मेरे पास तुम्हे याद करते हुए वो अधूरी कविता है
जिसे लिखी थी मैंने कभी उन्ही दिनों
जब फूलों से पराग लेकर
मधुमक्खियों की तरह हम शब्द बनाते थे
भरी हुई हैं जिसमें
करवटें बदल-बदल कर काटती रातें
आसमान में थोड़ी दूर उड़ने के बाद
हवा में ही कटकर गिर जाने वाले पंख हैं
जब जब कोशिश करता हूँ
कुछ पंक्तियाँ लिखकर पूरा करने की उसे
मैंने महसूस किया अंदर उस राख़ की तपन
जिसमे ज़िंदा थीं आज भी बहुत-सी चिनगारियाँ
उन दिनों को याद करते हुए मेरे पास
चुभते हुए काँटे हैं
बगीचे से चुराए सुर्ख़ गुलाब के
एक बड़े फूल के साथ-साथ आ गए थे वो
क़िस्मत ऐसी कि सुर्ख़ फूल सूखकर स्याह हो गया
पर काँटे और भी कड़े और नुकीले
उन्हें ही तुम्हारा प्यार समझते हुए
मैंने किसी मूर्ति की तरह
अपने दिल के गर्भ गृह में
प्रतिष्ठित कर दिया है
अपनी चखी हुई खटटी-मीठी बेरें
चढ़ाता हूँ उन पर प्रसाद की तरह
मेरे पास कच्ची मिट्टी की गागर थी
और तैरना भी नहीं आता था
सावन की भरी नदी था हमारा रास्ता
इसके पहले कि हम किसी किनारे पर पहुँच पाते
गागर गल गई थी मेरी
मुझे पता नहीं था कि मैं डूब गया था
या मिल गया था किसी तिनके का सहारा
लेकिन वक्त को मैंने हिरन की तरह छलाँगे लगाते
एक घने जंगल में गुम होते हुए देखा
mere paas tumhe yaad karte hue wo adhuri kavita hai
jise likhi thi mainne kabhi unhi dinon
jab phulon se praag lekar
madhumakkhiyon ki tarah hum shabd banate the
bhari hui hain jismen
karavten badal badal kar katti raten
asman mein thoDi door uDne ke baad
hava mein hi katkar gir jane vale pankh hain
jab jab koshish karta hoon
kuch panktiyan likhkar pura karne ki use
mainne mahsus kiya andar us raakh ki tapan
jisme zinda theen aaj bhi bahut si chingariyan
un dinon ko yaad karte hue mere paas
chubhte hue kante hain
bagiche se churaye surkh gulab ke
ek baDe phool ke saath saath aa ge the wo
qismat aisi ki surkh phool sookh kar syaah ho gaya
par kante aur bhi kaDe aur nukile
unhen hi tumhara pyaar samajhte hue
mainne kisi murti ki tarah
apne dil ke garbh grih mein
pratishthit kar diya hai
apni chakhi hui khat mithi beren
chaDhata hoon un par parsad ki tarah
mere paas kachchi mitti ki gagar thi
aur tairna bhi nahin aata tha
savan ki bhari nadi tha hamara rasta
iske pahle ki hum kisi kinare par pahunch pate
gagar gal gai thi meri
mujhe pata nahin tha ki main Doob gaya tha
ya mil gaya tha kisi tinke ka sahara
lekin vakt ko mainne hiran ki tarah chhalange lagate
ek ghane jangal mein gum hote hue dekha
mere paas tumhe yaad karte hue wo adhuri kavita hai
jise likhi thi mainne kabhi unhi dinon
jab phulon se praag lekar
madhumakkhiyon ki tarah hum shabd banate the
bhari hui hain jismen
karavten badal badal kar katti raten
asman mein thoDi door uDne ke baad
hava mein hi katkar gir jane vale pankh hain
jab jab koshish karta hoon
kuch panktiyan likhkar pura karne ki use
mainne mahsus kiya andar us raakh ki tapan
jisme zinda theen aaj bhi bahut si chingariyan
un dinon ko yaad karte hue mere paas
chubhte hue kante hain
bagiche se churaye surkh gulab ke
ek baDe phool ke saath saath aa ge the wo
qismat aisi ki surkh phool sookh kar syaah ho gaya
par kante aur bhi kaDe aur nukile
unhen hi tumhara pyaar samajhte hue
mainne kisi murti ki tarah
apne dil ke garbh grih mein
pratishthit kar diya hai
apni chakhi hui khat mithi beren
chaDhata hoon un par parsad ki tarah
mere paas kachchi mitti ki gagar thi
aur tairna bhi nahin aata tha
savan ki bhari nadi tha hamara rasta
iske pahle ki hum kisi kinare par pahunch pate
gagar gal gai thi meri
mujhe pata nahin tha ki main Doob gaya tha
ya mil gaya tha kisi tinke ka sahara
lekin vakt ko mainne hiran ki tarah chhalange lagate
ek ghane jangal mein gum hote hue dekha
स्रोत :
रचनाकार : अनिल मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.