अद्भुत प्रात: बिछा भी कुहरा, छाया भी रवि-रश्मि वितान।
पर जीवन के सुखमय साथी, अब भी तुम निद्रा लयमान।
यह वह बेला है सुंदरता जब लेती है अँगड़ाई,
खोलो नयन, उघारो पलकें, जो निद्रा से गरुआई।
युगल नयन तारक चमकाओ उत्तर से, मन की रानी।
उत्तर के नभ में करने को अरुणोदय की अगवानी।
रात भयंकर आधी ने था अंबर में डेरा डाला,
और पड़ा था सारी पथ्वी के ऊपर गहरा पाला,
मुक्त न था धूसर बादल से नभ-मंडल का कोई भाग,
चंद्र दिखाई पड़ता था जैसे कोई पीला दाग़।
ले गंभीर उदासी बैठी थी तुम सिर को नीचा कर,
लेकिन अब तो उठकर देखो अपनी खिड़की के बाहर।
निर्मल नील गगन के नीचे फैली है हिम की चादर,
सूरज की चटकीली किरणें पड़ती उसपर आ आकर,
धरती दिखलाई पड़ती है पहने मणिमय पाटबर।
छिपे धवल-निर्मल परदों के पीछे हैं जंगल काले,
पेड़ सनोबर के लगते हैं कुहरे में भी हरियाले,
हिम की परतों के नीचे हैं बहते चमकीले नाले।
हर कमरे के भीतर फैला पीठ सुनहला उजियाला,
बुझी अँगीठी के अंदर से उठती, देखो, फिर ज्वाला,
जल 'चट-चट' कर, हर्ष प्रकट कर, ताप सुहाना फैलाती,
कितना सुंदर, बैठ यहाँ पर देखे सपनों की पाती,
किंतु न क्या इससे यह अच्छा होगा मँगवाएँ जोड़ी,
और जुताएँ उसमें बढ़िया बादामी रंग की घोड़ी।
प्रातकाल की उजली-चिकनी बिछी बरफ़ पर से होकर,
आओ जीवन के प्रिय साथी, दूर चलें हम तुम सत्वर,
चंचल घोड़ों को बढ़ने दें सरपट, कर दें ढीली रास,
चलो चलें उन सूने खेतों में जिनमें फैली है घास,
जंगल में, जिनमें गरमी में भी न किसी ने पग धारे,
और नदी-तट पर, जो मुझको है सब जगहों से प्यारे।
adbhut pratah bichha bhi kuhra, chhaya bhi ravi rashmi vitan.
par jivan ke sukhmay sathi, ab bhi tum nidra layman.
ye wo bela hai sundarta jab leti hai angDai,
kholo nayan, ugharo palken, jo nidra se garuai.
yugal nayan tarak chamkao uttar se, man ki rani.
uttar ke nabh mein karne ko arunaoday ki agvani.
raat bhayankar aadhi ne tha ambar mein Dera Dala,
aur paDa tha sari pathvi ke upar gahra pala,
mukt na tha dhusar badal se nabh manDal ka koi bhaag,
chandr dikhai paDta tha jaise koi pila daagh.
le gambhir udasi baithi thi tum sir ko nicha kar,
lekin ab to uthkar dekho apni khiDki ke bahar.
nirmal neel gagan ke niche phaili hai him ki chadar,
suraj ki chatkili kirnen paDti uspar aa aakar,
dharti dikhlai paDti hai pahne manaimay patbar.
chhipe pavan nirmal pardo ke pichhe hai jangal kale,
peD sanobar ke lagte hain kuhre mein bhi hariyale,
him ki parton ke niche hai bahte chamkile nale.
har kamre ke bhitar phaila peeth sunahla ujiyala,
bujhi angihti ke andar se uthti, dekho, phir jvala,
jal chat chat kar, harsh prakat kar, taap suhana phailati,
kitna sundar, baith yahan par dekhe sapnon ki pati,
kintu na kya isse ye achchha hoga mangavayen joDi,
aur jutayen usmen baDhiya badami rang ki ghoDi.
pratkal ki ujli chikni bichhi baraph par se hokar,
aao jivan ke priy sathi, door chale hum tum satvar,
chanchal ghoDon ko baDhne den sarpat, kar den Dhili raas,
chalo chalen un sune kheton mein jinmen phaili hai ghaas,
jangal mein, jinmen garmi mein bhi na kisi ne pag dhare,
aur nadi tat par, jo mujhko hai sab jaghon se pyare.

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 55)
रचनाकार : अलेक्सांद्र पूश्किन
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.