हहराती हुईं कुछ औरतें आईं
और गंगा में समा गईं
कुछ भजन रह गए
बालू में चिपके
टहटह लाल सिंदूर था
तुलसी के सिरहाने
थकान थी उम्र भर की
चिंतातुर थीं
वे औरतें थीं
कि सोचती थीं
गंगा मइया के पास सरकारी नौकरी है
बेटियों के लिये उपयुक्त वर है
पति के बवासीर की कोई दवाई?
पूछतीं गंगा में डुबकी लगाती औरतें
अंचरा पसार गंगा के आगे
माथा नवाती
गंगा भी औरत थी
दुख जानती थी
मिट्टी के ढेले-सी गलती थी
बहती थी कि आग-सी जलती थी
उन दोनों को नहीं पता था
आसमान में भगवान की जगह
एक काला कौआ रहता है
आश्चर्य कि हहराती हुई
वे औरतें जिस गंगा में समा गईं
वह गंगा भी अब नहीं रही
hahrati huin kuch aurten ain
aur ganga mein sama gain
kuch bhajan rah gaye
balu mein chipke
tahtah lal sindur tha
tulsi ke sirhane
thakan thi umr bhar ki
chintatur theen
we aurten theen
ki sochti theen
ganga maiya ke pas sarkari naukari hai
betiyon ke liye upyukt war hai
pati ke bawasir ki koi dawai?
puchhtin ganga mein Dupki lagati aurten
anchra pasar ganga ke aage
matha nawati
ganga bhi aurat thi
dukh janti thi
mitti ke Dhele si galti thi
bahti thi ki aag si jalti thi
un donon ko nahin pata tha
asman mein bhagwan ki jagah
ek kala kaua rahta hai
ashchary ki hahrati hui
we aurten jis ganga mein sama gain
wo ganga bhi ab nahin rahi
hahrati huin kuch aurten ain
aur ganga mein sama gain
kuch bhajan rah gaye
balu mein chipke
tahtah lal sindur tha
tulsi ke sirhane
thakan thi umr bhar ki
chintatur theen
we aurten theen
ki sochti theen
ganga maiya ke pas sarkari naukari hai
betiyon ke liye upyukt war hai
pati ke bawasir ki koi dawai?
puchhtin ganga mein Dupki lagati aurten
anchra pasar ganga ke aage
matha nawati
ganga bhi aurat thi
dukh janti thi
mitti ke Dhele si galti thi
bahti thi ki aag si jalti thi
un donon ko nahin pata tha
asman mein bhagwan ki jagah
ek kala kaua rahta hai
ashchary ki hahrati hui
we aurten jis ganga mein sama gain
wo ganga bhi ab nahin rahi
स्रोत :
रचनाकार : प्रज्ञा सिंह
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.