एक बड़ी-सी आकृति जो आदमियों के देखने से हरी थी
किसी ने उसे पेड़ कह दिया था
तब से वह अर्थ है
पेड़ शब्द का
पेड़ शब्द के अर्थ में
पेड़ की ख़ामोश ताक़त का
बहुत कम पता चलता है
जड़ें उसकी गहराई तक जाती हैं
यह ख़ास मतलब का विषय नहीं था
फूल फल पत्तियाँ लकड़ी छाल और जड़ों के अर्थ को
ज़रूरत के हिसाब से निर्धारित किया गया
पेड़ शब्द के अर्थ में उसकी छाया को
शामिल कर लिया गया
लेकिन पतझड़ की उदासी में
कोई शामिल नहीं हुआ
अभी-अभी उगी नन्ही पत्ती पर
हवा किस तरह सरसराती है
और कैसे इतने बड़े जहान में एक पेड़
अपने ऊपर थाम लेता है
पूरी रात को
इसे सिर्फ़ नींद में समझा गया
पेड़ की तरह
एक और घनी आकृति है
आदमियों को जो सबसे अधिक रिझाती है
किसी ने उसे स्त्री कह दिया था
और रोप दिया था उसमें
प्रेम शब्द का अर्थ
स्त्री शब्द के अर्थ में
स्त्री की अपनी मौलिकता शामिल नहीं
पुरुष-मिज़ाज का उस पर आरोप है
रूप में समाई हुई कितनी शून्यता है
नहीं ले पाया कोई आज तक थाह
सिर्फ़ अर्थ किया गया उसके अंगों का
फूल फल पत्तियाँ लकड़ी छाल और जड़ों की तरह
कितनी चीज़ें गिनाऊँ
जिन्हें दिया गया ऐतिहासिक शब्द
और उनका अर्थ करने में
भौतिक भूलें की गईं
कवि कम नहीं इसके लिए
ज़िम्मेदार।
ek baDi si akriti jo adamiyon ke dekhne se hari thi
kisi ne use peD kah diya tha
tab se wo arth hai
peD shabd ka
peD shabd ke arth mein
peD ki khamosh taqat ka
bahut kam pata chalta hai
jaDen uski gahrai tak jati hain
ye khas matlab ka wishay nahin tha
phool phal pattiyan lakDi chhaal aur jaDon ke arth ko
zarurat ke hisab se nirdharit kiya gaya
peD shabd ke arth mein uski chhaya ko
shamil kar liya gaya
lekin patjhaD ki udasi mein
koi shamil nahin hua
abhi abhi ugi nannhi patti par
hawa kis tarah sarsarati hai
aur kaise itne baDe jahan mein ek peD
apne upar tham leta hai
puri raat ko
ise sirf neend mein samjha gaya
peD ki tarah
ek aur ghani akriti hai
adamiyon ko jo sabse adhik rijhati hai
kisi ne use istri kah diya tha
aur rop diya tha usmen
prem shabd ka arth
istri shabd ke arth mein
istri ki apni maulikta shamil nahin
purush mizaj ka us par aarop hai
roop mein samai hui kitni shunyata hai
nahin le paya koi aaj tak thah
sirf arth kiya gaya uske angon ka
phool phal pattiyan lakDi chhaal aur jaDon ki tarah
kitni chizen ginaun
jinhen diya gaya aitihasik shabd
aur unka arth karne mein
bhautik bhulen ki gain
kawi kam nahin iske liye
zimmedar
ek baDi si akriti jo adamiyon ke dekhne se hari thi
kisi ne use peD kah diya tha
tab se wo arth hai
peD shabd ka
peD shabd ke arth mein
peD ki khamosh taqat ka
bahut kam pata chalta hai
jaDen uski gahrai tak jati hain
ye khas matlab ka wishay nahin tha
phool phal pattiyan lakDi chhaal aur jaDon ke arth ko
zarurat ke hisab se nirdharit kiya gaya
peD shabd ke arth mein uski chhaya ko
shamil kar liya gaya
lekin patjhaD ki udasi mein
koi shamil nahin hua
abhi abhi ugi nannhi patti par
hawa kis tarah sarsarati hai
aur kaise itne baDe jahan mein ek peD
apne upar tham leta hai
puri raat ko
ise sirf neend mein samjha gaya
peD ki tarah
ek aur ghani akriti hai
adamiyon ko jo sabse adhik rijhati hai
kisi ne use istri kah diya tha
aur rop diya tha usmen
prem shabd ka arth
istri shabd ke arth mein
istri ki apni maulikta shamil nahin
purush mizaj ka us par aarop hai
roop mein samai hui kitni shunyata hai
nahin le paya koi aaj tak thah
sirf arth kiya gaya uske angon ka
phool phal pattiyan lakDi chhaal aur jaDon ki tarah
kitni chizen ginaun
jinhen diya gaya aitihasik shabd
aur unka arth karne mein
bhautik bhulen ki gain
kawi kam nahin iske liye
zimmedar
स्रोत :
रचनाकार : सुधीर रंजन सिंह
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.