मुझे थोड़ा-थोड़ा सब चाहते थे
ज़रूरत के हिसाब से कम-बेशी
सबने मुझे अपने पास रखा
जो हिस्सा लोग ग़ैर-ज़रूरी समझकर अलगाते रहे
मेरा 'मैं' वहाँ आकार लेता था
आख़िर जो हिस्सा ख़र्चने से बाक़ी रह जाता है
वही तो हमारी बचत है
रात के तीसरे पहर मेरी परछाई
दुनिया के सफ़र पर निकलती है
उन परछाइयों से मिलने
जिन्हें अपने होने के लिए
रौशनी की मेहरबानी नहीं पसंद
कुछ पुकारें हैं मेरे पास जो सिर्फ़ अँधेरी रातों के
घने सन्नाटे में मुझे सुनाई देती हैं
कुछ धुनें हैं जो सिर्फ़ तब गूँजती हैं
जब मेरे पास कोई साज़ नहीं होता
कविता की कुछ नृशंस पंक्तियाँ हैं
जो उस वक़्त मेरा मुँह चिढ़ाती हैं
जब मेरे पास उन्हें नोट करने के लिए वक़्त नहीं होता
कुछ सपने हैं जो रोज़ चोला बदलकर
मुझे मृत्यु की तरफ़ ले जाते हैं
अंत में नींद हमेशा मरने से पहले टूट जाती है
जिस समय लोग मुझे चटकीली सुबहों में ढूँढ़ रहे थे
मैं अवसादी शामों के हाथ धरोहर थी
क्या यह इस दुनिया की सबसे बड़ी विडंबना नहीं है
कि रौशनी की हद अँधेरा तय करता है?
रौशनी को जीने और बढ़ने के लिए
हर पल अँधेरे से लड़ना पड़ता है
मैं लड़ाकू नहीं हूँ, मैं जीना चाहती हूँ
अजीब बात है, सब कहते हैं
यह स्त्री तो हमेशा लड़ती ही रहती है
मैं ख़ुद पर फेंके गए पत्थर जमा करती हूँ
कुछ को बोती हूँ, पत्थर के बग़ीचे पर
पत्थर की चहारदीवारी बनाती हूँ
उन्हें इस आशा में सींचती हूँ
किसी दिन उनमें कोपलें फूटेंगी
हँसिए मत, मैं पागल नहीं हूँ
हमारे यहाँ पत्थर औरतों और भगवान
तक में बदल जाते हैं
मैंने तो बस कुछ कोपलों की उम्मीद की है
अपने होने में अपने नाम की ग़लत वर्तनी हूँ
मेरा अर्थ चाहे तब भी मुझ तक पहुँच नहीं सकता
उसे मुझ तक ले कर आने वाला नक़्शा ही ग़लत है
दुनिया के तमाम चलते-फिरते नाम
ऐसे ग़लत नक़्शे हैं जो अपने लक्ष्यों से
बेईमानी करने के अलावा कुछ नहीं जानते
जवाबों ने मुझे इतना छला
कि एक दिन मैंने सवाल पूछना छोड़ दिया
मैं नहीं हो पाई इतनी कुशाग्र
कि किसी बात का सटीक जवाब दे सकूँ
इस तरह मैं न सवालों के काम की रही
न जवाबों ने मुझे पसंद किया
अलग बात है शब्द ढूँढ़ते ढूँढ़ते,
मैंने इतना जान लिया कि
परिभाषाओं में अगर दुरुस्ती की गुंजाइश बची रहे
तो वे अधिक सटीक हो जाती हैं
कुछ ख़ास गीतों से मैं अपने प्रेमियों को याद रखती हूँ
प्रेमियों के नाम से उनके शहरों को याद रखती हूँ
शहरों की बुनावट से उनके इतिहास को याद रखती हूँ
इतिहास से आदमियत के जय के पाठ को
मेरी कमज़ोर स्मृति को मात देने का
मेरे पास यही एकमात्र तरीक़ा है
भूलना सीखना बेशक जीवन का सबसे ज़रूरी कौशल है
लेकिन यह पाठ हमेशा उपयोगी हो यह ज़रूरी नहीं है
मन एक बैडरूम के फ़्लैट का वह कमरा है
जिसमें जीवन के लिए ज़रूरी सब सामान है
बस उनके पाए जाने की कोई माक़ूल जगह नहीं है
आप ही बताएँ वक़्त पर कोई सामान न मिले
तो उसके होने का क्या फ़ायदा है?
मेरे पास कुछ सवाल हैं जिन्हें कविता में पिरोकर
मैं दुनिया के ऐसे लोगों को देना चाहती हूँ,
जिनका दावा है कि वे बहुत से सवालों के जवाब जानते हैं
जैसे जब तबलची की चोट पड़ती होगी तबले पर
तब क्या पीठ सहलाती होगी मरे पशु की आत्मा?
जिन पेड़ों को काग़ज़ हो जाने का दंड मिला
उन्हें कैसे लगते होंगे ख़ुद पर लिखे शब्दों के अर्थ?
वे बीज कैसे रौशनी को अच्छा मान लें?
जिनका तेल निकाल कर दिए जलाए गए,
जबकि उन्हें धरती के गर्भ का अंधकार चाहिए था
अंकुर बनकर उगने के लिए
एक सुबह जब मैं उठी
तो मैंने पाया प्रेम और सुख की सब सांत्वनाएँ
मरी गौरैयों की शक्ल में पूरी सड़क पर बिखरी पड़ी हैं
इसमें मेरा दोष नहीं था मुझे कम नींद आती है
इसलिए मैं कभी नींद की अनदेखी न कर पाई
मेरी नींदों ने हमेशा आसन्न आँधियों की अनदेखी की
इस क़दर धीमी हूँ मैं कि रफ़्तार का कसैला धुआँ
मेरी काया के भीतर उमसाई धुँध की तरह घुमड़ता है
कुछ अवसरवादी दीमकें हैं जो मन के अँधेरे कोनों से
कालिख़ मुँह में दबाए निकलती हैं
ये शातिर दीमकें मेरी त्वचा की सतह के नीचे
अँधेरे की लहरदार टहनियाँ गूँथती हैं
देह की अंदरूनी दीवारों पर अवसाद की कालिख से बना
अँधेरे का निसंध झुरमुट आबाद है
चमत्कार यह है कि काजल की कोठरी में
विराजती है एक बेदाग़ धवल छाया
जो लगातार मेरी आत्मा होने का दावा करती है
कई लोग मेरे बारे में इतना सारा सच कहना चाहते थे
कि सबने आधा-आधा झूठ कहा
अक्सर ऐसे अगोरती हूँ जीवन
जैसे राह चलते कोई ज़रा देर के लिए
सामान सम्हालने की ज़िम्मेदारी दे गया हो
एक दिन अपने बिस्तर पर
ऐसा सोना चाहती हूँ कि मैं उसे जीवित लगूँ
एक दिन शहर की सडकों पर
बिना देह घूमना चाहती हूँ
दुःखों की उपज हूँ मैं
इसलिए उनसे कहो, मुझे नष्ट करने का ख़्वाब भुला दें
पानी में भले ही प्रकृति से उपजी हर चीज़ सड़ जाए
काई नहीं सड़ती।
mujhe thoDa thoDa sab chahte the
zarurat ke hisab se kam beshi
sabne mujhe apne pas rakha
jo hissa log ghair zaruri samajhkar algate rahe
mera main wahan akar leta tha
akhir jo hissa kharchne se baqi rah jata hai
wahi to hamari bachat hai
raat ke tisre pahar meri parchhai
duniya ke safar par nikalti hai
un parchhaiyon se milne
jinhen apne hone ke liye
raushani ki mehrbani nahin pasand
kuch pukaren hain mere pas jo sirf andheri raton ke
ghane sannate mein mujhe sunai deti hain
kuch dhunen hain jo sirf tab gunjti hain
jab mere pas koi saz nahin hota
kawita ki kuch nrishans panktiyan hain
jo us waqt mera munh chiDhati hain
jab mere pas unhen not karne ke liye waqt nahin hota
kuch sapne hain jo roz chola badalkar
mujhe mirtyu ki taraf le jate hain
ant mein neend hamesha marne se pahle toot jati hai
jis samay log mujhe chatkili subhon mein DhoonDh rahe the
main awsadi shamon ke hath dharohar thi
kya ye is duniya ki sabse baDi wiDambna nahin hai
ki raushani ki had andhera tay karta hai?
raushani ko jine aur baDhne ke liye
har pal andhere se laDna paDta hai
main laDaku nahin hoon, main jina chahti hoon
ajib baat hai, sab kahte hain
ye istri to hamesha laDti hi rahti hai
main khu par phenke gaye patthar jama karti hoon
kuch ko boti hoon, patthar ke baghiche par
patthar ki chaharadiwari banati hoon
unhen is aasha mein sinchti hoon
kisi din unmen koplen phutengi
hansiye mat, main pagal nahin hoon
hamare yahan patthar aurton aur bhagwan
tak mein badal jate hain
mainne to bus kuch koplon ki ummid ki hai
apne hone mein apne nam ki ghalat wartani hoon
mera arth chahe tab bhi mujh tak pahunch nahin sakta
use mujh tak le kar aane wala naqsha hi ghalat hai
duniya ke tamam chalte phirte nam
aise ghalat naqshe hain jo apne lakshyon se
beimani karne ke alawa kuch nahin jante
jawabon ne mujhe itna chhala
ki ek din mainne sawal puchhna chhoD diya
main nahin ho pai itni kushagr
ki kisi baat ka satik jawab de sakun
is tarah main na sawalon ke kaam ki rahi
na jawabon ne mujhe pasand kiya
alag baat hai shabd DhunDhate DhunDhate,
mainne itna jaan liya ki
paribhashaon mein agar durusti ki gunjaish bachi rahe
to we adhik satik ho jati hain
kuch khas giton se main apne premiyon ko yaad rakhti hoon
premiyon ke nam se unke shahron ko yaad rakhti hoon
shahron ki bunawat se unke itihas ko yaad rakhti hoon
itihas se adamiyat ke jay ke path ko
meri kamzor smriti ko mat dene ka
mere pas yahi ekmatr tariqa hai
bhulna sikhna beshak jiwan ka sabse zaruri kaushal hai
lekin ye path hamesha upyogi ho ye zaruri nahin hai
man ek baiDrum ke flat ka wo kamra hai
jismen jiwan ke liye zaruri sab saman hai
bus unke pae jane ki koi maqul jagah nahin hai
ap hi batayen waqt par koi saman na mile
to uske hone ka kya fayda hai?
mere pas kuch sawal hain jinhen kawita mein pirokar
main duniya ke aise logon ko dena chahti hoon,
jinka dawa hai ki we bahut se sawalon ke jawab jante hain
jaise jab tabalchi ki chot paDti hogi table par
tab kya peeth sahlati hogi mare pashu ki atma?
jin peDon ko kaghaz ho jane ka danD mila
unhen kaise lagte honge khu par likhe shabdon ke arth?
we beej kaise raushani ko achchha man len?
jinka tel nikal kar diye jalaye gaye,
jabki unhen dharti ke garbh ka andhkar chahiye tha
ankur bankar ugne ke liye
ek subah jab main uthi
to mainne paya prem aur sukh ki sab santwnayen
mari gauraiyon ki shakl mein puri saDak par bikhri paDi hain
ismen mera dosh nahin tha mujhe kam neend aati hai
isliye main kabhi neend ki andekhi na kar pai
meri nindon ne hamesha asann andhiyon ki andekhi ki
is qadar dhimi hoon main ki raftar ka kasaila dhuan
meri kaya ke bhitar umsai dhundh ki tarah ghumaDta hai
kuch awsarwadi dimken hain jo man ke andhere konon se
kalikh munh mein dabaye nikalti hain
ye shatir dimken meri twacha ki satah ke niche
andhere ki lahardar tahniyan gunthati hain
deh ki andaruni diwaron par awsad ki kalikh se bana
andhere ka nisandh jhurmut abad hai
chamatkar ye hai ki kajal ki kothari mein
wirajti hai ek bedagh dhawal chhaya
jo lagatar meri aatma hone ka dawa karti hai
kai log mere bare mein itna sara sach kahna chahte the
ki sabne aadha aadha jhooth kaha
aksar aise agorti hoon jiwan
jaise rah chalte koi zara der ke liye
saman samhalne ki zimmedari de gaya ho
ek din apne bistar par
aisa sona chahti hoon ki main use jiwit lagun
ek din shahr ki saDkon par
bina deh ghumna chahti hoon
duःkhon ki upaj hoon main
isliye unse kaho, mujhe nasht karne ka khwab bhula den
pani mein bhale hi prakrti se upji har cheez saD jaye
kai nahin saDti

स्रोत :
रचनाकार : लवली गोस्वामी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.