राजधानी में रहते हो बंधु
ऐसी जगह बताओ जहाँ राजा नहीं जाता
जहाँ उसके घोड़े नहीं बँधते
जहाँ उसके लिए क़ालीन नहीं बिछते
जहाँ उसके दो-तीन प्यादे दिन-दुपहर नहीं निकालते फ़तवे
तुम्हें मिलते तो होंगे ऐसे लोग
जिन्हें राजा से कोई शिकायत नहीं
कभी मुझे भी मिलाओ उनसे
शहर और सड़क की तरह नदी का नाम बदलने वाला है बंधु
बताओ मुझे
कौन पवित्र होगा
मुसलमान या हिंदू
राजधानी का रास्ता बताओ
छोटा पड़ता है मेरा गाँव
सब रेलें रुकती नहीं
बसें रुकती हैं तो चलती नहीं
इनमें अनाज की गंध आती है या फिर पसीने की
इनमें बैठकर आऊँगी मैं राजा से मिलने
मुझे ऐसे पुल पर ले जाना
जिस पर राजधानी का कवि चलता है
राजा नहीं
कितने दिन हुए
कोई फूलों की घाटी नहीं देखी
राजा का बाग़ उसे मुबारक हो
उसकी सब पत्तियाँ
ठाकुर की एक कविता में आ जाएँगी
मुझे वह जगह बताना जहाँ सन् 1947 में डूबी हुई नौका मिली
उसी में मेरा सामान है
यह देश मेरा भी है बंधु।
rajdhani mein rahte ho bandhu
aisi jagah batao jahan raja nahin jata
jahan uske ghoDe nahin bandhate
jahan uske liye qalin nahin bichhte
jahan uske do teen pyade din duphar nahin nikalte fatwe
tumhein milte to honge aise log
jinhen raja se koi shikayat nahin
kabhi mujhe bhi milao unse
shahr aur saDak ki tarah nadi ka nam badalne wala hai bandhu
batao mujhe
kaun pawitra hoga
musalman ya hindu
rajdhani ka rasta batao
chhota paDta hai mera ganw
sab relen rukti nahin
basen rukti hain to chalti nahin
inmen anaj ki gandh aati hai ya phir pasine ki
inmen baithkar aungi main raja se milne
mujhe aise pul par le jana
jis par rajdhani ka kawi chalta hai
raja nahin
kitne din hue
koi phulon ki ghati nahin dekhi
raja ka bagh use mubarak ho
uski sab pattiyan
thakur ki ek kawita mein aa jayengi
mujhe wo jagah batana jahan san 1947 mein Dubi hui nauka mili
usi mein mera saman hai
ye desh mera bhi hai bandhu
rajdhani mein rahte ho bandhu
aisi jagah batao jahan raja nahin jata
jahan uske ghoDe nahin bandhate
jahan uske liye qalin nahin bichhte
jahan uske do teen pyade din duphar nahin nikalte fatwe
tumhein milte to honge aise log
jinhen raja se koi shikayat nahin
kabhi mujhe bhi milao unse
shahr aur saDak ki tarah nadi ka nam badalne wala hai bandhu
batao mujhe
kaun pawitra hoga
musalman ya hindu
rajdhani ka rasta batao
chhota paDta hai mera ganw
sab relen rukti nahin
basen rukti hain to chalti nahin
inmen anaj ki gandh aati hai ya phir pasine ki
inmen baithkar aungi main raja se milne
mujhe aise pul par le jana
jis par rajdhani ka kawi chalta hai
raja nahin
kitne din hue
koi phulon ki ghati nahin dekhi
raja ka bagh use mubarak ho
uski sab pattiyan
thakur ki ek kawita mein aa jayengi
mujhe wo jagah batana jahan san 1947 mein Dubi hui nauka mili
usi mein mera saman hai
ye desh mera bhi hai bandhu
स्रोत :
रचनाकार : ज्योति शोभा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.