चूँकि  शरीर  एक  और  उसके  
कई  सदस्य  हैं  लेकिन  शरीर  के  सारे  सदस्य  बहुत  सारे  हैं  
फिर  भी  एक  शरीर  है  अगर  पाँव  कहे  चूँकि  मैं  हाथ  नहीं  हूँ  तो  मैं  
हिस्सा  नहीं  हूँ  शरीर  का  या  कान  
क्योंकि  मैं  आँख  नहीं  हूँ  तो  मैं  शरीर  का  हिस्सा  नहीं  हूँ  
या  फूल  क्योंकि  मैं  चेहरा  नहीं  हूँ  तो  मैं  लोगों  का  हिस्सा  नहीं  हूँ  
या  लोग  कहें  क्योंकि  हम  फूल  नहीं  है  तो  चिड़िया  का  हिस्सा  नहीं  
है  या  चिड़िया  
चूँकि  मैं  पेड़  नहीं  हूँ  तो  मैं  योद्धा  का  हिस्सा  नहीं  हूँ  
या  योद्धा  अपनी  क़ब्र  में  कहें,  
चूँकि  मैं  फूल  नहीं  हूँ  तो  मैं  लोगों  का  हिस्सा  नहीं  हूँ  
और  पाँव  हाथ  नहीं  हैं  और  वो  इसलिए  शरीर  का  हिस्सा  नहीं  है?  और  
कान  
आँख  नहीं  है  
इसलिए  शरीर  का  हिस्सा  नहीं  होगा?  फूल  चेहरा  नहीं  
इसलिए  लोगों  का  हिस्सा  नहीं  होगा  और  लोग  फूल  नहीं  है  इसलिए  
चिड़िया  का  हिस्सा  
नहीं  होंगे  और  चिड़िया  पेड़  नहीं  है  इसलिए  योद्धा  का  हिस्सा  नहीं  होगी  
और  योद्धा  फूल  नहीं  है  इसलिए  लोगों  का  हिस्सा  नहीं  होगा  और  
लोग  उसका  हिस्सा  नहीं  होंगे  और  उसका  हिस्सा  फूल  नहीं  होगा  जो  
सुबह  के  साफ़  सूरज  के  नीचे  चमकती  है  उसकी  क़ब्र  पर  
फूल  जो  उसकी  क़ब्र  में  एक  हाथ  रखता  है  हाथ  
जो  न  पाँव  है  न  आँख  न  पेड़  
और  वो  है  लोग  और  शरीर  और  योद्धा  है?  
क्या  हाथ  को  ज़रूरत  नहीं  है  पाँव  की  आँख  की  और  फूल  की  भी  नहीं  ?  
लोगों  
को  क्या  ज़रूरत  है  एक  योद्धा  की?  क्या  दिन  की  इनायत  नहीं  होती  
उस  पर  
फूल  की  तरह  लोगों  की  तरह?  वो  लोगों  पर  
दिन  की  इनायत  की  तरह  एक  फूल  की  तरह?  
                chunki  sharir  ek  aur  uske  
kai  sadasya  hain  lekin  sharir  ke  sare  sadasya  bahut  sare  hain  
phir  bhi  ek  sharir  hai  agar  paanv  kahe  chunki  main  haath  nahin  hoon  to  main  
hissa  nahin  hoon  sharir  ka  ya  kaan  
kyonki  main  ankh  nahin  hoon  to  main  sharir  ka  hissa  nahin  hoon  
ya  phool  kyonki  main  chehra  nahin  hoon  to  main  logon  ka  hissa  nahin  hoon  
ya  log  kahen  kyonki  hum  phool  nahin  hai  to  chiDiya  ka  hissa  nahin  
hai  ya  chiDiya  
chunki  main  peD  nahin  hoon  to  main  yoddha  ka  hissa  nahin  hoon  
ya  yoddha  apni  qabr  mein  kahen,  
chunki  main  phool  nahin  hoon  to  main  logon  ka  hissa  nahin  hoon  
aur  paanv  haath  nahin  hain  aur  wo  isliye  sharir  ka  hissa  nahin  hai?  aur  
kaan  
ankh  nahin  hai  
isliye  sharir  ka  hissa  nahin  hoga?  phool  chehra  nahin  
isliye  logon  ka  hissa  nahin  hoga  aur  log  phool  nahin  hai  isliye  
chiDiya  ka  hissa  
nahin  honge  aur  chiDiya  peD  nahin  hai  isliye  yoddha  ka  hissa  nahin  hogi  
aur  yoddha  phool  nahin  hai  isliye  logon  ka  hissa  nahin  hoga  aur  
log  uska  hissa  nahin  honge  aur  uska  hissa  phool  nahin  hoga  jo  
subah  ke  saaf  suraj  ke  niche  chamakti  hai  uski  qabr  par  
phool  jo  uski  qabr  mein  ek  haath  rakhta  hai  haath  
jo  na  paanv  hai  na  ankh  na  peD  
aur  wo  hai  log  aur  sharir  aur  yoddha  hai?  
kya  haath  ko  zarurat  nahin  hai  paanv  ki  ankh  ki  aur  phool  ki  bhi  nahin  ?  
logon  
ko  kya  zarurat  hai  ek  yoddha  kee?  kya  din  ki  inayat  nahin  hoti  
us  par  
phool  ki  tarah  logon  ki  tarah?  wo  logon  par  
din  ki  inayat  ki  tarah  ek  phool  ki  tarah?  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : सूखी नदी पर ख़ाली नाव (पृष्ठ 401)संपादक  : वंशी माहेश्वरी रचनाकार  : युआन गेलमान 
                             प्रकाशन  : संभावना प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2020 
                
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.