तुम्हें खाद मिली
पानी मिला
काटा गया
छाँटा गया
और दी गई
मज़बूत चारदीवारी
तब्दील हो गए
जल्द ही तुम एक दिन
ख़ूबसूरत बाग़ीचों में
मैं बीहड़ जंगल में
मेरी बेतरतीब बड़ी झाड़ियाँ
उलझी हुई डालियाँ
और गूँजता रूखा सन्नाटा
भर जाता है जहाँ नसों में
बेलौस ठंडापन
तुम्हारी इकसार कटी
मेहँदी की बाड़
विदेशी गुलाबों की क्यारियाँ
और ईरानी क़ालीन-सी
मखमली घास
खोल जाती होंगी
आने वालों की
कई-कई नफ़ीस परतें
मगर एक बात है
माली का बीमार पड़ जाना
या नगरपालिका वालों की लंबी हड़ताल
सुखा डालेगा जहाँ तुम्हें
सारा का सारा
भयंकर दावाग्नि में भी
रहूँगा शेष मैं
कहीं न कहीं।
tumhein khad mili
pani mila
kata gaya
chhanta gaya
aur di gai
mazbut charadiwari
phailta raha main yoon hi
tabdil ho gaye
jald hi tum ek din
khubsurat baghichon mein
main bihaD jangal mein
meri betartib baDi jhaDiyan
uljhi hui Daliyan
aur gunjta rukha sannata
bhar jata hai jahan nason mein
belaus thanDapan
tumhari iksar kati
mehandi ki baD
wideshi gulabon ki kyariyan
aur irani qalin si
makhamli ghas
khol jati hongi
ane walon ki
kai kai nafis parten
magar ek baat hai
mali ka bimar paD jana
ya nagarpalika walon ki lambi haDtal
sukha Dalega jahan tumhein
sara ka sara
bhayankar dawagni mein bhi
rahunga shesh main
kahin na kahin
tumhein khad mili
pani mila
kata gaya
chhanta gaya
aur di gai
mazbut charadiwari
phailta raha main yoon hi
tabdil ho gaye
jald hi tum ek din
khubsurat baghichon mein
main bihaD jangal mein
meri betartib baDi jhaDiyan
uljhi hui Daliyan
aur gunjta rukha sannata
bhar jata hai jahan nason mein
belaus thanDapan
tumhari iksar kati
mehandi ki baD
wideshi gulabon ki kyariyan
aur irani qalin si
makhamli ghas
khol jati hongi
ane walon ki
kai kai nafis parten
magar ek baat hai
mali ka bimar paD jana
ya nagarpalika walon ki lambi haDtal
sukha Dalega jahan tumhein
sara ka sara
bhayankar dawagni mein bhi
rahunga shesh main
kahin na kahin
स्रोत :
पुस्तक : यह हरा ग़लीचा (पृष्ठ 48)
रचनाकार : निर्मला गर्ग
प्रकाशन : यात्री प्रकाशन
संस्करण : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.