पवित्र,  शाश्वत  और  सुहावना  आज  
क्या  अपने  उन्मत्त  डैने  से  खींच  लेगा  
यह  कटु-कठोर  बिसरा  दी  गई  त्रस्त  झील  तुषार  के  नीचे  
उड़ानों  की  पारदर्शी  हिमानी  जो  कभी  यहाँ  से  ग़ायब  हुई  नहीं!  
एक  हंस  को  स्मृत  हुआ  विगत  कि  वह  ख़ुद  है  शोभायमान-प्रतापी  
लेकिन  हताश  जो  गा  नहीं  सकता  
जहाँ  जीता  है  वहाँ  जब  अनुर्वर  शीत  
फैला  देती  है  नीरसता,  विरक्ति  का  मंज़र।  
छुटकारा  पा  लेगी  उसकी  गर्दन  इस  धवल  यंत्रणा  से  
जो  उसकी  इच्छा  विरुद्ध  लादा  गया  है  आकाश-चक्र  द्वारा  
लेकिन  पृथ्वी  द्वारा  पंख  हरण  की  घात  से  उसका  त्राण  नहीं।  
मृगमरीचिका-आभास  ने  बख़्शा  है  इसे  अपनी  शुभ्र  कांति  से  
तिरस्कार  के  भावशून्य  ठंडे  स्वप्न  से  वह  हो  गया  है  जड़  
जिसे  धारण  किया  है  हंस  ने  अपने  वृथा  निर्वासन  के  दौरान।  
             
                pavitra,  shashvat  aur  suhavna  aaj  
kya  apne  unmatt  Daine  se  kheench  lega  
ye  katu  kathor  bisra  di  gai  trast  jheel  tushar  ke  niche  
uDanon  ki  paradarshi  himani  jo  kabhi  yahan  se  ghayab  hui  nahin!  
ek  hans  ko  smrit  hua  vigat  ki  wo  khud  hai  shobhayaman  pratapi  
lekin  hatash  jo  ga  nahin  sakta  
jahan  jita  hai  vahan  jab  anurvar  sheet  
phaila  deti  hai  nirasta,  virakti  ka  manzar.  
chhutkara  pa  legi  uski  gardan  is  dhaval  yantrna  se  
jo  uski  ichchha  viruddh  lada  gaya  hai  akash  chakr  dvara  
lekin  prithvi  dvara  pankh  haran  ki  ghaat  se  uska  traan  nahin.  
mrigamrichika  abhas  ne  bakhsha  hai  ise  apni  shubhr  kanti  se  
tiraskar  ke  bhavashunya  thanDe  svapn  se  wo  ho  gaya  hai  jaD  
jise  dharan  kiya  hai  hans  ne  apne  vritha  nirvasan  ke  dauran.  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : सदानीरा पत्रिका  
                                            संपादक  : अविनाश मिश्र  
                                                रचनाकार  : स्टीफेन मलार्मे  
                                                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.