कई बार मैंने कोशिश की
इस बाढ़ में से अपना एक हाथ निकालने की
कई बार भरोसा हुआ
कई बार दिखा यह है अंत
मैं कहना चाहता था
एक या दो मालूमी शब्द
जिन पर फ़िलहाल विश्वास किया जा सके
जो सबसे ज़रूरी हों फ़िलहाल
मैं चाहता था
एक तस्वीर के बारे में बतलाना
जो कुछ देर क़रीब-क़रीब सच हो
जो टँगी रहे चेहरों और
दृश्यों के मिटने के बाद कुछ देर
मैं एक पहाड़ का
वर्णन करना चाहता था
जिस पर चढ़ने की मैंने कोशिश की
जो लगातार गिराता था धूल और कंकड़
रहा होगा वह भूख का पहाड़
मैं एक लापता लड़के का
ब्योरा देना चाहता था
जो कहीं ग़ुस्से से खाता होगा रोटी
देखता होगा अपनी चोटों के निशान
अपने को कोसता
कहता हुआ चला जाऊँगा घर
मैं अपनी उदासी के लिए
क्षमा नहीं माँगना चाहता था
मैं नहीं चाहता था मामूली
इच्छाओं को चेहरे पर ले आना
मैं भूल नहीं जाना चाहता था
अपने घर का रास्ता।
kai bar mainne koshish ki
is baDh mein se apna ek hath nikalne ki
kai bar bharosa hua
kai bar dikha ye hai ant
main kahna chahta tha
ek ya do malumi shabd
jin par filaha wishwas kiya ja sake
jo sabse zaruri hon filaha
main chahta tha
ek taswir ke bare mein batlana
jo kuch der qarib qarib sach ho
jo tangi rahe chehron aur
drishyon ke mitne ke baad kuch der
main ek pahaD ka
warnan karna chahta tha
jis par chaDhne ki mainne koshish ki
jo lagatar girata tha dhool aur kankaD
raha hoga wo bhookh ka pahaD
main ek lapata laDke ka
byora dena chahta tha
jo kahin ghusse se khata hoga roti
dekhta hoga apni choton ke nishan
apne ko kosta
kahta hua chala jaunga ghar
main apni udasi ke liye
kshama nahin mangna chahta tha
main nahin chahta tha mamuli
ichchhaon ko chehre par le aana
main bhool nahin jana chahta tha
apne ghar ka rasta
kai bar mainne koshish ki
is baDh mein se apna ek hath nikalne ki
kai bar bharosa hua
kai bar dikha ye hai ant
main kahna chahta tha
ek ya do malumi shabd
jin par filaha wishwas kiya ja sake
jo sabse zaruri hon filaha
main chahta tha
ek taswir ke bare mein batlana
jo kuch der qarib qarib sach ho
jo tangi rahe chehron aur
drishyon ke mitne ke baad kuch der
main ek pahaD ka
warnan karna chahta tha
jis par chaDhne ki mainne koshish ki
jo lagatar girata tha dhool aur kankaD
raha hoga wo bhookh ka pahaD
main ek lapata laDke ka
byora dena chahta tha
jo kahin ghusse se khata hoga roti
dekhta hoga apni choton ke nishan
apne ko kosta
kahta hua chala jaunga ghar
main apni udasi ke liye
kshama nahin mangna chahta tha
main nahin chahta tha mamuli
ichchhaon ko chehre par le aana
main bhool nahin jana chahta tha
apne ghar ka rasta
स्रोत :
रचनाकार : मंगलेश डबराल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.