सूप फटकते हुए
धूल और ग़ुबार के बीच
माँ का चेहरा ताकना
और फिर माँ के बालों से
बाली की फाँस बीनना
आटा गूँथते हुए
सुगढ़ नाक की नोक पर
लटके नमकीन मोती को
अपने आस्तीन से पोंछना
मुझे लौटना है
क्योंकि जब यह घट रहा था
मेरी किताब ने
मेरा मुँह ढक रखा था
दृश्य में शब्द बे-आवाज़ थे
और
हँसिया और हथौड़े पर
जौ की बाली रखते हुए
पिता हर बार की तरह नदारद रहे
वो उस समय भी नहीं थे
जब माँ के बालों का शृंगार
सिंदूर नहीं
आटा की लकीरें कर रही थीं
उस समय भी मैं
अपना मुँह ढाँपे किताब से
अँधकार में भविष्य के जुगनुओं को बटोर रहा था!
अब आसमान से सितारे नोच कर
उसकी सूप के कोरों को सजाना है
soop phatakte hue
dhool aur ghubar ke beech
maan ka chehra takana
aur phir maan ke balon se
bali ki phaans binna
mujhe phir vahin lautna hai
aata gunthate hue
sugaDh naak ki nok par
latke namkin moti ko
apne astin se ponchhna
mujhe phir vahin lautna hai
mujhe lautna hai
kyonki jab ye ghat raha tha
meri kitab ne
mera munh Dhak rakha tha
drishya mein shabd beavaz the
aur
hansiya aur hathauDe par
jau ki bali rakhte hue
pita har baar ki tarah nadarad rahe
wo us samay bhi nahin the
jab maan ke balon ka shringar
sindur nahin
aata ki lakiren kar rahi theen
us samay bhi main
apna munh Dhanpe kitab se
andhkar mein bhavishya ke juganuon ko bator raha tha!
ab asman se sitare noch kar
uski soop ke koron ko sajana hai
sach, mujhe abhi lautna hai
. .
*kavi ki ‘maan’ kendrit kavitayen
soop phatakte hue
dhool aur ghubar ke beech
maan ka chehra takana
aur phir maan ke balon se
bali ki phaans binna
mujhe phir vahin lautna hai
aata gunthate hue
sugaDh naak ki nok par
latke namkin moti ko
apne astin se ponchhna
mujhe phir vahin lautna hai
mujhe lautna hai
kyonki jab ye ghat raha tha
meri kitab ne
mera munh Dhak rakha tha
drishya mein shabd beavaz the
aur
hansiya aur hathauDe par
jau ki bali rakhte hue
pita har baar ki tarah nadarad rahe
wo us samay bhi nahin the
jab maan ke balon ka shringar
sindur nahin
aata ki lakiren kar rahi theen
us samay bhi main
apna munh Dhanpe kitab se
andhkar mein bhavishya ke juganuon ko bator raha tha!
ab asman se sitare noch kar
uski soop ke koron ko sajana hai
sach, mujhe abhi lautna hai
. .
*kavi ki ‘maan’ kendrit kavitayen
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.