पिता! मेरे कंधे की
एक टहनी टूट गई है
प्रौढ़ वृक्ष हूँ मैं अब
और मेरी घनी-लदी शाखाओं में
कोई छिद्र तक नहीं दिखता
सूरज की महीन रौशनी भी
इसे वेध नहीं पाती
पिता! मेरा लदा हुआ होना
मेरी स्थिति का द्योतक है
समय से ज़्यादा
स्वयं के भार में
तुम्हारे दबे होने का अहसास लिए
फलता-फूलता हूँ मैं
आज अचानक चटकी टहनी में
तुम्हारी पीड़ा और जंग लगे दर्द
अपने हस्ताक्षर करते दिख रहे हैं
तुम्हारी धज को रेशा दर रेशा बिखरते
मूक देखता था कभी
और तुम्हारे आग़ोश से ही
अपनी स्वतंत्रता का उद्घोष
थाली पीट कर किया था मैंने
वैसे पिता! स्वतंत्रता का एक तमाचा
आज भी बाएँ गाल पर छपा है
पिता! तुम्हारी टहनियों और पत्तों को
रोज़ गिरते-झरते देखता था
वो पत्ते रोज़ गिरकर
मेरे पथ के काँटों को ढाँपते थे
मैं पत्तों को देखता था
पर काटों ने कभी
अपनी शक्ल नहीं दिखाई
आज जब तुम्हारे सारे पत्ते झर चुके हैं
तो पहली बार काँटे ने मुझे डसा है
और आज ही मेरे कंधे की
पहली टहनी चटकी है
pita! mere kandhe ki
ek tahni toot gai hai
prauDh vriksh hoon main ab
aur meri ghani ladi shakhaon men
koi chhidr tak nahin dikhta
suraj ki mahin raushani bhi
ise vedh nahin pati
pita! mera lada hua hona
meri sthiti ka dyotak hai
samay se zyada
svayan ke bhaar mein
tumhare dabe hone ka ahsas liye
phalta phulta hoon main
aaj achanak chatki tahni mein
tumhari piDa aur jang lage dard
apne hastakshar karte dikh rahe hain
tumhari dhaz ko resha dar resha bikharte
mook dekhta tha kabhi
aur tumhare aghosh se hi
apni svtantrta ka udghosh
thali peet kar kiya tha mainne
vaise pita! svtantrta ka ek tamacha
aaj bhi bayen gaal par chhapa hai
pita! tumhari tahaniyon aur patton ko
roz girte jharte dekhta tha
wo patte roz girkar
mere path ke kanton ko Dhanpate the
main patton ko dekhta tha
par katon ne kabhi
apni shakl nahin dikhai
aaj jab tumhare sare patte jhar chuke hain
to pahli baar kante ne mujhe Dasa hai
aur aaj hi mere kandhe ki
pahli tahni chatki hai
. .
*kavi ki ‘pita’ kendrit kavitayen
pita! mere kandhe ki
ek tahni toot gai hai
prauDh vriksh hoon main ab
aur meri ghani ladi shakhaon men
koi chhidr tak nahin dikhta
suraj ki mahin raushani bhi
ise vedh nahin pati
pita! mera lada hua hona
meri sthiti ka dyotak hai
samay se zyada
svayan ke bhaar mein
tumhare dabe hone ka ahsas liye
phalta phulta hoon main
aaj achanak chatki tahni mein
tumhari piDa aur jang lage dard
apne hastakshar karte dikh rahe hain
tumhari dhaz ko resha dar resha bikharte
mook dekhta tha kabhi
aur tumhare aghosh se hi
apni svtantrta ka udghosh
thali peet kar kiya tha mainne
vaise pita! svtantrta ka ek tamacha
aaj bhi bayen gaal par chhapa hai
pita! tumhari tahaniyon aur patton ko
roz girte jharte dekhta tha
wo patte roz girkar
mere path ke kanton ko Dhanpate the
main patton ko dekhta tha
par katon ne kabhi
apni shakl nahin dikhai
aaj jab tumhare sare patte jhar chuke hain
to pahli baar kante ne mujhe Dasa hai
aur aaj hi mere kandhe ki
pahli tahni chatki hai
. .
*kavi ki ‘pita’ kendrit kavitayen
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.