स्थान की रिक्तता के बाद
भाव के ख़ालीपन से जूझती स्त्री
क्या चाहती होगी?
“संघर्ष” को किसी मटके की तरह
अपनी कमर से अड़काए हुए चली आती होगी
खेत की पगडंडियों को पकड़े
गाँव के चौराहे पर पहुँचते ही वहाँ के
रिवाज़नुमा चौखट के सामने बैठी औरतों का झुँड
आहिस्ते से कहता है—
“कुलक्षणी, खा गई अपने पति को
विवाह के दूसरे ही दिन ”
पति के आकस्मिक मृत्यु की वजह से,
उस नई नवेली (विधवा) औरत को
कलंकित, कुलक्षणी, अभागन, डायन
और न जाने कितनी उपाधि दी गई लोगों के द्वारा
तब जाके;
गाँव के अंत में पीपल के पेड़ के पास वाली
पहाड़ी के ऊपर से वह अकेली औरत
अपने स्वाभिमान की सबसे ऊँची छलाँग लगाकर
ऐसे कूदी,
जैसे मध्य रात्रि में अचानक नींद टूट जाने पर
अकेलेपन में कूद जाता है
प्रेमिका से बिछड़ा एक युवा प्रेमी।
sthaan ki riktata ke baad
bhaav ke khalipan se jujhti istri
kya chahti hogi?
“sangharsh” ko kisi matke ki tarah
apni kamar se aDkaye hue chali aati hogi
khet ki pagDanDiyon ko pakDe
gaanv ke chaurahe par pahunchte hi vahan ke
rivazanuma chaukhat ke samne baithi aurton ka jhunD
ahiste se kahta hai—
“kulakshanai, kha gai apne pati ko
vivah ke dusre hi din ”
pati ke akasmik mirtyu ki vajah se,
us nai naveli (vidhva) aurat ko
kalankit, kulakshanai, abhagan, Dayan
aur na jane kitni upadhi di gai logon ke dvara
tab jake;
gaanv ke ant mein pipal ke peD ke paas vali
pahaDi ke upar se wo akeli aurat
apne svabhiman ki sabse unchi chhalang lagakar
aise kudi,
jaise madhya ratri mein achanak neend toot jane par
akelepan mein kood jata hai
premika se bichhDa ek yuva premi.
sthaan ki riktata ke baad
bhaav ke khalipan se jujhti istri
kya chahti hogi?
“sangharsh” ko kisi matke ki tarah
apni kamar se aDkaye hue chali aati hogi
khet ki pagDanDiyon ko pakDe
gaanv ke chaurahe par pahunchte hi vahan ke
rivazanuma chaukhat ke samne baithi aurton ka jhunD
ahiste se kahta hai—
“kulakshanai, kha gai apne pati ko
vivah ke dusre hi din ”
pati ke akasmik mirtyu ki vajah se,
us nai naveli (vidhva) aurat ko
kalankit, kulakshanai, abhagan, Dayan
aur na jane kitni upadhi di gai logon ke dvara
tab jake;
gaanv ke ant mein pipal ke peD ke paas vali
pahaDi ke upar se wo akeli aurat
apne svabhiman ki sabse unchi chhalang lagakar
aise kudi,
jaise madhya ratri mein achanak neend toot jane par
akelepan mein kood jata hai
premika se bichhDa ek yuva premi.
स्रोत :
रचनाकार : मनीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.