और अधर मुसकाते हों।
भीड़ हज़ारों की समक्ष हो,
हृदय-भाव घबराते हों।
तभी धीर का भारी पत्थर,
मन पर रखना पड़ता है।
अभिनय करना पड़ता है।
अभिनय करना पड़ता है।
मन का क्रंदन गीत बने
जग बोले यह ऊर्जित है।
नैन ढरकना चाह रहे हों,
समय कहे यह वर्जित है
रूह कहे यह पीड़ा भारी ,
देने की क्या तुम अधिकारी?
सब भावों पर लगा के ताला,
ख़ुद से लड़ना पड़ता है।
अभिनय करना पड़ता है,
अभिनय करना पड़ता है।
संबंधों का सूर्य दीप्त हो,
कितना सुंदर लगता है।
मगर दीप्ति का सब कुछ खोना
किसको रुचिकर लगता है?
बहुत कथाएँ मिटती हैं तब,
नई कथा का सर्जन होता।
जहाँ दुखों को ख़ुद कह सुनकर,
ख़ुद ही हरना पड़ता है।
अभिनय करना पड़ता है,
अभिनय करना पड़ता है।
aur adhar muskate hon.
bheeD hazaron ki samaksh ho,
hriday bhaav ghabrate hon.
tabhi dheer ka bhari patthar,
man par rakhna paDta hai.
abhinay karna paDta hai.
abhinay karna paDta hai.
man ka krandan geet bane
jag bole ye uurjit hai.
nain Dharakna chaah rahe hon,
samay kahe ye varjit hai
rooh kahe ye piDa bhari ,
dene ki kya tum adhikari?
sab bhavon par laga ke tala,
khud se laDna paDta hai.
abhinay karna paDta hai,
abhinay karna paDta hai.
sambandhon ka surya deept ho,
kitna sundar lagta hai.
magar dipti ka sab kuch khona
kisko ruchikar lagta hai?
bahut kathayen mitti hain tab,
nai katha ka sarjan hota.
jahan dukhon ko khud kah sunkar,
khud hi harna paDta hai.
abhinay karna paDta hai,
abhinay karna paDta hai.
aur adhar muskate hon.
bheeD hazaron ki samaksh ho,
hriday bhaav ghabrate hon.
tabhi dheer ka bhari patthar,
man par rakhna paDta hai.
abhinay karna paDta hai.
abhinay karna paDta hai.
man ka krandan geet bane
jag bole ye uurjit hai.
nain Dharakna chaah rahe hon,
samay kahe ye varjit hai
rooh kahe ye piDa bhari ,
dene ki kya tum adhikari?
sab bhavon par laga ke tala,
khud se laDna paDta hai.
abhinay karna paDta hai,
abhinay karna paDta hai.
sambandhon ka surya deept ho,
kitna sundar lagta hai.
magar dipti ka sab kuch khona
kisko ruchikar lagta hai?
bahut kathayen mitti hain tab,
nai katha ka sarjan hota.
jahan dukhon ko khud kah sunkar,
khud hi harna paDta hai.
abhinay karna paDta hai,
abhinay karna paDta hai.
स्रोत :
रचनाकार : आकृति विज्ञा 'अर्पण’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.