हर आदमी के अंदर एक गाँव होता है
जो शहर नहीं होना चाहता
बाहर का भागता हुआ शहर
अंदर के गाँव को बेढंगी से छूता रहता है
जैसे उसने कभी गाँव देखा ही नहीं
शहर हो चुका आदमी
गाँव को कभी भूलता नहीं है
बस किसी से कह नहीं पाता कि
उसका गाँव बहुत दूर होता चला गया है उससे
उसकी साँसों पर अब गाँव की धूल नहीं
शहरी कारख़ानों का धुआँ ससरता है
उसके कानों में अब मवेशियों के गले की घंटियाँ नहीं
तिगड़म भरी गाड़ियों की आवारा चिल्ल-पौं रेंगती है
हर आदमी जिसका गाँव शहर हो चुका है
उसका गाँव बौना होता चला जाएगा
अपने बाटों को मिटाते हुए
अहातों में किवाड़ें लगाते हुए
चौक पर पहरेदार बिठाते हुए
शहर को चिढ़ लगी रहती है कि
गाँव रुका हुआ है
वह बार-बार जाकर उसको टोकता है
खँगालता है खोदता है
उसके रुके हुए पर अफ़सोस प्रकट करता है
अपना बुशर्ट झाड़ता है
आँखों पर एक काला पर्दा चढ़ाता है
और दुरदुराते हुए निकल जाता है
हर आदमी जो गाँव लिए शहर होने चला आया है
वह नहीं जानता
शहरी तौर-तरीक़ों की ऊटपटाँग भाषा
और आवाज़ों की उलझनें
कि यहाँ कम बोलना होता है
कम खाना होता है
कम ओढ़ना होता है
कम सोना होता है
धीरे बोलनी होती है अपनी गँवई बोली
धीरे-धीरे खिसकानी होती है थाली
धीरे फटकनी होती है चादर
धीरे से माँगनी होती है नींद
ज़्यादा करनी होती है चापलूसी
ज़्यादा देना होता है धक्का भीड़ को
ज़्यादा बरतनी होती है औपचारिकता
ज़्यादा बघारनी होती है शेखी
ज़्यादा बजाने होते हैं गाल
ज़्यादा ख़र्च करनी होती है जीविका
हर आदमी जिसका गाँव किराए पर
बिताता है जीवन शहर में
एक सपना किस्तों में देखता है कि
किस्तें बरामद कर ढूँढ़ लेगा
गाँव तक जाने वाली सड़क
हर आदमी के अंदर का गाँव
लौटना चाहता है जहाँ से वह आया था
या उसे आना पड़ा था
आदमी भले लौटे न लौटे
गाँव लौटना चाहता है
शहर को वैसा ही छोड़कर
जो वह होना नहीं चाहता।
har adami ke andar ek ganw hota hai
jo shahr nahin hona chahta
bahar ka bhagta hua shahr
andar ke ganw ko beDhangi se chhuta rahta hai
jaise usne kabhi ganw dekha hi nahin
shahr ho chuka adami
ganw ko kabhi bhulta nahin hai
bus kisi se kah nahin pata ki
uska ganw bahut door hota chala gaya hai usse
uski sanson par ab ganw ki dhool nahin
shahri karkhanon ka dhuan sasarta hai
uske kanon mein ab maweshiyon ke gale ki ghantiyan nahin
tigDam bhari gaDiyon ki awara chill paun rengti hai
har adami jiska ganw shahr ho chuka hai
uska ganw bauna hota chala jayega
apne baton ko mitate hue
ahaton mein kiwaDen lagate hue
chauk par pahredar bithate hue
shahr ko chiDh lagi rahti hai ki
ganw ruka hua hai
wo bar bar jakar usko tokta hai
khangalta hai khodta hai
uske ruke hue par afsos prakat karta hai
apna bushart jhaDta hai
ankhon par ek kala parda chaDhata hai
aur duradurate hue nikal jata hai
har adami jo ganw liye shahr hone chala aaya hai
wo nahin janta
shahri taur tariqon ki utaptang bhasha
aur awazon ki ulajhnen
ki yahan kam bolna hota hai
kam khana hota hai
kam oDhna hota hai
kam sona hota hai
dhire bolni hoti hai apni ganwai boli
dhire dhire khiskani hoti hai thali
dhire phatakni hoti hai chadar
dhire se mangni hoti hai neend
zyada karni hoti hai chaplusi
zyada dena hota hai dhakka bheeD ko
zyada baratni hoti hai aupacharikta
zyada bagharni hoti hai shekhi
zyada bajane hote hain gal
zyada kharch karni hoti hai jiwika
har adami jiska ganw kiraye par
bitata hai jiwan shahr mein
ek sapna kiston mein dekhta hai ki
kisten baramad kar DhoonDh lega
ganw tak jane wali saDak
har adami ke andar ka ganw
lautna chahta hai jahan se wo aaya tha
ya use aana paDa tha
adami bhale laute na laute
ganw lautna chahta hai
shahr ko waisa hi chhoDkar
jo wo hona nahin chahta
har adami ke andar ek ganw hota hai
jo shahr nahin hona chahta
bahar ka bhagta hua shahr
andar ke ganw ko beDhangi se chhuta rahta hai
jaise usne kabhi ganw dekha hi nahin
shahr ho chuka adami
ganw ko kabhi bhulta nahin hai
bus kisi se kah nahin pata ki
uska ganw bahut door hota chala gaya hai usse
uski sanson par ab ganw ki dhool nahin
shahri karkhanon ka dhuan sasarta hai
uske kanon mein ab maweshiyon ke gale ki ghantiyan nahin
tigDam bhari gaDiyon ki awara chill paun rengti hai
har adami jiska ganw shahr ho chuka hai
uska ganw bauna hota chala jayega
apne baton ko mitate hue
ahaton mein kiwaDen lagate hue
chauk par pahredar bithate hue
shahr ko chiDh lagi rahti hai ki
ganw ruka hua hai
wo bar bar jakar usko tokta hai
khangalta hai khodta hai
uske ruke hue par afsos prakat karta hai
apna bushart jhaDta hai
ankhon par ek kala parda chaDhata hai
aur duradurate hue nikal jata hai
har adami jo ganw liye shahr hone chala aaya hai
wo nahin janta
shahri taur tariqon ki utaptang bhasha
aur awazon ki ulajhnen
ki yahan kam bolna hota hai
kam khana hota hai
kam oDhna hota hai
kam sona hota hai
dhire bolni hoti hai apni ganwai boli
dhire dhire khiskani hoti hai thali
dhire phatakni hoti hai chadar
dhire se mangni hoti hai neend
zyada karni hoti hai chaplusi
zyada dena hota hai dhakka bheeD ko
zyada baratni hoti hai aupacharikta
zyada bagharni hoti hai shekhi
zyada bajane hote hain gal
zyada kharch karni hoti hai jiwika
har adami jiska ganw kiraye par
bitata hai jiwan shahr mein
ek sapna kiston mein dekhta hai ki
kisten baramad kar DhoonDh lega
ganw tak jane wali saDak
har adami ke andar ka ganw
lautna chahta hai jahan se wo aaya tha
ya use aana paDa tha
adami bhale laute na laute
ganw lautna chahta hai
shahr ko waisa hi chhoDkar
jo wo hona nahin chahta
स्रोत :
रचनाकार : आदर्श भूषण
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.