वे दरख़्त होते हैं
घर जिनकी आग़ोश में खेलता है
वे कितनी बार टूटते हैं
कभी कच्चे, कभी पक्के
पिता पेड़ की तरह
टहनी-दर-टहनी जलावन बनते हैं
साँए-साँए जंगल की तरह
पिता जागते हैं रात भर
पीपल के प्रेत-सा भूख उल्टे पैर
पिता के विचारों में हिलता रहता है
अंतड़ी में जमा पित्त
कथरी-सा हृदय से लगातार रिसता
भूख का आँसू है
चेहरा पानी से नहीं
आँसू से धुलता है
दृश्य और धुँधला दिखाई पड़ता है
ऐसा कभी-कभी नहीं
अक्सर होता है
पिता के अबोले शब्द को
माँ की आँखें बोलती हैं
और उनके जलते शब्दों को
माँ के शब्द ढक देते हैं
कड़वी दवाई के ऊपर
एक चुटकी चीनी का आवरण है
दवाई अपना काम
युगों से कर रही है
ve darakht hote hain
ghar jinki aghosh mein khelta hai
ve kitni baar tutte hain
kabhi kachche, kabhi pakke
pita peD ki tarah
tahni dar tahni jalavan bante hain
sanya sanya jangal ki tarah
pita jagte hain raat bhar
pipal ke pret sa bhookh ulte pair
pita ke vicharon mein hilta rahta hai
antDi mein jama pitt
kathri sa hriday se lagatar rista
bhookh ka ansu hai
chehra pani se nahin
ansu se dhulta hai
drishya aur dhundhla dikhai paDta hai
aisa kabhi kabhi nahin
aksar hota hai
pita ke abole shabd ko
maan ki ankhen bolti hain
aur unke jalte shabdon ko
maan ke shabd Dhak dete hain
kaDvi davai ke uupar
ek chutki chini ka avran hai
davai apna kaam
yugon se kar rahi hai
. .
*kavi ki ‘pita’ kendrit kavitayen
ve darakht hote hain
ghar jinki aghosh mein khelta hai
ve kitni baar tutte hain
kabhi kachche, kabhi pakke
pita peD ki tarah
tahni dar tahni jalavan bante hain
sanya sanya jangal ki tarah
pita jagte hain raat bhar
pipal ke pret sa bhookh ulte pair
pita ke vicharon mein hilta rahta hai
antDi mein jama pitt
kathri sa hriday se lagatar rista
bhookh ka ansu hai
chehra pani se nahin
ansu se dhulta hai
drishya aur dhundhla dikhai paDta hai
aisa kabhi kabhi nahin
aksar hota hai
pita ke abole shabd ko
maan ki ankhen bolti hain
aur unke jalte shabdon ko
maan ke shabd Dhak dete hain
kaDvi davai ke uupar
ek chutki chini ka avran hai
davai apna kaam
yugon se kar rahi hai
. .
*kavi ki ‘pita’ kendrit kavitayen
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.