हर घर, हर जगह,
होता है एक काम महत्व वाला आदमी,
वो बोलता नहीं, सिर्फ़ सुनता है,
सिर्फ़ पूछने पर देता है जवाब,
झिझक शंका रोज़ पूछती है उससे,
तुम कहाँ बैठोगे?
तुम्हारा कमरा आज क्या होगा?
तुम्हारी चादर, तुम्हारा बिस्तर कब बदला जाएगा?
आज तुम्हारा खाने-सोने का समय कितना खिसकेगा?
इस बार तुमारी छुट्टी किसकी छुट्टी से कटेगी।
अपने सारे सवालों के जवाबों में
वो एक कबाड़ी की तरह
कचरे में हाथ डाल-डालकर
बाकी सबके बचे-छोड़े
कम महत्व के टुकड़ों को
अनचाहे मन से थोडे कम से
बोरी में भर लेता है
आधी दिहाड़ी के लिए।
और एक दिन जब नहीं रहता
ये कम महत्व वाला आदमी
तो उसके तमाम सवाल
उसकी झिझक उसकी शंका
उसकी पिछली पंक्ति, उसका कोना
उसकी औढ़न, उतरन, बिछावन
उसकी पौनी करवट
उसकी कटी छुट्टी
उसका टूटा, खिसका समय
उससे भी कम महत्व वाले आदमी को
बड़े परोपकारी भाव से
थमा दिया जाता है।
har ghar, har jagah,
hota hai ek kaam mahatv vala adami,
wo bolta nahin, sirf sunta hai,
sirf puchhne par deta hai javab,
jhijhak shanka roz puchhti hai usse,
tum kahan baithoge?
tumhara kamra aaj kya hoga?
tumhari chadar, tumhara bistar kab badla jayega?
aaj tumhara khane sone ka samay kitna khiskega?
is baar tumari chhutti kiski chhutti se kategi.
apne sare savalon ke javabon men
wo ek kabaDi ki tarah
kachre mein haath Daal Dalkar
baki sabke bache chhoDe
kam mahatv ke tukDon ko
anchahe man se thoDe kam se
bori mein bhar leta hai
aadhi dihaDi ke liye.
aur ek din jab nahin rahta
ye kam mahatv vala adami
to uske tamam saval
uski jhijhak uski shanka
uski pichhli pankti, uska kona
uski auDhan, utran, bichhavan
uski pauni karvat
uski kati chhutti
uska tuta, khiska samay
usse bhi kam mahatv vale adami ko
baDe paropakari bhaav se
thama diya jata hai.
har ghar, har jagah,
hota hai ek kaam mahatv vala adami,
wo bolta nahin, sirf sunta hai,
sirf puchhne par deta hai javab,
jhijhak shanka roz puchhti hai usse,
tum kahan baithoge?
tumhara kamra aaj kya hoga?
tumhari chadar, tumhara bistar kab badla jayega?
aaj tumhara khane sone ka samay kitna khiskega?
is baar tumari chhutti kiski chhutti se kategi.
apne sare savalon ke javabon men
wo ek kabaDi ki tarah
kachre mein haath Daal Dalkar
baki sabke bache chhoDe
kam mahatv ke tukDon ko
anchahe man se thoDe kam se
bori mein bhar leta hai
aadhi dihaDi ke liye.
aur ek din jab nahin rahta
ye kam mahatv vala adami
to uske tamam saval
uski jhijhak uski shanka
uski pichhli pankti, uska kona
uski auDhan, utran, bichhavan
uski pauni karvat
uski kati chhutti
uska tuta, khiska samay
usse bhi kam mahatv vale adami ko
baDe paropakari bhaav se
thama diya jata hai.
स्रोत :
रचनाकार : तजेंद्र सिंह लूथरा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.