मेरे बचपन के दिनों में
एक बार मेरे पिता एक सुंदर-सी टॉर्च लाए
जिसके शीशे में गोल खाँचे बने हुए थे
जैसे आजकल कारों की हेडलाइट में होते हैं
हमारे इलाक़े में रोशनी की वह पहली मशीन
जिसकी शहतीर एक चमत्कार की तरह रात को दो हिस्सों में बाँट देती थी
एक सुबह मेरी पड़ोस की एक दादी ने पिता से कहा
बेटा इस मशीन से चूल्हा जलाने के लिए थोड़ी-सी आग दे दो
पिता ने हँस कर कहा चाची इसमें आग नहीं होती सिर्फ़ उजाला होता है
इसे रात होने पर जलाते हैं
और इससे पहाड़ के ऊबड़-खाबड़ रास्ते साफ़ दिखाई देते हैं
दादी ने कहा उजाले में थोड़ा आग भी रहती तो कितना अच्छा था
मुझे रात से ही सुबह चूल्हा जलाने की फ़िक्र रहती है
पिता को कोई जवाब नहीं सूझा वे ख़ामोश रहे देर तक
इतने वर्ष बाद वह घटना टॉर्च की वह रोशनी
आग माँगती दादी और पिता की ख़ामोशी चली आती है
हमारे व़क़्त की विडंबना में कविता की तरह।
mere bachpan ke dinon mein
ek bar mere pita ek sundar si torch laye
jiske shishe mein gol khanche bane hue the
jaise ajkal karon ki heDlait mein hote hain
hamare ilaqe mein roshni ki wo pahli machine
jiski shahtir ek chamatkar ki tarah raat ko do hisson mein bant deti thi
ek subah meri paDos ki ek dadi ne pita se kaha
beta is machine se chulha jalane ke liye thoDi si aag de do
pita ne hans kar kaha chachi ismen aag nahin hoti sirf ujala hota hai
ise raat hone par jalate hain
aur isse pahaD ke ubaD khabaD raste saf dikhai dete hain
dadi ne kaha ujale mein thoDa aag bhi rahti to kitna achchha tha
mujhe raat se hi subah chulha jalane ki fir rahti hai
pita ko koi jawab nahin sujha we khamosh rahe der tak
itne warsh baad wo ghatna torch ki wo roshni
ag mangti dadi aur pita ki khamoshi chali aati hai
hamare waqt ki wiDambna mein kawita ki tarah

स्रोत :
रचनाकार : मंगलेश डबराल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.