पिछली सर्दियाँ बहुत कठिन थीं
उन्हें याद करने पर मैं इन सर्दियों में भी सिहरता हूँ
हालाँकि इस बार दिन उतने कठोर नहीं
पिछली सर्दियों में चली गई थी मेरी माँ
मुझसे एक प्रेमपत्र खो गया था एक नौकरी छूट गई थी
रातों को पता नहीं कहाँ-कहाँ भटकता रहा
कहाँ-कहाँ करता रहा टेलीफ़ोन
पिछली सर्दियों में
मेरी ही चीज़ें गिरती रही थीं मुझ पर
इन सर्दियों में पिछली सर्दियों के कपड़े निकालता हूँ
कंबल टोपी मोज़े मफ़लर
उन्हें ग़ौर से देखता हूँ
सोचता हुआ पिछला समय बीत गया है
ये सर्दियाँ क्यों होगी मेरे लिए पहले जैसी कठोर।
pichhli sardiyan bahut kathin theen
unhen yaad karne par main in sardiyon mein bhi siharta hoon
halanki is bar din utne kathor nahin
pichhli sardiyon mein chali gai thi meri man
mujhse ek prempatr kho gaya tha ek naukari chhoot gai thi
raton ko pata nahin kahan kahan bhatakta raha
kahan kahan karta raha telephone
pichhli sardiyon mein
meri hi chizen girti rahi theen mujh par
in sardiyon mein pichhli sardiyon ke kapDe nikalta hoon
kambal topi moze muffler
unhen ghaur se dekhta hoon
sochta hua pichhla samay beet gaya hai
ye sardiyan kyon hogi mere liye pahle jaisi kathor

स्रोत :
रचनाकार : मंगलेश डबराल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.