पेड़ गिराए जाते हैं
उखाड़े भी जाते हैं
पर जड़ें समूल नहीं उखड़तीं
उन्हें बूँदों का इंतज़ार रहता है
जड़ और पत्थर का प्रेम अगणित है
प्रेम में दोनों
कब बिंध जाते हैं
दोनों को पता नहीं होता
जड़ें पेड़ जनती हैं
ज़मीन जड़ की जननी है
जिस दिन ज़मीन धोखा देती है
जीवन जड़ समेत उखड़ जाता है
किताबों में पढ़ा है
जड़ जीवन है
मेरी जड़ कल रात चुपचाप सूख गई
और मैं अनाथ कहलाता हूँ
आँधियों में गिरे हैं
औंधे मुँह अनगिनत पेड़
जिनकी जड़ों से कोपलें फूट रही हैं
और जड़ों के पोर में ईश्वर चुपचाप सो रहा है
peD giraye jate hain
ukhaDe bhi jate hain
par jaDen samul nahin ukhaDtin
unhen bundon ka intzar rahta hai
jaD aur patthar ka prem agnit hai
prem mein donon
kab bindh jate hain
donon ko pata nahin hota
jaDen peD janti hain
zamin jaD ki janani hai
jis din zamin dhokha deti hai
jiwan jaD samet ukhaD jata hai
kitabon mein paDha hai
jaD jiwan hai
meri jaD kal raat chupchap sookh gai
aur main anath kahlata hoon
andhiyon mein gire hain
aundhe munh anaginat peD
jinki jaDon se koplen phoot rahi hain
aur jaDon ke por mein ishwar chupchap so raha hai
peD giraye jate hain
ukhaDe bhi jate hain
par jaDen samul nahin ukhaDtin
unhen bundon ka intzar rahta hai
jaD aur patthar ka prem agnit hai
prem mein donon
kab bindh jate hain
donon ko pata nahin hota
jaDen peD janti hain
zamin jaD ki janani hai
jis din zamin dhokha deti hai
jiwan jaD samet ukhaD jata hai
kitabon mein paDha hai
jaD jiwan hai
meri jaD kal raat chupchap sookh gai
aur main anath kahlata hoon
andhiyon mein gire hain
aundhe munh anaginat peD
jinki jaDon se koplen phoot rahi hain
aur jaDon ke por mein ishwar chupchap so raha hai
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.