कितना मुश्किल है सन्नाटे को छूना
जैसे तुम्हें
गर्मी की सूनी दोपहर में
चिलकती हुई धूप
छटपटाती है
थम गई है हवा
साँस रोके हुए
जैसे किसी इंतज़ार में—
किसके?
कहीं कोई नहीं है
सिर्फ़ मैं और वह
यानी सन्नाटा
सामने
बाहर
या मेरे भीतर
घेरे हुए इतने पास
कि चाहो तो धड़कन सुन लो
पर पकड़ के बाहर
मैं उसका पीछा करता हुआ
या वह मेरा
या वह भी नहीं
सिर्फ़ मैं
अपने भीतर उसे रचता हुआ
जैसे किसी कविता को
अपने कभी न रचे जा सकने वाले संसार को
ठिठका हुआ है सन्नाटा
जैसे किसी क्लोज-अप में दो चेहरे
ओठ
एकदम छूते-से फिर भी अलग
ठिठका है
जैसे कोई साथी कोई अपना मिल गया हो
चाहे थोड़ी देर के लिए
इस रास्ते में
मैं चाहता हूँ
इस सन्नाटे को दोस्त बना लूँ
इसे छुऊँ
इसे बाँहों में भरकर
इसके अपरिचित स्पर्श को
अपने भीतर अंकित कर लूँ
इसके पहले कि
दुपहर ढले
और यह
शाम की गुनगुनाहट भरी आवाजाही में
घुल जाए
और मैं फिर अकेला रह जाऊँ।
kitna mushkil hai sannate ko chhuna
jaise tumhein
garmi ki suni dopahar mein
chilakti hui dhoop
chhatpatati hai
tham gai hai hawa
sans roke hue
jaise kisi intzar mein—
kiske?
kahin koi nahin hai
sirf main aur wo
yani sannata
samne
bahar
ya mere bhitar
ghere hue itne pas
ki chaho to dhaDkan sun lo
par pakaD ke bahar
main uska pichha karta hua
ya wo mera
ya wo bhi nahin
sirf main
apne bhitar use rachta hua
jaise kisi kawita ko
apne kabhi na rache ja sakne wale sansar ko
thithka hua hai sannata
jaise kisi kloj ap mein do chehre
oth
ekdam chhute se phir bhi alag
thithka hai
jaise koi sathi koi apna mil gaya ho
chahe thoDi der ke liye
is raste mein
main chahta hoon
is sannate ko dost bana loon
ise chhun
ise banhon mein bharkar
iske aprichit sparsh ko
apne bhitar ankit kar loon
iske pahle ki
duphar Dhale
aur ye
sham ki gungunahat bhari awajahi mein
ghul jaye
aur main phir akela rah jaun
kitna mushkil hai sannate ko chhuna
jaise tumhein
garmi ki suni dopahar mein
chilakti hui dhoop
chhatpatati hai
tham gai hai hawa
sans roke hue
jaise kisi intzar mein—
kiske?
kahin koi nahin hai
sirf main aur wo
yani sannata
samne
bahar
ya mere bhitar
ghere hue itne pas
ki chaho to dhaDkan sun lo
par pakaD ke bahar
main uska pichha karta hua
ya wo mera
ya wo bhi nahin
sirf main
apne bhitar use rachta hua
jaise kisi kawita ko
apne kabhi na rache ja sakne wale sansar ko
thithka hua hai sannata
jaise kisi kloj ap mein do chehre
oth
ekdam chhute se phir bhi alag
thithka hai
jaise koi sathi koi apna mil gaya ho
chahe thoDi der ke liye
is raste mein
main chahta hoon
is sannate ko dost bana loon
ise chhun
ise banhon mein bharkar
iske aprichit sparsh ko
apne bhitar ankit kar loon
iske pahle ki
duphar Dhale
aur ye
sham ki gungunahat bhari awajahi mein
ghul jaye
aur main phir akela rah jaun
स्रोत :
पुस्तक : अचानक हम फिर (पृष्ठ 22)
रचनाकार : नेमिचंद्र जैन
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.