप-बेआकार पासंग
patthar ka ye chhota sa tukDa
jo tarazu ke ek palDe par
maujud rahta hai hamesha
batakhre ke baghal mein
apne aap mein koi batakhra nahin
jab tarazu ke palDe asantulit ho
bemani karne lagte hain
batakhre bhi jab uddhat ho manmani karne lagte hain
tab ye pasang hi hota hai
jo aage baDhkar rokta hai
inki bemani manmani
apne aap mein inka koi tay akar nahin koi akriti nahin
apne aap mein inki koi nishchit taul nahin
kharab paDi torch baitari ya int patthar ke tukDe bhi ban sakte hain pasang
apne nihayat chhote akar prakar mein bhi
ye taul ko ek tuk tal mein Dhalte hain
past paD chuke sach mein phir jaan Dalte hain
aur berah ho chale jamane ko Dharre par late hain
berang paD chuki zindagi mein
bar bar bharte hain ullas ke rang
yahi berup beakar pasang
patthar ka ye chhota sa tukDa
jo tarazu ke ek palDe par
maujud rahta hai hamesha
batakhre ke baghal mein
apne aap mein koi batakhra nahin
jab tarazu ke palDe asantulit ho
bemani karne lagte hain
batakhre bhi jab uddhat ho manmani karne lagte hain
tab ye pasang hi hota hai
jo aage baDhkar rokta hai
inki bemani manmani
apne aap mein inka koi tay akar nahin koi akriti nahin
apne aap mein inki koi nishchit taul nahin
kharab paDi torch baitari ya int patthar ke tukDe bhi ban sakte hain pasang
apne nihayat chhote akar prakar mein bhi
ye taul ko ek tuk tal mein Dhalte hain
past paD chuke sach mein phir jaan Dalte hain
aur berah ho chale jamane ko Dharre par late hain
berang paD chuki zindagi mein
bar bar bharte hain ullas ke rang
yahi berup beakar pasang
स्रोत :
रचनाकार : संतोष कुमार चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.