कितना छोटा है इंसान का जीवन पूर्णिमा की तरह सम्मोहक
इस संसार में!
कुछ पल ओस के
कुछ गुलाब के
इससे पहले कि हम अनिश्चित रास्ता पकड़ें
क़ब्र का, और चिता किसी की दोस्त नहीं होती।
जवानी आती है बचपन के बाद फिर उड़न-छू हो जाती है,
और कितनी जल्दी चिड़चिड़ेपन की उम्र आ जाती है।
कितना संक्षिप्त है हमारा जीवन मगर कितनी असीम हैं हमारी इच्छाएँ!
अगर कोई अपने संकल्प के दबाव से
इस त्रासद संक्षिप्तता को और छोटा कर दे
अहले सुबह हवा को पिंजड़े में बंद कर दे
ओस को गिरने से रोक दे
खिलने से पहले ही गुलाब को लूट ले
जब प्याली में देने को महज़ कुछ घूँट ही हों
लालच का पत्थर उसके भी टुकड़े-टुकड़े कर देता है—
जीवन का शहद कड़वे-कसैले अनुभव में बदल जाता है
सचमुच मौत भी मुश्किल लगने लगती है।
आह मैंने जन्नत के वे सारे अफ़साने बार-बार सुने हैं!
अनेक मधुमक्खियाँ स्वर्ग का मोह रचते-रचते ग़ायब हो गईं।
अनेक व्यापारियों ने यहाँ का नकद चुकाया
यहाँ के अलावे के उधारखाते में।
मेरा जीवन क्या है—मेरे पंखों पर बर्फ़ का बोझ बढ़ रहा है,
जबकि अंदर-अंदर जीवन भर मैंने ग़रीबी के घावों की सुश्रुषा की है।
मेरा सूरज, उदास और थका-हारा, अब डूबने को है।
मौत की टकटकी कितनी ठंडी होती है!
ऐ संगीतकार दिल! अपने साज़ छेड़!
अपने डूबने का समय नज़दीक जान कर
सूरज पश्चिम के आकाश में फैल गया है।
तुम्हारी शादी अभी नहीं
मेरी चिंकारा-आँखों वाली लड़की!
मेरा बेचारा बेटा, बेरोज़गारी से टूटा-हारा!
बरसात के साथ ढहती इस दीवार को देखो
और देखो उस बेचारी बिल्ली के विचित्र लगाव को!
ऐ दिल! ऐ बेवकूफ़ दिल! बेक़ाबू!
मेरी जवानी के दरवाज़े पर दस्तक दो! उसे वापस बुलाओ!
मैं रात की गहरी चादर धो कर साफ़ कर दूँगी
सूरज के पहनने के लिए किमख़ाब भेज दो
और कलगी, उसके सिर पर लगाने के लिए
झील में चलते हुए झुमाने वाली तानें छेड़ो
मेरे अहाते में बस पानी से ही हरियाली है।
अब अगर मौत को आना ही है तो उसे ज़्यादा समेटना नहीं पड़ेगा—
और मुझे कोई परवाह नहीं अगर वे स्वर्ग के सारे दरवाज़े बंद कर दें।
kitna chhota hai insan ka jiwan purnaima ki tarah sammohak
is sansar mein!
kuch pal os ke
kuch gulab ke
isse pahle ki hum anishchit rasta pakDen
qabr ka, aur chita kisi ki dost nahin hoti
jawani aati hai bachpan ke baad phir uDan chhu ho jati hai,
aur kitni jaldi chiDachiDepan ki umr aa jati hai
kitna sankshipt hai hamara jiwan magar kitni asim hain hamari ichhayen!
agar koi apne sankalp ke dabaw se
is trasad sankshiptta ko aur chhota kar de
ahle subah hawa ko pinjDe mein band kar de
os ko girne se rok de
khilne se pahle hi gulab ko loot le
jab pyali mein dene ko mahz kuch ghoont hi hon
lalach ka patthar uske bhi tukDe tukDe kar deta hai—
jiwan ka shahd kaDwe kasaile anubhaw mein badal jata hai
sachmuch maut bhi mushkil lagne lagti hai
ah mainne jannat ke we sare afsane bar bar sune hain!
anek madhumakkhiyan swarg ka moh rachte rachte ghayab ho gain
anek wyapariyon ne yahan ka nakad chukaya
yahan ke alawe ke udharkhate mein
mera jiwan kya hai—mere pankhon par barf ka bojh baDh raha hai,
jabki andar andar jiwan bhar mainne gharib ke ghawon ki sushrusha ki hai
mera suraj, udas aur thaka hara, ab Dubne ko hai
maut ki takatki kitni thanDi hoti hai!
ai sangitkar dil! apne saz chheD!
apne Dubne ka samay nazdik jaan kar
suraj pashchim ke akash mein phail gaya hai
tumhari shadi abhi nahin
meri chinkara ankhon wali laDki!
mera bechara beta, berozagar se tuta hara!
barsat ke sath Dahti is diwar ko dekho
aur dekho us bechari billi ke wichitr lagaw ko!
ai dil! ai bewakuf dil! beqabu!
meri jawani ke darwaze par dastak do! use wapas bulao!
main raat ki gahri chadar dho kar saf kar dungi
suraj ke pahanne ke liye kimkhab bhej do
aur kalgi, uske sir par lagane ke liye
jheel mein chalte hue jhumane wali tanen chheDo
mere ahate mein bus pani se hi hariyali hai
ab agar maut ko aana hi hai to use zyada sametna nahin paDega—
aur mujhe koi parwah nahin agar we swarg ke sare darwaze band kar den

स्रोत :
पुस्तक : रहमान राही की प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 88)
संपादक : गौरीशंकर रैणा
रचनाकार : रहमान राही
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.