नृशंसता विचरती है सम्राज्ञी-सी चितकबरी बस्तियों में
आक्रामक होते आते हैं समय के गह्वरों से निकलकर पशु-समूह
इतिहास स्वीकार करता है अम्लान सारे घाव असंख्य
गिनना जानना बड़ा कठिन रहा आया है
आवाज़ों और अपर्याप्त संकेतों को बटोरकर टोह लेनी होती है
अनुभव के उत्खनन में मिलते हैं सत्य के कठोर हीरक
प्रतिकृतियाँ नहीं हैं किसी पूर्व परिचित सुख-दुख निर्वेद की
वे ख़बरों ऋतुचक्रों की बटोरी कालिमा और ताप के फल हैं
धूसर समय से आच्छादित जीवन के गूढ़ निहितार्थ
कुछ भी कहने को स्वाधीन हो कहो परंतु सहमति की भाषा में
बार-बार मुस्कुराती हैं मरीचिकाएँ आकांक्षा के दृष्टिपथ में
दृश्यों के बीचोबीच उगते हैं आग के फूल भी रक्ताक्त नीलाभ
मैं कहता हूँ सुनो देखो मेरे साथ।
nrishansta wicharti hai samragyi si chitkabri bastiyon mein
akramak hote aate hain samay ke gahwron se nikalkar pashu samuh
itihas swikar karta hai amlan sare ghaw asankhya
ginna janna baDa kathin raha aaya hai
awazon aur aparyapt sanketon ko batorkar toh leni hoti hai
anubhaw ke utkhanan mein milte hain saty ke kathor hirak
pratikritiyan nahin hain kisi poorw parichit sukh dukh nirwed ki
we khabron rituchakron ki batori kalima aur tap ke phal hain
dhusar samay se achchhadit jiwan ke gooDh nihitarth
kuch bhi kahne ko swadhin ho kaho parantu sahamti ki bhasha mein
bar bar muskurati hain marichikayen akanksha ke drishtipath mein
drishyon ke bichobich ugte hain aag ke phool bhi raktakt nilabh
main kahta hoon suno dekho mere sath

स्रोत :
रचनाकार : पंकज सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.