नानी की आँखों के सपने
कच्ची उमर की शादी से
सारा जीवन रसोई की सनद रहे
फिर नानी के बेटियों के लिए
देखे सपने
विवाह की भेंट चढ़ गए
विवाह बेटियों से मुक्ति के उत्सव रहे
होनहार बेटियों के सपने भी
बच्चों के सपनों के नीचे दबकर
एक नींव की ईंट बन गए
नानी कहती थीं
कि औरत
सारा जीवन खटती है
मरती है तभी रिटायर होती है
मृत्यु उन्हें रिटायर कर गई
अंत समय उनकी आँखों में ख़ाली
सपनों का बीहड़ एक जंगल
मेरे भीतर बोझिल-सी
अकुलाहट को भर जाता है
मेरा मन भी साँझ-सवेरे
रोज़ अचानक मर जाता है।
nani ki ankhon ke sapne
kachchi umar ki shadi se
sara jivan rasoi ki sanad rahe
phir nani ke betiyon ke liye
dekhe sapne
vivah ki bhent chaDh gaye
vivah betiyon se mukti ke utsav rahe
honhar betiyon ke sapne bhi
bachchon ke sapnon ke niche dabkar
ek neenv ki int ban gaye
nani kahti theen
ki aurat
sara jivan khatti hai
marti hai tabhi retire hoti hai
mirtyu unhen retire kar gai
ant samay unki ankhon mein khali
sapnon ka bihaD ek jangal
mere bhitar bojhil si akulahat
ko bhar jata hai
mera man bhi saanjh sabere
roj achanak mar jata hai.
nani ki ankhon ke sapne
kachchi umar ki shadi se
sara jivan rasoi ki sanad rahe
phir nani ke betiyon ke liye
dekhe sapne
vivah ki bhent chaDh gaye
vivah betiyon se mukti ke utsav rahe
honhar betiyon ke sapne bhi
bachchon ke sapnon ke niche dabkar
ek neenv ki int ban gaye
nani kahti theen
ki aurat
sara jivan khatti hai
marti hai tabhi retire hoti hai
mirtyu unhen retire kar gai
ant samay unki ankhon mein khali
sapnon ka bihaD ek jangal
mere bhitar bojhil si akulahat
ko bhar jata hai
mera man bhi saanjh sabere
roj achanak mar jata hai.
स्रोत :
रचनाकार : कल्पना पंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.